Pending Orders in Trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pending Orders in Trading
    Pending Orders in Trading
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Pending Orders in Trading Inroduction Dear Fellows, For the first time in trading traders become know about pending orders. Yaha trading mein basically pending orders woohote hain kay Jin se aap Forex trading mein different situations main market ko analyse karte hue kisi b ek point per apna pending order place kartay hain jisse aapko trade automatically open Ho jaati hai aur aapko is main jyada hardwork nahin karna padta aur aapki trade automatically execute hone ke bad ekk awar aik point per reach honau k baad Forex trading mein main proper profit dene ke bad automatically close Ho heej aati hai so why aapko a targeted nafaa mil sakta hain for that aapko ess main work karne ke liye main se kam karna hota hai aur achcha kam karne chahie aap Forex trading mein successfull ho sakte hain forexme basic limits ko use krny sy ap ki ziada profit ho skta hain. So why important baat k esko basic main use karna chahiay. Importance Fellows, Trading market main esski bahot importance hain. Ess main hmara kaam ye hai kay ap market kay anylsis kar kay es mai acha kam kartye hain tu ap es mai kabhi nakam nhi hotye hain tu ap acha kam karain aur hamesha ap kosesh karain kay pending order dix karnay hain tu daikh kay aur smjah kay lagain so after that eas mai ap k liay problem na banye aur ap es mai acha kam kar lain kiyu kay pending order ka kafi faida hao aik tarha say daikha jaye tu kiyu kay pending order laga ho aur ap ko pta he nhi hai. dusri side pay Sell limit hum log us waqat use karty ham jab market main value resistance level pe hoti ha or wahan sy ziada chance resistance level ko touch kar k wapis jany k hoty hai to us time log sell limit fix kartay han means jab market is level ko touch kar k wapis aati ha to humy maximum profit ho sakta ha is ley humy chae ha ziada sy ziada profit hasil karny k ley sahe analysis karny or is k mutabiq apna order lagany k soch sakty hain. Dusri side py Buy limit main hum log support level pe lagaty han jab bi market support level pe buy limit ko touch kar k wapis aay ge to maximum profit hasil ho sakey ga warna humko ziada loss nahi ho gaa agar support level break kar dage to wahan stop loss humary account ko safe rakhy gay awar nuksaan say bacha jaa sakyga. Conclusion Fellows, Yaha trading market main sell ki trade lagani hoti ha tu hum is pending order sa facilitate hoty han. Sell limit hum log us waqat istamal karty ham jab market main value resistance level pe hoti hain to wahan sy ziada chance resistance level ko touch kar k wapis jany k hoty hain so to us waqt log sell limit lagaty han means jab market ess level ko touch kar k wapis aati ha to humy maximum profit honay ka chance paida hojata hain. Thanks
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!

      Forex Orders




      Forex orders ki bohat si mukhtalif aqsaam hen, jinhein trader apni trading ko munazzam karne ke liye istemaal karte hen. Agar cheh yeh mukhtalif brokers ke darmiyan mukhtalif ho satke hain, lekin forex order ki kayi bunyadi aqsam hoti hain jo tamam brokers istemal karte hain. Yeh janna k forex orders kya hen aur expert traders ko munasib tareeqay se market mein entry karne aur exit hone mein madad mil sakti hai. Main forex trading main do tarah k orders istemal keye jate hen, jiss main aik market order aur dosra pending orders hote hen. Pending orders ko mazeed do hiso main taqseem kia jata hai, jiss ki sari tafseel darjazeel hai;

      Click image for larger version

Name:	images (1) (237).png
Views:	19
Size:	25.7 کلوبائٹ
ID:	12780699

      MARKET ORDERS


      Market order shayad sab se basic order main se hai aur ye sab se pehla order hota hai, jo ziada tar by-default bhi free selected hota hai. Market order ke naam ka matlab hai, market orders main trading current market mein hoti hai, iss ka matlab hai k agar app market k current position par currency ki buy ya sell karna chahte hen, to ye order istemal kia ja sakta hai.
      Aam tor par, scalpers aur day traders apni hikmat e amli ke mutabiq taizi se market mein entry aur exit hone k liye market orders par inhisaar karte hen. Misal k tawar par agar EUR/USD ki maojoda qeemat 1.1234 hai to trader jab market order put karta hai, to uss ki buy ya sell ki entry EURUSD ki maojoda qeemat yanni 1.1234 k mutabiq hoti hai.

      Pending Orders

      Market order k elawa sab se aam forex order ki qisam pending order hai. Yeh orders is lehaaz se munfarid hain ke inhen mojooda market ki qeematon se kisi aur qeemat par rakha ja sakta hai. Pending order main entry point ko market ki maojoda qeemat k elawa kisi bhi qeemat par set kia ja sakta hai. Jab bhi market ki current qeemat uss value ko touch karti hai, to ye order auto par active ho jata hai. Aam tor par pending orders ko breakout ke liye ya deegar strategies ke sath istemaal kya ja sakta hai, jab qeemat aik khas position k baad trend reversal ya trend continuation ko follow karna shoro karti hai.

      1. Buy Limit Forex trading me buy limit wala option hum us waqat istemal karte hen, jab bhi forex trading market me hum chahte hen k market price downward semat me aik khas position pe pohunch jaye to us waqat buy limit ki trade auto pe open ho jaye. Buy limit trader's us waqat chonte hen jab forex trading market me hum kisi reversal trend ka intezar karte hen k market ki price aik bearish side pe jane k bad reversal ho kar upward (bullish) trend chalay ga. Is waja se hum forex trading market me buy limit ka option lagate hen. Hamen forex trading market me buy limit ko proper technical analysis ka istemal karte howe lagana chaheye. Buy limit k leye zarori hai k hamen market me support levels ka pata ho, k hum asani se buy limit ki position set kar saken.

      2. Sell Limit Forex trading me sell limit ka option aur kaam buy limit k oposite semat pe hoti hai. Forex trading me sell limit ka option traders us waqat chunte hen, jab bhi trader's ko lagta hai k market me trend kuch waqat ya lamhay k leye upward jane k bad reversal ho jayegi aur market me baqi downward (bullish) trend hogi. Sell limit me hamen market ki resistance ka pata hona chaheye, k us k bad market ki movement lazmi reversal ho sakti hai is waja se hamen market me sell limit ka option istemal karte hen.

      3. Sell Stop Forex trading me sell stop us waqat hum istemal karte hen jab market me hum kisi trend ki position dekh rahe hote hen k agar market ki price downside pe support position ko break karta hai to us waqat hamara sell ki lot lag jaye, is option ko jab bhi hum istemal karte hen to is ko sell stop kehte hen. Sell stop ki position future ki position hoti hai aur is me hum jo pending istemal karte hen wo future time k leye hota hai.

      4. Buy Stop Buy stop ki pending order sell stop ki pending order se bulkul opposite hoti hai aur is me hum kisi uptrend side ki prediction pe pending order put karte hen k agar market upside pe aik resistance position ko break karta hai to us waqat hamara buy stop ki position us waqat enter ho jaye. Buy entry hone ki waja se is order ko buy stop kehte hen.

      Pending Order Lagane Ka Tareeqa

      Forex trading market main pending orders bhi market order ki tarah asani se lagaye ja sakte hen. Taqreeban tamam brokers apne apne clients ko aik jaisa mahol faraham karte hen, jab k mt4 aur mt5 plateform main to sare same hi hote hen, pher order open karnw ka procedure darjazel hai;
      1. Kisi bhi currency pair k ooper click karen aur open order wala option choose karlen.
      2. Trade ki simat ka intikhab karen yanni buy ya sell ko muntakhib karen.
      3. Qeemat ki uss level ko mutakhib karen, jiss par order open aur close karna chahte ho, yanni ye position maojoda qeemat se ooper ya nechay ho sakti hai.
      4. Uss k baad lot size aur take profit/stop loss ki position set karen.
      5. Last par order ko Add karen, jiss k baad market ki maojoda qeemat ko apne pending order tak pohunchne ka intezar kare.


      اب آن لائن

      Working...
      X