ATR Indicators how to trade with it in Forex Trading.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    ATR Indicators how to trade with it in Forex Trading.
    Introduction.

    ATR indicators forex trading mein bohat ahmiyat rakhte hain. ATR indicators ki madad se traders apni trades ke liye risk management kar sakte hain. Is article mein hum ATR indicators ke bare mein roman urdu mein batayenge.

    Click image for larger version

Name:	images - 2024-01-23T184621.042.png
Views:	23
Size:	11.9 کلوبائٹ
ID:	12813523

    ATR ka matlab hai Average True Range. Yeh indicator market volatility ko measure karta hai. ATR ki value market ke price movements ke hisab se badalti hai.

    ATR Indicators Uses.

    ATR indicators ka istemal traders apni trades ke liye stop loss aur take profit levels set karne ke liye karte hain. ATR ki value se traders ko pata chalta hai ke unke trades ke liye kitna risk lena hai aur kitna profit target set karna hai.

    ATR Indicators Calculations.

    ATR indicators ki calculation market ke price movements ke hisab se ki jati hai. Yeh indicator market volatility ko measure karne ke liye banaya gaya hai. ATR ki value ka calculation is formula se kiya jata hai:

    ATR = [(Current High - Current Low), (Absolute Value of (Current High - Previous Close)), (Absolute Value of (Current Low - Previous Close))] / 3

    ATR Indicators Benefits.

    ATR indicators forex trading mein bohat faide mand hote hain. Yeh indicators traders ko market volatility ke hisab se apni trades ke liye stop loss aur take profit levels set karne mein madad karte hain. Yeh indicators traders ko market trends aur reversals ka pata lagane mein bhi madad karte hain.

    ATR Indicators main Points.

    ATR indicators ke kuch khaas points hain jo traders ko dhyan mein rakhne chahiye:

    - ATR indicators ki value ko traders ke trading style aur risk tolerance ke hisab se adjust kiya jana chahiye.

    - ATR indicators ki value traders ke trades ke stop loss aur take profit levels set karne mein madad karte hain.

    - ATR indicators ki value market volatility ke hisab se badalti hai, is liye traders ko regularly ATR indicators ko update karna chahiye.

    Click image for larger version

Name:	images (77).jpeg
Views:	14
Size:	31.3 کلوبائٹ
ID:	12813524

    ATR indicators forex trading mein bohat ahmiyat rakhte hain. Yeh indicators traders ko market volatility ke hisab se apni trades ke liye stop loss aur take profit levels set karne mein madad karte hain. Traders ko ATR indicators ki value ko apne trading style aur risk tolerance ke hisab se adjust karke istemal karna chahiye.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Average True Range (ATR) Indicator


    Average True Range (ATR) aik simple lekin bohat maqbool indicator hai, jisay market ke volitilety yani utaar charhao ki nishan-dahi karne ke liye design kya gaya hai. ATR indicator ko J. Welles Wilder ne1978 apni book 'New concepts in technical trading systems' mein iss ki tafseel bayan ki hai. Ziyada tar dosre indicators k bar-aks, yeh indicator traders ko entry points faraham nahi kerta hai. ATR ko market k volitilety yanni utaar charhao k liye design kya gaya hai. Traders k leye trading k dowran volitilety ki level ko janna shayad sab se ziyada mufeed hai, aur jab baat aap ke take profit aur stop loss ka taayun karne ki ho to iss ki ahmeyat aur bhi barh jati hai. Take profit aur stop loss ki salahiyat ne ATR indicator ko traders ke liye maqbool tareen tools mein se aik bana diya hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2024-01-23T212629.020.jpeg
Views:	45
Size:	54.9 کلوبائٹ
ID:	12813575

    ATR Calculation


    J. Welles Wilder ne ATR indicator ki calculation ki apne aik khas technique design ki hai, jiss main unhon ne do line True Range (TR) aur Average True Range (ATR) ki pehle calculation karni hai. True Range ki calculation darjazel tarah se hoti hai;

    1. High - Low
    2. High - Previous Close
    3. Low - Previous Close



    True ki calculation k baad Average True Range (ATR) number ko malom karna hai, jiss k leye darjazel formule ka istemal kia jata hai ;

    Current ATR = [(Prior ATR x 13) + Current TR] / 14


    1. Multiply the previous 14-day ATR by 13.
    2. Add the most recent day's TR value.
    3. Divide the total by 14




    Explaination

    ATR indicator is baray mein maloomat ko zahir karta hai ke market kitni volitile ka shikaar hai, jis mein average se oopar ki value high volitile ki nishan-dahi karti hain aur average se low value kam volitilety ki nishan-dahi karti hain. Yeh khaas tor par market ki movement ke aaghaz mein bohut achah bartao karta hai.
    Aam tor par trader ATR indicator ka istemaal is bunyaad par karta hai, k market mein volitilety kaisay increase hoti hai. Dosre instruments par ATR jitna ziyada hoga, stop loss aur take profit itnay hi wasee hon gey, jo istemaal main laye ja saktay hen. Iss k bar-aks, agar ATR ki value low hai, to stop loss aur take profit ko kam kya ja sakta hai taakay woh is waqat ki market ki halat mein ziyada durust tareeqay se fit ho jayen. Trader apni trading tarjeehat ki bunyaad par short ya long timeframe istemaal kar satke hai.
    Aap aasani se ATR indicator ko apne skilling trading plateform mein shaamil kar satke hain. Aap ko sirf indicator ke drop down manu mein ATR type karne ki zaroorat hai. Yahan ap ko mukhtalif colors k sath sath input data (misaal ke tor par small ya long timeframe) bhi tabdeel kar satke hain. ATR indicator price chart ke neechay aik izafi window mein open jaye ga.

    Click image for larger version

Name:	images - 2024-01-23T212539.879.jpeg
Views:	8
Size:	60.7 کلوبائٹ
ID:	12813576

    Canclusion

    Average True Range (ATR) indicator aik bohat hi unique indicator hai aur jiss ki waja se ye bohut ziada mashahoor hai. Wese to ye indicator trading k leye entry point faraham nahi karta hai, lekin ye unn points ki nishan-dahi karta hai, jiss ko aam tawar par trading k dowran ziada tawajah nahi de jati hai. Market ki volitilety ko janna intehai zaroori hai. Q k is ke baad aap na sirf yeh faisla kar satke hain ke aya ye makhsoos market aap ke trading techniques ke liye mozoon hai, aur jab aap trading ke sath agay bherne ka faisla karte hain, to yeh indicator aap k take profit aur stop loss mein bhi aap ki madad kar sakta hai. Yeh indicator aik achay risk managment ka bara hissa hai. lehaza, hum yakeeni tor par ATR indicator ka mutalea karne aur usay apne analysis mein istemaal karna zarori tawar par shamil karna chaheye.



    اب آن لائن

    Working...
    X