Tricks to Hide Stop Loss from Big Traders:
Manual Stop Loss:
Mental Stop Loss:
Mental stop loss ka matlab hai ke aap apni mind main decide karen ke kis price pe aap exit karen ge, magar aap ye order system pe nahi lagate. Ye sirf un traders ke liye hai jo discipline rakhte hain aur impulsive decisions nahi lete.Hidden Orders (Iceberg Orders)
Agar aapke broker iceberg orders ki facility deta hai to aap iska faida uthain. Iceberg orders mein aapka total order size hidden rehta hai aur sirf choti quantity market main visible hoti hai. Is tarah se big traders ko aapka poora order dekhne ka moka nahi milta.Using Wider Stop Loss:
Aap apni stop loss ko thora wide set kar sakte hain, taake price fluctuations ke doran aapki stop loss hit na ho. Yeh approach zyadatar longer-term traders ke liye useful hoti hai jo chote fluctuations pe react nahi karte.Trailing Stop Loss:
Trailing stop loss aapko is tarah se help karta hai ke jab price aapki favor main move hoti hai to stop loss bhi uske sath move hoti hai. Yeh strategy aapko big traders se bachne main madadgar ho sakti hai kyun ke aapki stop loss dynamic hoti hai aur har waqt change hoti rehti hai.Using Multiple Smaller Orders:
Instead of placing one large order, aap multiple smaller orders place kar sakte hain. Is tarah se big traders ke liye aapki position ko identify karna mushkil hota hai aur aap apni stop loss ko effectively manage kar sakte hain.Order Execution Timing:
Kuch traders specific times pe stop loss orders place karte hain jab market ka volume high hota hai, jaise ke economic news releases ya market opening/closing times. Isse aapka order baaki bade orders ke sath mix ho jata hai aur aap target nahi bante. In tricks ko use karne se aap apni trading strategy ko enhance kar sakte hain aur stop loss hunting se bach sakte hain. Har trader ko apni trading style aur risk tolerance ke mutabiq best approach choose karni chahiye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим