Fractals forex trading chart pr ek bahut hi important tool hai, jiska istemal traders apni trading strategies ko develop karne mein karte hain. Yeh tool aapko market k trend aur reversals ko identify karne mein madad karta hai. Is article mein hum aap ko batayenge ki forex trading chart par fractals ko judge kaisy karein.
1. Fractals Ko Identify Karein
Sabse pehle aapko trading chart par fractals ko identify karna hoga. Fractals ka matlab hota hai "patterns within patterns. Yeh patterns chart par high aur low points ke around form hote hain. Aapko fractals ko identify karne ke lie chart par "Fractals" indicator ko add karna hoga.
2. Fractals Ko Analyze Karein
Fractals ko analyze karne ke liye aapko unki formation aur location ko dekhna hoga. Jab fractals chart par upward trend ke beech mein form hote hain to yeh "buy" signal provide karte hain. Jab fractals chart par down ward trend ke beech mein form hote hain to yeh "sell" signal provide karte hain.
3. Fractals Ko Confirm Karein
Fractals ki confirmation ke liye aapko other technical indicators ka use krna hoga. Aapko price action, moving averages aur oscillators jaise indicators ke signals ko bhi confirm karna hoga. Agar aapko lagta hai ki fractals ki formation sahi hai aur other indicators bi confirm kar rahe hain to aap trade kar sakte hain.
4. Fractals Ko Stop Loss Aur Target Ke Liye Use Karein
Fractals ko stop loss aur target ke liye use karna bahut hi important hai. Stop loss aapko loss ko minimize karne men mdad karta hai aur target aapko profit ko maximize karne mein madad karta hai. Aap fractals ko stop loss aur target ke liye use kar sakte hain.
Conclusion
Forex trading chart par fractals ko judge karna bahut hi important hai. Aap ko fractals ko identify, analyze aur confirm karna hoga. Fractals ko stop loss aur target ke liye use karna bhi bahut hi important hai. Agar ap fractals ko sahi se use karte hain to aap apni trading strategies ko improve kar sakte hain aur profitable trades kar sakte hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим