Forex trading mein "scaling in / scaling out" ka matlab hota hai apni position ko aahista aahista barhana ya kam karna h.Is tarah se trader apni risk management ki tarf tawajjuh deta hai aur market ki harkaton ko bhi samajhne ki koshish krta hai.
Scaling In
Scaling in ka matlab hota hai position ko aahista aahista barhana. Jb trader market mein enter hota hai, to woh puri position khareedne ki bajaye usay chote hisson mein divide kar leta hai. Is tarah se woh apni position ko aahista ahista barha sakta hai jab market uski taraf jata hai. Scaling in ki technique ko istemal karne se trader ko zyada flexibility milti hai apni position ko manage karne me,is me ap apni position ko akhri level tk brha skty hen.
Scaling Out
Scaling out ka matlab hota hai position ko aahista aahista kam karna. Jab trader market mein enter hota h to woh apni position ko chote chote hisson mein divide kar leta hai. Jab market uski taraf jata hai, to woh apni position ko aahista aahista kam karta hai. Is tarah se woh apni profit ko secure kar leta hai aur risk ko minimize kar leta hai. Scaling out ki technique ko istemal karne se trader apni position ko manage karne me zyada mahir ho jata hai.ye ap ko risk sy kafi had tk bchata h.
Final words
In dono techniques ko istemal karne se trader apni position ko manage karne mein zyada mahir ho jata hai aur apni trading performance ko improve kar sakta hai. Is liye har trader ko in techniques ko samajhna aur istemal karna chahiye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим