Evening Star Candlestick Pattern :

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Evening Star Candlestick Pattern :
    Evening Star Candlestick Pattern :
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    What is Evening Star Candlestick Pattern :

    Assalamo alaikum! friends kesay hain aap sab umeed kerta hun k khero aafiyat say hongay or fabulous working ker rahay hongay forex trading ki dunya mein. To friends aaj mien jis topic per baat kernay jaa raha hun uska name hai EVENING STAR CANDLESTICK PATTERN. Chalen start kertay hain; DEFINITION: Evening star candlestick aik teen candle formation hai jisay technical analysis mein bearish reversals ki identification kernay ke liye istamal kiya jata hai. Yeh aik bari gareen candle, dusari small-bodied cancdle or teesari bari red candle per shaamil hai. Evening star candle pattern ki pehli candle aik bari green colour hai, jo batati hai k bulls ka mukamal control hai, jo market ko aik nayi bulandi per lay jaati hai. Agli candle higher level tak chalti rehti hai, lekin iss harkat ke peechay taaqat ki kami hai. Iss liye candle kaa size chotaa hai . Ideally, dusari candle ko khuli jagah per uncha hona chahye , lekin lyunkay crypto continous tijaarat kerta hai . Din ke 24 hours, haftay k 7 din, qeematon k chart per farq boht kam hota hai. Jesay he market farokht hona start hoti hai, yeh aik large red candle produce kerti hai. Mostly pehli candle say delkhay gaye benefits iss third candle k complete honay tak evapourate ho jaatay hain. EVENING STAR CANDLE KI STRENGTH OR KAMZORI: STRENGTH: Evening star pattern aik effective pattern hai, jisay crypto traders ziyada like kertay hain becouse yeh unhen market mein bearish turn ki identification mein help kerta hai. Evening star pattern ka aik unique aspect yeh bhi hai ke isay produce kernay ke liye teen candle ki zaroort pesh aati hai. Iss say formatiion ki identification easy ho jaati hai becouse candles aik specific shapes ikhtyar kerti hain. WEEKENESS: Aesa koi pattern yaa indicator nahi hai jo fullproof ho, or yahi baat evening star pattern ke liye bhi accurate hai. Sirf iss wajah say ke pattern zaahir hota hai iska matlab yeh nahi hai ke agli qeemat downtrend honay jaa rahi hai. Aesay moments hotay hain jab evening start pattern ghalt signals produce kerta hai or maarket haqeeqat mein tezi say barh sakti hai. EVENING STAR PATTERN KI IDENTIFICATION: Evening star pattern ki identification boht easy hai becouse aapko story sunaanay ke liye teen candles mil ker kaam kerti hain. Story kaa backdrop or context yeh hai ke pattern us waqt zahir hota hai jab maarket pehlay say hee uptrend ho chuki hoti hai. Majooda uptrend ko increase kernay ke liye pattern ki first candle aik bari green body ke sath show hoti hai. Jesay he first candle close hoti hai, dusari candle start mein aik or maamuli benefit ke sath continue rehti hai. Taahm previous candle apna momentum loose ker rahi hai.
    EVENING STAR PATTERN RELIABLE HAI? . Evening star pattern aik simple formation hai jo hamen aik new correction ke start say alert kerta hai. Boht saaray or technical analysis tools hain jo iss pattern say generate honay waalay signals ki strength ko increase kernay mein helpful saabit hotay hain. . Jab pattern resistance ke qareeb show hota hai to yeh aik strong signal peda kerta hai.Resistance chart per wo area hai jahan per buyers khareedna chor detay hain or sellers sell kerna start ker detay hain. Resistance ki level ko koi bhi determine ker sakta hai evening star pattern k produce honay say pehlay bhi. To friends yeh thi meri aaj ki post , umeed kerta hun ke aap sab ko read ker maza aayega or knowledge mai enhancement aayegi Insha'Allah.:1f60c:
     

    اب آن لائن

    Working...
    X