What is risk to reward ratio in forex trading....
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is risk to reward ratio in forex trading....
    What is risk to reward ratio in forex trading....
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Risk and Reward in Trading: Jab ham forex market main kuch amount invest kerty hain tou yahan per hamain trade kerni hoti hai jis per hamara sara account balance aik hi trade main khatam bhi ho sakta hai isliya forex market main trading ky liay invest ki jany wali amount per ham bahot bara risk lety hain ky agar same amount per open ki jany wali trades profit main chalti rehain tou hamara balance secure rehta hai lekin agar market hamari open trade ky against movement kerna shoru ker deti hai tou hamara account aik hi open trade main wash bhi ho sakta hai ham jis terha kisi business main kuch amount invest kerty hain tou same investment per hamain loss nehi hota profit hota hai agar business bahot zyada profitable ho tou bara profit hasil ho jata hai aur agar business aesa ho jis main profit kam hota hai tou hamain same investment per profit bhi kam hi hasil hota hai Trade with Low Risk Small level per risk leny ka bahot bara advantage yeh hota hai ky agar hamain open trade main loss bhi ho jata hai tou ham next trades main loss ko asani ky sath recover ker lety hain jabky further trading main hamain profit bhi hasil ho jata hai jabky bary risk main account wash ky bahd recovery ka koi chance nehi hota so hamesha trade open kerny sy pehly hamain jo lot size set kerni hoti hai woh minimum level per set kerni chahiya ky agar loss hota bhi hai tou usko asani sy recover kia ja saky lehaza hamain aesy pairs main trade kerni chahiay jin main market ki movement slow hoti hai aur lot size isterha sy set ki jaey ky agar market hamari open trade ky against bhi move kerti hai tou support ya resistance tak market ki movement per hamara account safe rehy tou jab market support ya resistance sy reverse hoti hai tou hamara loss khatam hony ky bahd profit bhi hasil hona shoru ho jata hai Trade with High Risk Jab ham market main trade open kerty hain tou hamari same trade main ham jo lot size set kerty hain wohi hamary risk ka level hota hai ky agar ham small balance per trade kerty huey bari lot size set ker ky trade open kerty hain tou same risk hamari investment per bahot bara risk hota hai aur bary risk ka hamain faida jab hota hai tou bahot achi earning hasil ho jati hai jabky agar hamain bara risk leny per market hamari open trade ky against movement kerna shoru ker deti hai tou bari lot sy trade open hony ki waja sy kuch pips ka loss bhi bahot bara loss hota hai hamain risk level per hony waly loss ko mind main rakhna chahiay ky agar hamain acha profit hasil ho jata hai tou ham trade close ker ky profit ko withdraw kerwa lety hain jabky bary risk per hamain loss hota hai tou same loss ki waja sy hamara account wash ho jata hai aur hamain trading ky liay dobara investment kerna perti hai Merits and Demerits of Risk Forex trading ky liay risk bahot hi important facotr hai ky jab tak ham forex market main risk nehi lety beshak ham bari investment bhi ker lety hain tab bhi hamain koi profit nehi hota ky hamain forex market main ki hui investment sy profit hasil kerny ky liay risk lena hi perta hai jabky agar ham small balance per trade kerty huey bara risk ly lety hain tou market ka pata nehi chalta kabhi bhi kisi bhi direction main bahot bari movement kerny per hamara account wash ho sakta hai so hamain forex trading main risk soch samajh ker lena chahiay ky agar loss hota hai tou woh itna zyada na ho jabky bahot bari investment per risk bahot kam bhi nehi hona chahiay ky long time period ky liay trade kerny per bhi agar acha profit hasil nehi hota tou investment ka faida nehi hai hamain apni investment ky mutabiq achi calculation ker ky market main risk lena chahiya ky hamara capital bhi secure rehy aur hamain acha profit bhi hasil ho jaey
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Risk to Reward Ratio details. Forex trading mein risk to reward ratio ek bahut hi zaroori concept hai. Is concept ka matlab hai ke aap kis tarah se apne trades ko manage karte hain. Ye ratio aapko ye batata hai ke aap apni trade mein kitna risk lenge aur kitna reward hasil karenge. Risk to Reward Ratio Prediction. Risk to reward ratio, jaise ke naam se pata chalta hai, ek ratio hai jo aapko batata hai ke aap kis tarah se apni trade mein risk aur reward ko balance kar sakte hain. Ye ratio aapko ye batata hai ke aap kitna risk le rahe hain apni trade mein aur kitna reward expect kar rahe hain. Agar aap jyada risk lete hain aur kam reward expect karte hain to ye aapke liye ek risky proposition ho sakta hai. Isi tarah agar aap apni trade mein kam risk lete hain aur jyada reward expect karte hain to ye aapke liye ek safe proposition ho sakta hai. Risk to Reward Ratio Calculations. Risk to reward ratio ko calculate karne ke liye aapko apni trade mein kitna risk lena hai aur kitna reward expect karna hai. Aapko ye bhi pata hona chahiye ke aapki trade mein stop loss aur take profit kya hai. Examples. Agar aap apni trade mein $100 risk lete hain aur $200 reward expect karte hain to aapka risk to reward ratio 1:2 hoga. Agar aap apni trade mein $50 risk lete hain aur $100 reward expect karte hain to aapka risk to reward ratio 1:2 hoga. Agar aap apni trade mein $200 risk lete hain aur $100 reward expect karte hain to aapka risk to reward ratio 2:1 hoga. Is tarah se aap apni trade mein risk to reward ratio ko calculate kar sakte hain. Risk to Reward Ratio Ka Importance. Risk to reward ratio ka importance bahut hi high hai kyunki ye aapko ye batata hai ke aap kis tarah se apni trade ko manage kar sakte hain. Aapke pass agar ek sahi risk to reward ratio hai to aapko ye pata chalega ke aap apni trade mein kitna risk le sakte hain aur kitna reward expect kar sakte hain. Is tarah se aapko apni trade ko manage karne mein help milegi aur aap apni trading performance ko improve kar sakte hain.

      اب آن لائن

      Working...
      X