Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern
    Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern ya patteh ek mukhtalif tarah ka patra hai jo sheher ka pata nahi chala sakti hai. Ye ek bearish reversal pattern hai jo ke market ki uptrend ya up-move ke baad aata hai aur bearish trend ki shuruaat ko darust karta hai. Is patteh ka naam "abandoned baby" is wajah se hai ke is patteh mein teen candles hoti hain aur ek chhota candle do bade candles ke darmiyan "abandoned" ya chhod diya gaya hai.
    Is patteh ko samajhne ke liye, pehle humein iske teen alag-alag parts ko samajhna zaroori hai: pehla candle ek bada bullish candle hota hai jo uptrend ko represent karta hai. Dusra candle chhota hota hai aur iska shadow pehle aur teesre candles ke darmiyan hota hai, jo ek gap create karta hai. Teesra candle ek bada bearish candle hota hai jo neeche ki taraf move karta hai, indicating a bearish reversal.

    Is pattern ki samajhne ke liye, humein kuch key points ko dhyan mein rakhna chahiye:

    1. Pehla Candle (Bullish): Ye candle ek strong bullish trend ko represent karta hai.
    2. Doosra Candle (Small): Ye candle chhota hota hai aur pehle aur teesre candles ke darmiyan ek gap hota hai, indicating a sudden change in sentiment.
    3. Teesra Candle (Bearish): Ye candle bearish hota hai aur neeche ki taraf move karta hai, confirming the reversal.

    Jab humein lagta hai ke bearish abandoned baby pattern form ho raha hai, to humein teesre candle ka close ke pehle aur doosre candle ka open ke baad ke prices ko dekhna chahiye. Agar teesra candle ke close pehle aur doosre candles ke low ke neeche hota hai, to ye pattern confirm hota hai aur bearish trend ki shuruaat ko darust karta hai.

    Yeh pattern traders ke liye ek mukhtasir aur powerful tool hai market ke direction ka andaza lagane ke liye. Agar kisi trader ko lagta hai ke market mein bearish trend shuru hone wala hai aur bearish abandoned baby pattern form ho raha hai, to woh apne positions ko adjust kar sakta hai ya phir new positions enter kar sakta hai bearish side par.

    Is pattern ko samajhna aur istemal karna traders ke liye zaroori hai takay woh market ke movements ko samajh sake aur sahi waqt par apne trades ko manage kar sakein. Magar, hamesha yaad rakhein ke kisi bhi pattern ya indicator ko istemal karne se pehle proper risk management aur thorough analysis ki zaroorat hoti hai.

    Bearish abandoned baby pattern ek powerful bearish reversal signal hai, magar iska istemal karne se pehle traders ko market conditions aur dusre factors ko bhi dhyan mein rakhna chahiye.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!

    Bullish Kicking Pattern


    Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k intehaye higher position ya bullish trend k baad bantta hai. Ye pattern aik unique qissam ka pattern hai, jo bohut kam hi prices main nazzar atta hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hotta hai. Jiss main pehlee candle aik strong bullish trend ki alammat hotti hai, aur dosree candle aik doji candle (umoman star doji candle hotti hai, lekin zarori nahi hai) hotti hai, jo k bullish candle se gap main open aur close hotti hai. Last candle aik bearish candle hotti hai, jo k doji star candle se below gap main open aur close taqreeban pehlee candle k midpoint se ziada ya bullish candle k open price k barabar hotti hai.

    Candles Formation


    Bearish abandoned baby candlestick pattern k bare mein pehle hi bataya geya hai k ye pattern ek bearish trend reversal pattern hai, aur high prices area main bhi bannta hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehlee bullish candle, dosree doji candle aur teesri aik bearish candle hotti hai, aur ye candles darrjazel format main honi chaheye ;

    Click image for larger version

Name:	images (5).jpeg
Views:	19
Size:	16.9 کلوبائٹ
ID:	12815460
    1. First Candle: Bearish Abandoned baby candlestick pattern main pehlee candle aik strong aur long real bidy wali white ya green yanni bullish candle hotti hai, jo k market k bullish trend ki mazzboti ki tarraf ishara kartti hai.
    2. Second Candle: Bearish Abandoned baby candlestick pattern main dosree candle aik doji candle bannti hai, jo umoman ya ziddar tar star doji candle hotti hai. Iss candle ki opening aur closing price same hi hotti hai. Ye candle pehlee candle se gap main open aur close hotti hai.
    3. Third Candle: Bearish Abandoned baby candlestick pattern ki teesri candle aik strong aur long real body wali bearish candle hotti hai, jo k dosree candle se gap main below open hotti hai, jab k close bullish candle k body ya bottom par hotti hai.


    Explaination


    Bearish Abandoned baby candlestick pattern aik strong bearish trend reversal pattern hai, jo k dekhne main bulkul evening star candlestick pattern ki tarah hotta hai, lekin doji candle k difference ki waja se ye pattern "Evening Star Pattern" se bohut mukhtalif ban jatta hai. Ye pattern prices k uptrend ya high price area main bannta hai, jahan se ye trend reversal ka kaam kartta hia. Bearish Abandoned baby candlestick pattern teen candles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jiss main pehlee candle color main white ya green yanni bullish trend wali candle hotti hai, ye candle long real body main banne ki waja se bullish trend ki mazbotti ki alammat hotti hai. Dore din ki candle aik doji candle hotti hai, jo k prices ko temporary pause kar detti hai aur iss candle ka opening aur closing price same hotti hai. Ye candle pehlee candle se gap main ooper ki tarraf bantti hai. Pattern ki teesri candle aik strong bearish candle hotti hai, jo k dosree candle se gap main open hotti hai aur close bullish candle main ya uss se nechay ja k hotti hai. Ye candle prices k bearish trend reversal ka sabbab bantte hen.

    Trading

    Click image for larger version

Name:	images (6).jpeg
Views:	8
Size:	54.0 کلوبائٹ
ID:	12815461


    Bearish Abandoned baby candlestick pattern par trading karnne k leye market aap ko sell ki entry karnni paregi, lekin pattern par bagher trend confirmation k trade laggana bohut ziadda riski hai. Ye pattern banntta to bullish trend main hai lekin ye zarrori nahi k prices lazzmi bearish reversal honggi. Pattern par trade se pehle dosre technical indicators se market ki trend confirmation karlen, aggar market ki confirmation price action jaise pattern k baad aggli candle bhi bearish bannti hai to ye trend confirmation ho jatti hai. Confirmation candle k baad market main sell ki entry karen aur Stop Loss k leye market ka sab se upper position, jo k umoman doji candle ka high position banega se two pips above par set karen.

    اب آن لائن

    Working...
    X