Trading with : After Bottom Gap Up Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : After Bottom Gap Up Candlestick Pattern
    Trading with : After Bottom Gap Up Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    After Bottom Gap Up Candlestick Pattern
    Technical traders main aajkal Japanese candlestick charts price action ka fori analysis karne ka sab se maqbool tareeqa hen. Candlesticks pattern dosre charts patterns k muqablay main dekhne k tor par bohat ziyada maloomat paish karte hen. Candlesticks market ka sab se high price, low price, open price aur close price ko aik nazar mein dikhata hain. Qeematon ki pichli naqal o harkat ko track karne ke liye un ka istemaal karne ke sath sath, technical traders Japanese candlestick ke patterns ki talaash karte hen ta-keh is baat ka pata lagaya ja sakay ke market kahan ja rahi hai. Candlestick charts pattern prices k top aur bottoms par bohut ziada moasar hote hen, jiss se market ka current trend reversal hone ka sabab banta hai. After bottom gap up candlestick pattern bhi prices k bottom par bullish trend reversal ka kaam karta hai.
    Candles Formation
    After bottom gap up candlestick pattern prices k downtrend ya bearish area main bullish trend reversal hone ka aik wazih indication deta hai, jiss se prices ka bullish trend reversal main tabdeel hoen ka zarya hote hen. After bottom gap up candlestick pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki tafseel darjazzel hai:
    1. First Candle: After bottom gap up candlestick pattern prices k bottom main aik strong bearish candle hoti hai, jo k market k mazeed jane ka indication deti hai. Ye candle real body main bearish hoti hai, jiss k upper aur lower sides par shadow ya wick ho sakte hen, lekin real body lazmi shadow ki nisbat strong honi chaheye.
    2. Second Candle: After bottom gap up candlestick pattern ki dosri candle bhi strong bearish candle hoti hai, lekin ye candle pehli candle ki nisbat real body main small hoti hai, jiss se market par bearish trend k asarat kam hona shoro hote hen. Ye candle pehli candle ki real body main open ho kar lower par close hoti hai.
    3. Third Candle: After bottom gap up candlestick pattern ki teesi candle bhi bearish candle hoti hai, lekin ye candle sab se small real body main hoti hai, jo k umoman aik bearish Spinning top candle banti hai. Ye candle dosri bearish candle se lower par gap main banti hai, jiss k upa ur down side par small si wicks ho sakte hen.
    4. Fourth Candle: After bottom gap up candlestick pattern ki fourth candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle teesri bearish Spinning top candle k barabar main banti hai, jo k prices ko mazeed bearish jane se rokhti hai. Ye candle bearish candle k baad open ho kar doari aur teesri candle k darmeyna gap main close hoti hai.
    5. Fifth Candle: After bottom gap up candlestick pattern ki last ya fifth candle aik strong bullish candle hoti hai. Jo k fourth bullish candle se above gap main banti hai. Y3 candle trend reversal ki indication detti hai, jo k prices ko bohut teezi k sath bullish push karti hai. Ye candle market ki maojoda trend ki tabdeeli ka signal deta hai.
    Explaination
    After bottom gap up candlestick pattern prices k bottom main bata hai, jab bhi ye market main bohut low area ya bearish trend k akher main trade kar rahi hoti hai. After bottom gap up candlestick pattern panch candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss main shamil pehli teen candles bearish hoti hai. Bearish candles main pehli candle strong aur long real body wali bearish candle hoti hai, jab k dosri aur teesri candles size main pehli candle se kam hoti hai, jab k teesri small bearish candle aik black Spinning top candle hoti hai, jo k dosri candle se lower gap main banti hai. Pattern ki chothi candle aik bullish small real body wali hoti hai, jo k bearish trend ka khatma karti hai. Pattern ki akhari candle aik bullish long real body wali bullish candle hoti hai, jo k chothi candle se above gap main banti hai.
    Trading
    After bottom gap up candlestick pattern market k current trend ko khatam karke prices ko bullish trend main badal deti hai. Ye pattern traders ko buy ka signal deta hai, jiss par market main entry ki ja sakti hai. Pattern par trading se pehle aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main lazmi honi chaheye. Pattern k baad bearish candle banne se iss ka asarat khatam ho jate hen, jiss par trade open nahi katna chaheye. CCI indicator aur stochastic oscillator se confirmation lene k leye inn ka value oversold zone main hona chaheye. Pattern par trade entry k sath stop loss ka bhi zarror istemal karen. Stop Loss pattern k sab se bottom area ya teesri Spinning top candle k lower se two pips below set karen.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Opening Of Pattern. "Bottom Gap Up Candlestick Pattern" ka aghaz hota hai jab ek share ya market ke price mein aik neechay ka gap ho jo ke pehli candle ki closing price se shuru hota hai. Bottom Gap. Is pattern ki pehli khasiyat hai ke yeh aik neechay ka gap hota hai, matlab ke price ek dum se neechay gir kar kisi specific level pe nahi aata, balkay neechay chala jata hai. Candlestick Formation. Is pattern mein, pehli candlestick ek bearish (girawat dar) candle hoti hai. Yani, is candle ki opening price uski closing price se ziada hoti hai, jo ke price mein girawat ko darust karti hai. Gap Up. Doosri candlestick gap up hoti hai, matlab ke iski opening price pehli candle ki closing price se ziada hoti hai. Isse show hota hai ke market mein sudden buyers ki taaqat paida hoti hai. Bullish Signal. Bottom Gap Up Candlestick Pattern ek bullish (khareedari dar) signal provide karti hai. Yeh signal hota hai ke market mein buyers active ho rahe hain aur price mein tezi ki umeed hai. Trading Strategy. Is pattern ko samajh kar, traders ko khareedari ki position lena ya hold karna hota hai kyunki yeh bullish trend ka indication hota hai. Lekin, is pattern ko bhi confirm karnay ke liye doosri technical indicators ki bhi zaroorat hoti hai. Har trading strategy mein stop loss aur target set karna ahem hota hai. Stop loss lagana acha hota hai taake nuksan se bacha ja sake, aur target set karke profit hasil kiya ja sake. Monitoring. Is pattern ke baad market ko mazbooti se nigraani mein rakhna zaroori hai, kyun ke market mein kisi bhi waqt tabdeel honay ki sambhavna hoti hai. Bottom Gap Up Candlestick Pattern ek powerful trading tool ho sakti hai, lekin isay akele hi istemal na karen aur doosri technical analysis ka bhi sahara lain taake sahi trading faislay liye ja saken.

      اب آن لائن

      Working...
      X