**Introduction:**
Assalamu alaikum, ummeed hai ke KY Forex ke saare members khairiyat se honge. Aaj hum leverage aur margin ke concepts par baat karenge aur aapko in topics par mukammal maloomat denge.
**Description:**
Forex trading ek bohot aham tool hai margin trading aur risk management ke liye. Neeche dono concepts ko tafseel se samjhaya gaya hai.
1. **Leverage:** Leverage ka matlab hai ke aap apne paas kam paisa rakhtay hue zyada paisa trade kar sakte hain. Yeh aise hai jaise kisi company mein chuttiyan milti hain, jahan ek employee ko ek saal mein kuch din chutti milti hai. Jaise agar ek company 20-25 din ki chutti allow karti hai, to employee itne din ki chutti le sakta hai, jo company ke rules ke mutabiq hoti hai. Forex trading mein, agar aapke paas $1,000 hain aur aap 1:100 leverage use karte hain, to aap $100,000 (1000 x 100) ka trade kar sakte hain. Is tarah, aapki trading capacity bohot zyada barh jati hai, lekin risk bhi zyada ho jata hai. Choti si price change bhi aapke account par bohot bada asar daal sakti hai, jis se aapki investment ya margin kam ho sakti hai ya aap apna trading account poora kho sakte hain. Isliye trader ko apne risk tolerance aur trading plan ko acchi tarah samajh kar hi trading karni chahiye.
2. **Margin:** Margin ka matlab hai ke kisi employee ke paas kitni chuttiyan baaki hain. Agar kisi employee ne sirf 15 din ki chutti li hai aur company 25 din ki chutti allow karti hai, to uske paas abhi 10 din ki chutti baaki hai, jo woh baad mein use kar sakta hai. Forex trading mein margin se murad wo amount hai jo trader ko apne account mein rakhnay ki zarurat hoti hai taake wo trade open kar sake. Margin ki required amount broker ki policy aur trade ki size par depend karti hai. Margin ek tarah ka security deposit hota hai jo broker aapko leverage dene ke liye rakhta hai. Jab tak aapki trade profit mein hai, aap apna margin maintain rakh sakte hain. Lekin agar trade loss mein jaye, to margin bhi kam ho jata hai aur aapko extra funds add karne par sakte hain (margin call). Agar aap margin call ko nazarandaz karte hain, to broker aapki trade ko automatically close kar sakta hai.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим