Rising and Falling Wedge Candlestick Patterns:
Assalam o Alaikum Dear Friends, Fellows and forex members, Wedge Candlestick Pattern aik common chart pattern hey jo price action mein consolidation ko dikhata hey. Yeh pattern do main types ka hota hey: Rising Wedge aur Falling Wedge. Dono wedge patterns market mein price reversal ya trend continuation ka indication dety hein.
Rising Wedge Pattern:
Assalam o Alaikum Dear Friends, Fellows and forex members, Wedge Candlestick Pattern aik common chart pattern hey jo price action mein consolidation ko dikhata hey. Yeh pattern do main types ka hota hey: Rising Wedge aur Falling Wedge. Dono wedge patterns market mein price reversal ya trend continuation ka indication dety hein.
Rising Wedge Pattern:
- Appearance: Is pattern mein price gradually upar jata hey, lekin price ki highs aur lows dono converge karte hein, yani dono aik doosry ke qareeb ate hein. Yeh aik narrowing triangle ki tarah dikhta hey jisme dono trendlines upar jati hein.
- What does it indicate?: Yeh pattern zyada tar bearish reversal ka indication hota hey. Jab price wedge ke beech mein band hota hey aur support line break hoti hey, toh market mein selling pressure barh jata hey aur price neechy girne lagta hey.
- When is it Form?: Rising Wedge aksar uptrend ke bad banta hey. Yeh dikhata hey ke buyers momentum lose kar rahy hein aur sellers control lene wale hein.
- Jab price lower trendline ko break kary, tab sell ka signal hota hey.
- Stop loss ko wedge ke highest point par lagana chahiye.
- Profit target previous support levels ke around set kiya ja sakta hey.
- Appearance: Is pattern mein price gradually neechy jata hey, lekin lows aur highs converge karte hein, yani dono aik doosry ke qareeb ate hein. Dono trendlines neechy jati hein, lekin price consolidation dikhata hey.
- What does it indicate?: Falling Wedge aksar bullish reversal ka signal hota hey. Jab price upper trendline ko break karta hey, toh market mein buying pressure increase hota hey aur price upar ja sakta hey.
- When is it Form?: Yeh pattern downtrend ke bad banta hey aur dikhata hey ke sellers momentum lose kar rahy hein aur buyers ab control lene wale hein.
- Jab price upper trendline ko break kary, tab buy ka signal hota hey.
- Stop loss ko wedge ke lowest point par lagana chahiye.
- Profit target ko previous resistance levels ke pas set karna chahiye.
- Rising Wedge: Yeh aik bearish signal hey, jo dikhata hey ke market mein reversal ya continuation ho sakta hey agar yeh aik uptrend ke bad banta hey.
- Falling Wedge: Yeh aik bullish signal hey, jo dikhata hey ke downtrend ke bad reversal a sakta hey.
- Sirf wedge pattern par rely karna sahi nahi hota. Confirmation ke liye doosry indicators, jaise ke volume aur momentum indicators ka istemal zaroori hey.
- Volume ka increase jab breakout hota hey toh aik strong confirmation hota hey ke price breakout ko follow karyga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим