Forex trading mein entry orders ka istemal kar ke ap apni trading mein kamyabi haasil kar sakte hain. Entry orders ka matlab hota hai ke aap apni trading platform par ek aisi order place karte hain jis mein aap apni position ko open karna chahte hain. Iss article mein hum entry orders ke baary men tafseel se bat karen gy.
Market Order
Market order mein aap apni trade ko immediate execute karwate hain. Aap apni trading platform par market order place kar ke jis bhi currency pair mein aap interested hain, uss mein apni position open kar skte hain. Market order ki wajah se aap ki trade immediate execute hoti hai aur aap ki position market ke prevailing rate pr open ho jti hai.
Limit Order:
Limit order mein aap apni trade ko aik specific price par execute karwate hain. Agar ap market order ke bajaye limit order place karte hain to aap apni trade ko specific price par open kar sakte hain. Agar aap limit order place karte hain to aap ki trade execute tab hogi jab market price ap k specified price se match kary gi.
Stop Order
Stop order mein aap apni trade ko ek specific price se below ya above execute karwate hain. Agar aap apni trading platform par stop order place karte hain to ap ki trade execute tab hogi jab market price aap ke specified price se match karegi. Stop order ki madad se aap apni trade ko market mein volatility ko handle karte huye execute kr skte hain.
Conclusion
Entry orders forex trading mein bohat important hoti hain. In ki madad se aap apni trading strategy ko implement kar sakte hain aur market volatility ko handle karte huye apni position ko open kar sakte hain. Agar aap forex trading mein naye hain to aap ko entry orders ke baare mein sahi se jaan kari hni chahiye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим