Assalamu Alaikum Dosto!
Morning Doji-Star Candlestick Pattern
Morning doji star candlestick pattern market main ziada ferokht k baad bearish trend main banta hai, jahan se qeematon ka mumkina tawar oar bullish trend reversal hona hoti hai. Morning doji star pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad aik doji candle hoti hai. Ye candle aam twar par doji star candle hoti hai, jiss ka open aur close taqreeban same point ya price par hota hai. Pattern k last par aik aur long real body wali bullish candle hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
Candles Formation
Morning doji star candlestick pattern teen candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bearish dosre doji candle hoti hai, jab k last par aik bari real body wali bullish candle hoti hai. Inn candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
- First Candle: Morning Doji-Star Candlestick Pattern ki pehlee candle aik strong bearish candle hotti hai, q k qeematen pehle se hi bearish trend main harkat kar rahee hotti hai, is waja se is candle ka bearish hona zarorri hai. Pehlee candle aik strong aur long bearish trend candle hotti hai, jis ka upper aur lower wick bohut chotta hotta hai.
- Second Candle: Morning doji star Candlestick Pattern aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same price par hoti hai. Ye candle ziada tar doji star candle hoti hai, jo k pehle aur dosre candle k darmeyan main down side par gap main banti hai. Ye candle bagher kisi colir ki hoti hai.
- Third Candle: Morning Doji Star Candlestick Pattern ki teessri candle aik strong bullish candle hotti hai, jo k trend reversal ka kaam kartti hai. Ye candle bhi dosree candle se gap main up side par open ho kar higher par ja kar close hotti hai. Teesrri candle pehlee candle k real body k 50% se ziadda par close honi chaheye.
Evening Doji-Star Cndlestick Pattern
Evening doji star candlestick pattern "Morning doji star candlestick pattern" k bar akas opposite direction main bullish trend main banta hai, jahan se prices bearish trend reversal main change hona shoro karti hai. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad aik small doji candle hoti hai, jo umoman star doji candle hoti hai. Pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jiss k baad prices mumkina tawar par bullish trend de bearish trend main badal jati hai. Bullish aur bearish candle k darmeyan banne wali doji star candle dono se upside par gap main banti hai.
Candles Formation
Evening doji star candlestick pattern teen candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bullish dosre doji candle hoti hai, jis ka open aur close same price par hota hai, jab k last par aik bari real body wali bearish candle hoti hai. Inn candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
- First Candle: Evening doji star Candlestick Pattern ki pehlee candle aik strong bullish candle hotti hai, q k qeematen pehle se hi bullish trend main harkat kar rahee hotti hai, is waja se is candle ka bullish hona zarorri hai. Pehlee candle aik strong aur long bullish trend candle hotti hai, jis ka upper aur lower wick bohut chotta hotta hai.
- Second Candle: Evening doji star candlestick pattern aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same price par hoti hai. Ye candle ziada tar doji star candle hoti hai, jo k pehle aur dosre candle k darmeyan main down side par gap main banti hai. Ye candle bagher kisi colir ki hoti hai.
- Third Candle: Evening doji star Candlestick Pattern ki teessri candle aik strong bearish candle hotti hai, jo k trend reversal ka kaam kartti hai. Ye candle bhi dosree candle se gap main down side par open ho kar lower par ja kar close hotti hai. Teesrri candle pehlee candle k real body k darmeyan se ziadda par close honi chaheye.
Trading
Morning doji star aur evening star candlestick patterns dono trend reversal pattern hen, iss waja se qeemten iss position se rebound hona shoro karti hai, lekin uss k leye kuch zarori conditions hen, jin ka hona zarori aur aham hai. Pehla ye k ye pattern prices k intehaye top ya bottom par banna chaheye, jo umoman indicator ls par overbought ya oversold zone hona chaheye. Dosra patterns par trading k leye trend confirmation candles ka hona zarori hai. Morning doji star pattern par buy ki entry aik bullish candle k baad hongi, jab k evening doji star pattern par trading se pehle bearish candle ka confirm hona zarori hai. Trend confirmation candles ka real body main bhi hona zarori hai, jab k pattern k trend k opposite direction k candles banne par pattern ka reaction invalid ho jata hai, jiss par trade entry se parhez karen. Stop Loss ka istemal zaror karen jo k loss se trades aur account ko mehfoz banata hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим