All or None (AON) aur Fill or Kill (FOK) dono hi orders forex market mein istemal hote hain. In orders ki khaas baat yeh hti hai keh ye sirf puri amount ko execute karne ke liye istemal kiye jate hain. Yani keh agar aap ne AON ya FOK order diya hai to is ka matlab hai keh ap sirf puri amount ko execute karne k liye taiyar hain.
All or None (AON) Orders
AON orders mein aap ne khud se limit rakhi hoti hai keh aap kitni minimum quantity ko execute karna chahte hain. Agar us quantity ko execute nai kia ja sakta to pura order cancel ho jata hai. Yani keh agar aap ne 10,000 ki quantity ke sath AON order diya hai aur market mein sirf 5,000 quantity available hai to yeh order cancel ho jye ga.
Fill or Kill (FOK) Orders
FOK orders mein aap ne khud se limit rakhi hoti hai keh aap sirf puri quantity ko execute karne ke liye taiyar hain. Agar puri quantity execute nahi ki jasakti to yeh order cancel ho jata hai. Yani keh agar ap ne 10,000 ki quantity ke sath FOK order diya hai aur market mein sirf 5,000 quantity available hai to yeh order execute nahi hoga aur cancel ho jye ga.
Conclusion final words
All or None (AON) aur Fill or Kill (FOK) orders dono hi forex trading mein important hote hain. In orders ko istemal karne se ap apne trade ko better way mein manage kr sakty hain. Lekin in orders ko istemal karne se pehle aap ko inke advantages ar disadvantages ka pata hona zaroori hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим