Forex Trading me Economic Entity aur Asset:
Economic entities ka kaam hey market ko liquidity dena (yani currencies ko buy aur sell karna) aur trading volume ko maintain karna. Yeh market ke demand aur supply ko balance me rakhte hein.
Assets ki Categories:
- Economic Entity:
- Central Banks:
Yeh apni national currencies ki value control karny ke liye forex market me actively participate karty hein. Jaise Federal Reserve (USA) ya European Central Bank (ECB). - Commercial Banks:
Yeh apni clients ke liye currency exchange karty hein aur speculative trading bhi karty hein. - Institutional Investors aur Hedge Funds:
Badi organizations jo apne investments diversify karny ke liye forex market me trade karty hein. - Retail Traders:
Individual traders jo apne personal gains ke liye online platforms ka istemal karty hein.
Economic entities ka kaam hey market ko liquidity dena (yani currencies ko buy aur sell karna) aur trading volume ko maintain karna. Yeh market ke demand aur supply ko balance me rakhte hein.
- Asset:
Assets ki Categories:
- Major Currencies:
Yeh duniya ki sabse zyada traded currencies hein, jaise:- USD (US Dollar)
- EUR (Euro)
- JPY (Japanese Yen)
- GBP (British Pound)
- Minor Currencies:
Jo currencies major currencies ke ilawa trade ki jaati hein, jaise NZD (New Zealand Dollar) aur ZAR (South African Rand). - Exotic Pairs:
Inme ek major currency aur ek developing country ki currency hoti hey, jaise USD/TRY (US Dollar aur Turkish Lira).
- Value Fluctuations:
Currencies ki value har waqt demand aur supply, political situations, aur economic indicators (GDP, inflation) ki wajah se badalti rehti hey. - Profit Opportunities:
Traders ka maqsad hey in fluctuations ka faida uthana, yani sasti currency khareedna aur mehngi currency bechna.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим