Importance of inverted hammer candlestick pattern..
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of inverted hammer candlestick pattern..
    Importance of inverted hammer candlestick pattern..
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Aslam o aliakum, Dear forex member ummid karta hun aap sab khairiyat se honge dear friends Inverted hammer candle ki tarah single candlestick bhi baaz awqat price chart pattern par dosre charts pattern ki tarah k asar andaz hote hen, jab bhi ye candles prices k top ya bottom par bante hen. Inverted Hammer candle bhi aik single candle pattern hai, jo k prices k bottom ya bearish trend main banti hai. Inverted Hammer candle k aik small real body hoti hai, jiss ka upper side par aik long shadow banti hai. Ye shadow inverted hammer candle ki real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Inverted hammer candle ki real body k lower side par koi wick ya shadow nahi banta hai, yanni candle ki real body ka lower aik "Bozu" candle hoti hai, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi acceptable hai, lekin bohut ziada lamba na ho jiss se candle ki hososeyat tabdeel ho jaye.

    Candles Formation
    Inverted hammer single candle honne ki waja se ye zarori nahi hai, k dosre patterns k tarah ye candle lazmi kisi aik color main ho. Inverted hammer candle bearish trend main ya low price main banti hai, jis ki information darjazzel tarah se hoti hai; Hammer Candle: Inverted hammer candle prices k bottom main bearish trend main banti hai, jiss k baad bullish trend reversal ho jata hai, to iss waja se ye candle kisi bhi color main ho sakti hai, lekin agar ye bullish ban jaye to ye bullish trend reversal pattern se ziada mutabeqat rakhti hai.
    Explaination Inverted hammer candle jo k prices k bottom aur bearish trend k baad banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai, inverted umbrella family se taluq rakhni wali aik single pattern candle hai. Ye candle aik small real body, jiss ka open aur close same nahi hona chaheye, k sath upper side par aik long shadow rakhti hai. Candle ka shadow real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Candle k real body k lower side par aik small si wick to acceptable hai, lekin ziada lengthi nahi hona chaheye, jiss se candle ki hososeyat par faraq par jata ho, lekin bagher lower shadow ki ye candle ziada perfect hoti hai. Inverted hammer candle ki real body bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, issi waja se candle k leye color ka hona zarori nahi hai, lekin iss ki position ziada zarori aur aham hai. Trading
    Inverted hammer candle jo dekhne main aik ulta T jaise lagti hai, prices k bottom ya bearish trend main banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye candle bullish trend ya top prices par banne wali Shooting star candle ki tarah hi hoti hai, lekin prices ki position change hoti hai. Inverted hammer candle ki inverse Hammer candle hoti hai, jo k same bearish trend main bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Inverted Hammer candle par trade entry se pehle iss ki bearish trend ya bottom prices position ka hona bohut ziada zarori hai. Ye aik single pattern candle hone ki waja se trade k leye bohut riski hai, iss waja se aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, trader next bullish candle par market main buy ki entry kar sakte hen. Stop Loss candle ki sab se lower position ya candle ki real body k bottom se two pips below set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X