Leading & Lagging Indicator complete Guide

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Leading & Lagging Indicator complete Guide
    Leading & Lagging Indicator complete Guide
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalam alaikum dear members!
    • umeed karta hun ap sb khairiat se hn gy or apki trading bahut achi jaa rahi ho ge.
    • Dear members forex indicators trading main kafi helpful hoty hain agr hum inko achy se smjh kr trade karen to ye kafi faida mand ho skty hain.
    • esi lye hun aj indicators ko study karen gy.
    what is indicator?
    • Dear members jesa k naam se wazeh ha k indicator ka mtlb ishara deny wala forex main indicators hame market ki movement k bary main btaty hain.
    • Q k indicators market main different value ko use kr k market k trend or possible support & resistance k bary main information dety hain.
    • es lye indicators ko technical analysis main istmal kia jata ha.
    • laikin in indicators ki 2 types hain.
    • Leading Indicator
    • Lagging Indicator
    in dono types ko nechy tafseel se bayan kiya gaya ha. What is Leading Indicators?
    • Leading indicators k naam se saaf zahir hai, k ye indicators qeematon k movements ka pehle se hi andaza laga dete hen. In indicators ko momentum oscillators bhi kaha jata hai, aur ye market ki guzarne wali haleya qeematen aur us movement ki raftar humen batati hai. Ye indicators market ki kami taazi ya asal jazbaat ki pemayesh karte hen. Ye market ki mazi ki muqarara istemal karte hen. Misal k tawar par agar hum RSI k 14-days ki baat karen to is me RSI indicator me sirf guzeshta 14 dino ki price action hogi, is k elawa baqi qeematon k tamam trends ko khatam kar deya jata hai.
    • Leading indicators ki kuch am misalon me Commodity Channel Index (CCI), Relative Strength Index (RSI), Stochastic Oscillator, aur Williams %R shamil hain.
    • Dear members forex trading mai Leading indicator wo indicator hai. Jo market ma new trend or reversal time sy phly indicate krty hen. Ye indicator information dety hen k next level pr prices kis side pr move krny wali hen. Leading indicator ki help sy he hum overbought or oversold state ki depict krty hen. Jb market overbought state pr pohnch jati hai. To is k bounce back hony k chances barah jaty hain.
    Pros & Cons of Leading Indicators:
    • Leading indicators ka pehle se zikar ho chuka hai, k ye market me pehly hi qemton ki agli movement bata dete hen, khas kar sideways market me. Ye indicators sideways market me traders ko bohut zyada trading opportunities deti hen k wo pehle se hi market me entry ya exit karen.
    • Advance ya early signal ka faida to hai k humen ziada trading k muqa melta hai, jis se ziada munafa mumkin hai, lekin dosri taraf is me risk bhi bohut zyada hai. Aksar awqat trending market me khamaya jane wala ziada tar munafa whipsaws, overtrading, aur brokerage commissions me zaya ho jata hai.
    What is Lagging Indicator?
    • Dear forum members Lagging Indicator asay indicators hoty hain Jo k market ka signal tb dety hain. Jb market apna trend change kr chuki hoti hai. Ye indicator ye show krta hai k market ka trend start ho chuka hai. Or hum ny boat miss kr dia hai.
    • Lagging Indicator market k long trend mai boht help full hoty hain. Q k agr hum bad ma b apni trade ki entry lety hain to is sy hamen kuch na kuch profit earn ho jata ha. In indicators ka ak disadvantage ye hota ha k ye indicators advance ma market ki prices k bary mai information nai dety.
    • Lagging indicators market ki majora qemton ko read karke agale movement ki prediction karte hen. Forex trading ki aik mashooor kahawat hai keh "trend is your friend". Trend ko malom karne k leye hamesha lagging indicators ka istemal kia jata hai. Lagging indicators humen market me qeematen kisi aik side k trend (bullish ya bearish trend) pe move ho jane k baad batate hen, jis tarah jab bhi qeematen aik dafa trend me chal parti hai to moving average us ko sahi direction deti hen (Moving average ka istemal us waqat nahi karna chaheye, jab bhi qeematen high price ya lower price area me hon).
    • Moving Averages (M.A), Moving Averages Convergence Divergence (MACD), Consumers Price Index (CPI) waghera Lagging indicators ki misalen hen.
    Pros & Cons of Lagging Indicators:
    • Lagging indicators market prediction market k bilkul mutabiq hoti hai. Ye indicators bohut kam hi humen loss de jate hen. Ye Indicators chon keh market ka trend shoro hone k baad hi humen signal dete hen is waja se is me nakami k chances bhi bohut kam hote hen.
    • Lagging indicators hum short term trading k liye istemal nahi kar sakte, q k trend shoro hone k baad humen bohut kam munafa melta hai. Aksar ziada tar indicators trend khatam hone pe bhi trend ko continue dekha rahe hote hen, jis se loss hone k chances hoten hen.
     
    • #3 Collapse

      Leading aur Lagging Indicators: Introduction: Leading aur lagging indicators mukhtalif shobon mein aham tools hain, jese ke maaliyat, iqtisad, project management, aur sehat o safety. Ye key metrics hote hain jo performance ka andaza lagane, mustaqbil ki trends ki peshgoi karne, aur maqbool faislay karne mein madadgar sabit hote hain. Is rehnuma mein leading aur lagging indicators ke tanazzur mein, in ke farqat, aur inhe kis tarah alag alag shobon mein istemal kia jata hai, woh sab pesh kia jayega. Leading Indicators Samajhna: Leading indicators aage ki events ya trends ki peshgoi karne wale metrics hain. Ye pehle nuksanat aur mouqaat ko pehchan'ne mein madadgar hote hain. Maaliyat ke duniya mein, leading indicators mein shaamil ho sakte hain maaliyat darusti, stock market ke indices, ya sudaar dar. Imaarat ya manufacturing mein, ye indicators aage ki orders ya machine ki istemal mein shamil ho sakte hain. Leading indicators ko monitor kar ke stakeholders tabdeeliyon ko anumaan laga sakte hain aur is ke mutabiq tayyari kar sakte hain. Lagging Indicators Samajhna: Lagging indicators, dusri taraf, peechle performance ko napnay wale metrics hote hain. Ye strategies, actions, ya faislay ki kamiyabi ya nakami ko tasdeeq karte hain. Maaliyat mein amuman roznama karobari faida, munafa margin, aur investment per return (ROI) lagging indicators hote hain. Sehat mein, mareezon ke nataij aur tasalli scores aam lagging indicators hote hain, jo dawa ki kifiyat ko reflekt karte hain. Choosing right indicator: Sahih leading aur lagging indicators chunna aham hai. Jabke leading indicators proactive faislon mein madadgar hote hain, lagging indicators peechli tajziyaat dete hain. Aik barabar approach jo in dono qisam ko shaamil karta hai, performance ka mukhtalif andaze ki mukhlis tajziyaat faraham karta hai. Ahem hai ke indicators ko maqsood aur matloba maqasid ke saath mila ke chuna jaye, taake woh relevant aur amal mein laaye jaa sakte hain. Conclusion: Leading aur lagging indicators mukhtalif shobon mein faislon aur performance ka andaza lagane mein aham kirdar ada karte hain. Leading indicators mustaqbil ki tajziyaat faraham karte hain, jo proactive faislon mein madadgar hoti hain, jabke lagging indicators peechli koshishon ko tasdeeq karte hain. In indicators ko samajhna aur unka faida uthana, logon aur organizations ko maalumat par mabni faislay lene aur apne maqsoodat hasil karne mein quwwat deta hai.
      • #4 Collapse

        Leading & Lagging Indicators Assalam o Alaikum Dear friends and fellows bat krty hain Lagging indicator vs leading indicators. Lagging indicator wo indicator hoty hain jo market ki past price ko use kar k market ke future ko predict karty hain but in indicators ka side effect ye hai k us time par signal dety hain jb market wo movement start kar chuki hoti hai or trader ko is k bad entery leny sy koi khatir khawa benefit nhi hota. But en indicators ka advantage ye hai k ye ziyada tar accurate signal provide krty hain or trader ko agr profit na ho to loss b nhi hota. Leading & Lagging Indicators Friends Leading indicators bhi market ki past information ko use karty hain or aisy signal generate krty hain jo market adopt krny wali hoti hai. Yani ye advance ma trader ko market ki movement k bary ma bata dety hain. in ka side effect ye hota hai k trader aksar time sy pehle he market ma in ho jaty hain or loss ka shikar ho jaty hain. But es ka advantage ye hai k trader ko agr acha trading signal hasil ho jaye to un ko acha profit hasil karny ma bhot asani hoti hai or en k account ma acha profit plus ho jata hai. So trader ko ik ye time ma both indicators ko use karna chahe ta k market sy benefit hasil kiya ja saky. Leading & Lagging Indicators Dear trading Mein 2 Types Ke indicators apko dekhny ko Milty Hain jis mein Ek leading indicator hota hai aur Ek lagging indicators Hoty Hain Jo ki market ko different tariky se dikha Rahy hoty hain is liye Ham dekhty hain ki Jab ham apni study leading indicators ke bare mein complete kah Rahe Hote Hain To ismein Hamen yah Baat man mein Rakhna chahie ki leading indicator aapko market ki advance movement ke bare mein Bata Dete Hain aur aapko market ke reversal ke bare mein batate hain aapko admin se pata chal jata hai ki market kahan se reversal hone ke chance Ho Jaate Hain isko Ham leading indicator ka naam Dete Hain jismein Fibonacci retracement Ek bahut hi Jabardast indicator Hain.
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          Leading and Lagging Indicator Dear market ke andr sb se bara yahe hota he ke hmme pata he ni hota he kon sa pattern kis kis indicator ka he js ke waja hm lack ho jate haiarah alag alag shobon mein . Ahem hai ke indicators ko maqsood aur matloba maqasid ke saath mila ke chuna jaye, taake woh relevant aur amal mein laaye jaa sakte hain.kte hain maaliyat darusti, stock market ke indices, ya sudaar dar. Imaarat ya manufacturing mein, ye indicators aage ki on aur loss krwa dete hain is lye market ka analysis aur deeply pattern ko dekh kr indicatpehly hi qemton ki agli movement bata dete hen, khas kar sideways market me. Ye indicators sideways market me traders ko bohut zyada trading opportunities deti hen k wo pehle se hi madimadadgar hote hain. Maaliyat ke duniya mein, leading indicators mein shaamil ho salagging indicators chunna aham hai. Jabke leading indicate market me entry ya e kena chajiyaeforex trading mai Leading indicator wo indicator Indicator market k long trend mai boht help full hoty hain. Q k agr hum bad ma b apni trade ki entry lety hain tistemal kia jata hai, indicatorshai. Jo market ma new trend or reversal time sy phly indicate krty hen. Ye indicator information dety hen k next level pr prices kis side pr move krny wali hen. Leading indicator ki help sy he hum overbought or oversold state ki depict krty hen. Jb market overbought state pr pohnch jatti he. How they Help us in market? Brothers sb se pehle hmme ye know krna bhot zaroori he js indicator ko hm trading me use kr rhe hain wo hundred percent wahe he ke nahi jase me Head and shoulder pattern ke baat krta he mujy yaqeen he ke yahi pattern wahe js me indimadadgar hote hain. Maaliyat ke duniya mein, leading indicators mein shaamil ho salagging indicators chunna aham hai. Jabke leading indicators proactive faislon mein madadgar hote hain, lagging indicators peechli tajziyaat dete hain. Aik barabar approach jo in dono qisam ko shaamil karta hai, performance ka mukhtalif andaze ki mukhlis tajziyaat faraham karta haio is sy hamen kuch na kuch profit earn ho jata ha. In indicators ka ak disadvantage ye hota ha k yeaur sehat o safety. Ye key metrics hote hain jo performance ka andaza lagane, mustaqbil ki trends ki peshgoi karne, aur maqbool faislay karne mein madadgar sabit hote hain. Is rehnuma mein leading aur lagging indicators ke tanazzur mein, in ke farqat, aur inhe kis trders ya machine ki istemal mein shamil ho sakte hain. Leading indicators ko monitor kar ke stakeholders tabdeeliyon ko anumaan laga sakte hain aur is ko deeply study kr rha ho

          اب آن لائن

          Working...
          X