Lpw volume pullback trading strategy...
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Lpw volume pullback trading strategy...
    Introduction and Definition of Pattern:-


    Aslam u alaikum,


    Dear forex member umeed karta hoon ap sab khairiyat se hoon gy dear members low volume pull back darasal supports ki taraf aik technical correction hoti hay jo average ki bajaye volume mazeed low ho jany ki waja say hota hay. Yahan per traders yehi khial karty hain keh market reversal main nai a rahi balkeh jald up side jaye gi aur is tarah woh apna mazeed profit margin increase kar laity hain. Ab yahan ghor karna hoga keh market kay weak ho jany ki waja say low volume average volume say ziadah hota hay laikin yeh support say up he rehta hay jis waja say market again uptrend main he jati hay. Han ager high volume decline ho jaye to market main short term reversal a sakti hay.


    Low volume Pull Back Explanation

    Dear forex forum members Trend ki opposite direction main jo mamool kay mutabiq moves ati rehti hain yeh darasal low volume ki waja say hoti hain aur normal fluctuations ka results hoti hain. Jis waja say market jald he pull back kar jati hay aur reversal ki bajaye again upside jana start kar daiti hay. Jab keh ager market main high volume spike aye to traders isko fori tor per exit signal consider karty hain aur yeh natija akhaz karty hain keh current trend about to end hay aur reversal any wali hay.

    Trading Strategy Guide

    Forx forum members Kafi traders ki koshish hoti hay keh woh market main jab weakness aye to is surat main enter ho jayain. Specially low volume pull back situation unko is liye bhi pasand hoti hay keh unka risk reward ratio affordable hota hay yani support area kay close he woh stop loss lagaty hain. Jab keh long term traders is surat main dip area say buy karny main interested rehty hain keh low volume pull back ki waja say low say buy karny say unka profit ziadah hoga. Is liye hamain yahan trading interest show karny say pehly on balance volume indicator ka use karna chahiye ta keh hamain pata chal saky keh market ka volume low, high ya average hay, then hamain is hisab say trading plan karni chahiye. Low volume pull back candelstick pattern ko fallow krne se hume kitna faida milta ha hum achi trading kr sakte hein is mn hum agr complete knowledge le k kam krein tu ye risky business ha hume is mn sanj k kam krna hota ha low volume pull back eik bohat hi acha candel pattern ha jise hum fallow kr k market mn achi trading kr sakte hein trading hum relex mind k sath kam krein tu faida milen ga.


    Trading Management Plan

    Dear forex member hume low pull back k bhrey mn pta hona chaiye ye market mn support ki traf se hoti ha hume is bat ko yaqeeni bana na hota ha k market mn reversal ni ho rhi ha kuch tempory move ha market mn same hi move hogi is liye hum is mn entry le k market se faida le sakte hein market k weak ho jane ki waja se market ka low volume average k hisab se zaida hota ha lekin support se up hi rehta ha hume is mn knowledge ko current timing ki zahrorat hoti ha is ki waja se market mn trends change hi hota ha same hi rehta ha agr high mn market decline ho jati ha tu chances hote hein trends k reversal hone k is liye hume is mn samj k kam krna hota h .

    Conclusion

    My Dear forex member bohat se trader ese hote hein jo market se faida udne k liye wait krte hein hume market ki weakness k bhrey mn pta hona important ha low volume pull back se hum faida uda sakte hein is mn jab market mn zada risk hota ha os time hume trading kam krni hoti ha ur jab market slow move kr rhe hoti ha hume market ki weekness k bhrey anadaza ho jata ha ur wahan py hum enter ho k faida le sakte hein hume is mn low volume k sath kam krna hota ha ise hum safe trading kr sakte hein .
    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Lpw volume pullback trading strategy...
    Click image for larger version

Name:	download (68).jpeg
Views:	27
Size:	22.1 کلوبائٹ
ID:	12781454

    Introduction and Definition of Pattern:
    Click image for larger version

Name:	download (67).jpeg
Views:	12
Size:	16.5 کلوبائٹ
ID:	12781455

    Pattern ka mtlb hota hai kisi cheez ka dhancha ya namoona. Trading aur technical analysis mein, "pattern" ek makhsoos qisam ka price movement hai jo chart par nazar aata hai aur traders ko future price ki prediction mein madad karta hai.

    Pattern, market behavior ka visual representation hota hai jise traders istemal karte hain taake woh future price trends ko anticipate kar sakein. Har pattern apne tajurbe aur maqamiyat ke mutabiq tafseelat aur signals provide karta hai.

    Market mein kuch aam patterns shamil hain, jaise ke:
    1. Head and Shoulders Pattern: Yeh pattern market mein trend reversal ko indicate karta hai aur typically uptrend ke baad ata hai.
    2. Double Top and Double Bottom: Yeh patterns trend reversal ko suggest karte hain. Double Top ek uptrend ke baad aata hai, jabke Double Bottom ek downtrend ke baad.
    3. Triangles (Symmetrical, Ascending, Descending): Inmein market ka consolidation aur phir breakout hota hai. Symmetrical triangle sideways market ko represent karta hai, jabke Ascending triangle bullish breakout aur Descending triangle bearish breakout ko darust karti hai.
    4. Flags and Pennants: Yeh patterns short-term continuation patterns hote hain jo trend ke direction mein hone wale moves ko darust karte hain.
    5. Cup and Handle Pattern: Yeh pattern ek rounded bottom ke baad ata hai aur future uptrend ko indicate karta hai.

    Pattern recognition, traders ko market trends aur reversals ko samajhne mein madad karta hai, lekin hamesha yaad rahe ke patterns 100% guarantee nahi dete aur market conditions badal sakti hain. Is liye, traders ko doosre technical tools aur risk management ke saath patterns ka istemal karna chahiye.




    اب آن لائن

    Working...
    X