Forex Trading Terminology : Wap and Swap Free Accounts

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading Terminology : Wap and Swap Free Accounts
    Forex Trading Terminology : Wap and Swap Free Accounts
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Swap Free Account
    Forex trading me kisi be open trade pe jab market me date chnge ho jeye to us pe jo charges lagu hote hen un ko swap kaha jata hai. Swap ko aam tawar par hamare aam lafzon me sood (intrust) kaha jata hai. Swap account k aam tawar par dosre charges jese spreads waghera kam hoti hai lekin us me trade pe charges lagu hote hen. Islamic point of view se kisi bhi trade pe swap dena hamare leye mana hai aur hamen account open karte waqat ye baat insure karna chaheye k hum swap free account pe hi trading karen. Maximum forex broker apne islamic countries me rehne wale clients ko swap free account ki sahulat muyasar karte hen. Is se brokers k aitemad aur values me bohut izafa hota hai. Swap free account na sirf hamare islamic clients k leye faida mand hai bulke non Muslims k leye bhi ye account faida deti hai. Q k swap free account se un k open trades pe koi charges ya intrust rate nahi lagta aur ye extra charges se pak account hota hai. Swap free account me aik trade jitna marzi time k leye open ho us pe koi bi extra charges nahi lagte. Swap free account ka forex trading me faide ziada hen wahan is ka aik back point broker ki taraf se ye hota hai k wo swap free account pe dosre charges ziada karte hen aur swap free account k spreads ko dosre account ki nisbat ziada karte hen. Lekin overall pher bhi hamen swap free account ka hi faida melta hai.
    Account swapping
    Forex trading me aam tawar par maximum ya sare keh lo jitne bhi brokers hen un ka taluq European ya gher muslim mumalik se hi hota hai. Un mumalik me paiso ki lain dain me sood (intrust) mana nahi hai. Aur wo qanoni tawar par bhi aur ikhlaqi tawar par bhi peso ki lain dain me sood(intrust) karte hen. Forex trading aik buisiness hai aur is me bhi paiso ka lian dain hota hia. Jab bhi hum kisi brokers k sath account open karte hen aur hum apne account pe koi trade open karte hen us k bad agar wo open trade ziada waqat k leye continue rehta hai to is pe brokers hum se charges (commission) osool karta hai jo k swap kihlata hai aur ye swap hamare account ka sood (intrust) hota hai. Abhi hum soch rahe hongay k hamare peso pe agar hum trade open karte hen to brokers swap (intrust) q leta hai, to is ki reason ye hai k jab bhi hum apne account me money deposit karte hen to hamare account ki margin itni nahi hoti hai k hum us se bare pemane pe khareed wa perokht kar saken to is waja se humen brokers apni taraf se account pe leverage deta hai, yani hamari account ki limits ko increase karta hai. Is se hum ziada stocks ki khareed wa ferokht kar sakte hen. To is waja se brokers hamare account pe swap charges osool karta hai. Swap chages har aik trade pe alihda hoti hai aur is ka taluq lot size se hota hai. Agar hum lot size ko increase karengay to swap bhi increase hoga aur agar hum lot size minor rakhengay to swap changes bhi kam hi hongay. Har broker ki b alihda se swap charges hote hen.
    Advantage and Disadvantages of Swap Accounts
    Forex trading me agar hum kisi bhi brokers k pas se swap accounts ko open karte hen to is brokers apne spreads ko kam rakhta hai. Swap accounts me bohut hi ziada kam spreads hoti hai, jo k brokers ki asal khamaye hoti hai. Is se traders ya investers ko ziada profit hasil hoti hai. Jab bhi account ki pair k darmeyan spreads kam hongi to is se hamare trade kam loss me open hongi aur sell aur buy k darmeyan kam difference hoga. Swap accounts ka sab se bara disadvantage ye hai k ye hamare mazhab Islam me mukamal haram hai. Hamen kabhi bhi swap account nahi kholna chaheye. Dosra ye k agar hamara koi trade long term k leye phans jata hai aur ziada waqat k leye wo loss me chala jata hai to hum tab tak us pe daily changes dete rahengay jab tak hum us trade ko close nahi karte hen. Jab bhi hum trade ko close karengay tab hi hum swap charges se bach jayengay.
    Advantage and Disadvantages of Swap Free Accounts
    Swap free account Islamic principles ke sath trade karne ka mauka deta hai, jisse religiously conscious traders trading kar sakte hain. Swap free account mein interest ya swap fees ki bina par trading ki suvidha milti hai, jisse traders positions ko long-term open rakh sakte hain bina kisi extra cost ke. Swap free account traders ko risk management mein madadgar hota hai, kyun ki overnight swap fees ko avoid karke positions open rakh sakte hain. Swap accounts mein spread aur commissions usually lower hote hain, jab swap free accounts mein ye ziada hote hen. Kuch brokers swap free accounts par slightly higher spreads ya commissions charge kar sakte hain, jisse trading cost badh sakti hai. Sabhi brokers swap accounts provide karte hain, aur ismein traders ko flexibility milti hai. Swap free accounts ki availability limited hoti hai, aur sabhi brokers ye option nahi provide karte. Isliye traders ko broker selection mein restricted ho sakte hain. Swap accounts par trading ke liye sabhi currency pairs available hote hain. Kuch brokers swap free accounts par trading ke liye kuch specific currency pairs hi allow karte hain, jisse traders ki choice limit ho sakti hai. Swap accounts ke liye kisi special verification ki jarurat nahi hoti. Swap free account ke liye brokers additional documentation ya verification maang sakte hain, jisse account opening process complex ho sakta hai.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X