Currency Pairs Kya Hote Hain?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Currency Pairs Kya Hote Hain?
    Currency Pairs Kya Hote Hain?
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Forex market mein currencies ka trading pairs ke roop mein hota hai, jaise EUR/USD, USD/JPY, etc. In pairs ka matlab aur unki values ke bare mein samajhna important hai.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Forex Currency Pairs


      Click image for larger version  Name:	images - 2024-01-11T213101.490.png Views:	0 Size:	14.8 KB ID:	12806161

      Forex exchange trading me har gher mulki currency k sharah ka taayun hota hai. Is me maojood ya muqarara qeemato par currencies ko khareedne, ferkht aur tabadele k tamam pehlo shamil hen. Forex trading me daily base pe taqreeban 5 trillions ki transactions hoti hai, is waja se trading hujam k lehaz se ye dunya ki sab se bari market hai.
      American dollar ab tak duniya mein sab se ziyada trade ki jane wali currency hai. Pori dunya main aam tor par, ziyada tar currencies ko American dollar ke muqablay mein compare kia jata hai. Ta'ham, forex trading ka hawala dete waqt currency ke joron ki aur bhi mukhtalif aqsaam ka istemaal kia jata hai, jin mein se har aik ko trading sargarmi aur liquidity ki miqdaar ke lehaaz se mukhtalef groups mein taqseem kia jata hai, jin ko major, minor (ya cross) aur crosses k naam se jana jata hai.
      Forex trading me maojood currency me se jin currencies ki sub se ziada movement ho jaye us ko most volatile currency kaha jata hai. Aam tawar pe kuch currencies pair jese GBP/NZD, GBP/AUD, GBP/CAD aur GBP/JPY ki movement sab se ziada volatility hoti hai aur taqreeban 100 point se bhi ye ziada move karti hai. Is k elawa bhi kuch currencies hai jin ki movement bohut ziada hoti hai lekin ye currency pair sab se ziada movement karti hai. Forex trading me currency ki volatility ko aam tawar par currencies ki standard ratio k sath tabdeeli ko kaha jata hai. Forex trading ki volatility pe countries ki economic, political and social anaser asar andaz hote hen. Under mentioned top deye gaye currencies pair forex trading me sab se ziada volatile hen:
      AUD/JPY (Australian Dollar/Japanese Yen)
      NZD/JPY (New Zealand Dollar/Japanese Yen)
      AUD/USD (Australian Dollar/US Dollar)
      CAD/JPY (Canadian Dollar/Japanese Yen)
      AUD/GBP (Australian Dollar/Pound Sterling)
      Currency pair ki ziada volatility se forex trading me maojood expert tarders ziada faida hasil karte hen aur un ko aam tawar par market ki analysis ka andaza hota hai aur unhon ne pehle hi plain banaya hota ha. Kuch currencies pairs jese USD/ZAR, USD/KRW, USD/BRL bhi apni lehaz se bohut ziada volatile hoti ahia lekin is ki liquidity kam hone se is me trading kam hi hoti hai

      Major Currency Pairs


      Major currency pairs aam tor par sab se ziyada trade ki jane wali currencies hen, jo USD ke sath munsalik hote hen, kuch trader kisi bhi forex currency ke jore ka USD k sath compare kia ja satka hai. Major currency pairs sab se ziyada active trade karne walay forex currency ke jore hen, jis ka matlab hai ke woh sab se ziyada volitile hen. Major currency pair par trading ka sab se ziada munafa melta hai, q k iss main brokers apne fees aur commission bohut kam rakhte hen, jiss ka direct profit clients ko melta hai. Jaise kuch pairs zail mein deye hen;
      • EUR/USD – 0.1 pips
      • USD/JPY – 0.5 pips
      • GBP/USD – 0.6 pips
      • AUD/USD – 0.4 pips
      Minor Currency Pairs


      Minor currency pairs ko aam tor par baqiya, ghair USD forex currency ke joron mein se kisi ka bhi compare dete hen. Yeh value kam maqbool jore aksar market mein low liquidity ki wajah se dono sematon mein ziyada up and down hote rehte hen. Minor currency pairs ko crosses currency pairs bhi kaha jata hai, q k inn currency pairs main American dollar bazate khud to shamil nahi hota hai, lekin uss ka hawala deya jata hai. Inn currency pairs k darmeyan spreads bohut ziada hone ki waja se clients k leye munafa bohut kam hota hai, jab k brokers ka commission ya fees ziada hota hai;
      • EUR/JPY - 2.1 pips
      • EUR/GBP - 3.5 pips
      • GBP/CHF - 3.3 pips
      • AUD/NZD - 1.4 pips


      Exiotic Currency Pairs


      Exiotic currency pairs wo jore hote hen, jiss main American dollar aur dosre bare major currency pairs jaise EUR, GBP k sath low liquidity wale currency pairs ko shamil kia jata hai. Ye currency jore bohut kam trade hote hen, ya bulkul hote hi nahi hai, jiss main spreads bohut ziada hota hai. Ye currency pair aam tawar par na to clients ko ziada faida deta hai aur na hi brokers ko koi khas faida de sakta hai. Zeil main kuch exiotic currency jore deye gaye hen;
      • EUR/SGD
      • CAD/TRY
      • USD/IND
      • GBP/PKR


      Conclusion


      Forex trading me kuch currencies ko major currencies kaha jata hai aur ye naam is ko wese nahi deya gaya hai bulke forex trading ki taqreeban 85% trading in hi currencies me hota hai is waja se ye major currencies hen. Chonkeh forex trading market ki sab se zyada trading in hi currencies me hota hai to forex trading me sab se ziada inhisar bhi in currencies pe kia jata hai. Forex trading market ki major currencies ye hen: EUR/USD, USD/JPY, GBP/USD, AUD/USD, USD/CHF, NZD/USD and USD/CAD.
      Forex trading me aik dosri terminology istemal hoti hai cross pair. Cross pair forex trading me un currency pair ko kaha jata hai jis me USD dollar as a currency participate nahi kar raha ho, jese AUD/CAD, GBP/AUD,GBP/JPY NZD/CHF, AUD/JPY, GBP/CAD, NZD/JPY waghera. Aur is k elawa jis pair me EUR ka istemal howa ho us ko Euro crosses pair kaha jata hai. Jese misal k tawar par EUR/GBP, EUR/JPY, EUR/AUD, EUR/NZD, EUR/CHF waghera.

      اب آن لائن

      avatar Ayn
      avatar Usmaan
      avatar Sadd5
      avatar Shanosk
      Working...
      X