What is Ladder Bottom Pattern:
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #16 Collapse


    Ladder bottom candlestick pattern


    Introduction of Ladder bottom candlestick pattern


    Assalam o Alaikum dear friends and fellows Ladder Bottom Candlestick pattern forex trading me ek bullish reversal pattern hy. Is pattern ko dekh kar traders ko market me price trend ke badalne ki waja se bhe tawaqa hoti hy.Ladder Bottom pattern me price chart par kuch candlesticks ka takmel hota hy. Is pattern me aam taur par 3 candlesticks ka istemal kiya jata hy. Neechy diye gaye hein ladder bottom pattern ke kuch important khobian rakhta hay. Pehli candlestick hoti hay. Pehli candlestick bearish kay girawat wali hoti hy aur downtrend ko dekhati hy. Is candlestick ka range aksar lamba hota hy.Dusri candlestick pehli candlestick se neeche girti hy aur bearish hoti hy. Is candlestick ka range pehli candlestick se chhota hota hy.Tisri candlestick bullish badhawala hoti hy aur price ko upar ki taraf le jati hy. Is candlestick ka range dusri candlestick se bada hota hy.

    nazriya mein, seerhi ka neechay neechay ke rujhan ke baad qeemat ke ulat jane ki nishandahi karta hai, jab ke seerhi ka oopar oopar ke rujhan ke baad neechay ki taraf qeemat ke ulat jane ki nishandahi karta hai .
    haqeeqat mein, woh aik ulat patteren ke tor par kaam karte hain jo waqt ke 50 % se kuch ziyada hotay hain .
    seerhi ke neechay / oopar ke patteren kaafi nayaab hain, is liye un ki tijarat ke mawaqay mehdood hain .





    Identification of Ladder bottom candlestick pattern

    Friends Ladder Bottom pattern ki identification ke liye, aap ko candlestick chart analysis karni hoti hy. Is pattern me, small candles ki series ko dekhty hue, ek bullish candle ke formation ka wait kiya jata hy. Jab ye bullish candle form hoti hy, to ye ladder bottom pattern complete hota hy.Ye pattern trend reversal ke indication ke taur par use hota hy. Lekin is pattern ke confirmation ke liye, aapko dusry technical indicators aur price action ke signals ka bhi analysis karna hota hy. Market conditions ko samajhny ke liye, forex trading me knowledge aur experience ka hona bhi zaroori hy .Ladder bottom candlestick pattern forex me ek technical analysis tool hy, jiska istemal market trends aur price reversals ke waqt kiya jata hy. Yeh pattern normally downtrend ya bearish market me dekha jata hy




    Trading with Ladder Bottom Candlestick

    Dear Fellows Agar aap Ladder Bottom pattern ko pehchan lein to aap ek buy trade ki soch sakty hein. Jab 3rd bullish candlestick form ho, aap long position enter kar sakty hein. Stop loss aap pehli do bearish candlesticks ke low prices ke neechay rakh sakty hein aur target price ko trend ke hisab se set kar sakty hein.Ladder Bottom pattern ek important candlestick pattern hy jo downtrend ke baad trend reversal ka indication deta hy. Lekin, hamesha yaad rakhein ke technical analysis me aur bhi factors hoty hein jo trading decisions par asarandaz ho sakty hein, is liye is pattern ki tasdeeq dusry tools aur indicators se bhi karein.Mujhy umeed hy ke yeh samjhny me madadgar sabit hoga.




    like tu banta hai

    اب آن لائن

    Working...
    X