Rising wedge chart patterns kia h??

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Rising wedge chart patterns kia h??
    Rising wedge chart patterns kia h??
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalam alaikum dear members! umeed karta hn k ap sb khairiat se hn gy or apki trading achi jaa rhi ho ge. es post main hum rising wedge chart pattern ko study karen gy or dekhen gy k es ko kesy trade kia jata ha. laikin agr ap ko nahi pata k chart patterns kia hoty hain to phly hum chart patterns ko shortly dscs kar lety hain. What is Chart pattern? Dear members forex market main jb market ksi trend main hoti ha up ya down to market ksi jagha py retracement lyti ha or aik range type area main move karti ha or lows or highs bnati ha. in lows or highs ko mila k trend lines bnti hain or in se mukhtalif shapes bnti hain jo k patterns khlati hain or hr pattern ko trade karny ka apna treqa or apna result hota ha. What is Rising wedge chart pattern? Dear members rising wedge pattern aik bearish continuation pattern ha mtlb ha k ye bearish trend main bnta ha or es k bad bhi market bearish hi rhti ha. jb market downtrend main kafi nechy ja k kch retracement lyti ha to market aik support se tkra k opr ati ha or resistance se wapis nechy jati ha laikin apny previous low se opr aik low bnati ha or esi trha opr ja k apny precious high se opr aik high bnati ha. agr highs ko highs se milaya jay to aik upward sloping trend line bnti ha. jb k agr lows ko lows se milaya jay to bhi aik joward sloping supportinh trend line bnti ha. in 2 trend lines k darmayan market move karti ha or esy wedge pattern kaha jata ha. Esko rising wedge es lye kaha jata ha k market es structure main ahsta ahsta opr ki trf rise hoti rhti ha. How to trade rising wedge pattern? dear members rising wedge pattern main trade leny k lye hamen phly pattern k complete hony ka wait karna chahye or jb pattern complete ho jy to es k breakout ka wait karen. breakout ka mtlb ye ha k market wedge se bhr nkl jy. breakout k bad eski confirmation py hum yahan se sell ki trade le skty hain. breakout ki confirmation ye hoti ha k js time frame main wedge bn raha ha usi time frame main market wedge se bhr candle close kary. breakout k bad sell ki trade leny main hmara stop loss wedge ki supporting trend line ya us se opr ho ga jb k hmara profit target wedge ki dono trend lines k darmyab height k equal nechy ki taraf ho ga. Note: use proper risk & money management while trading forex
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Rising Wedge Chart Patterns ki Tashreeh Rising Wedge Chart Patterns, ek technical analysis tool hai jo stocks, currencies aur commodities ke price movements ko analyze karne ke liye istemal kiya jata hai. Is article mein hum Rising Wedge Chart Patterns ke bare mein Roman Urdu mein baat karenge. Rising Wedge kya hai? Rising Wedge, ek bearish reversal pattern hai jo market mein bullish trend ke baad aata hai. Is pattern mein price chart mein upward sloping trend line aur downward sloping resistance line hoti hai. Jab price chart in lines ke beech mein zyada se zyada aa jata hai to is ka matlab hai ke price chart ke beech mein ek wedge (triangle) ban raha hai. Is wedge ki shape rising hoti hai, is liye ise Rising Wedge kaha jata hai. Rising Wedge ka matlab kya hai? Rising Wedge ka matlab hota hai ke market mein bullish trend ke baad bearish trend shuru hone wala hai. Agar aap ko stock market mein trading karte hain to aap ko is pattern ko samajhna zaroori hai. Is pattern ko samajhne se aap ko market ke trend ka pata chal jata hai aur aap ko apni trading strategy ke liye sahi samay ka intezar karna hota hai. Rising Wedge ke features Rising Wedge ke kuch important features niche diye gaye hain: 1. Price chart mein upward sloping trend line aur downward sloping resistance line hoti hai. 2. Wedge ki shape upward direction mein hoti hai. 3. Rising Wedge pattern ka matlab hota hai ke market mein bullish trend ke baad bearish trend shuru hone wala hai. 4. Wedge ki shape ke beech mein price chart ke volumes kam ho jate hain. 5. Jab price chart wedge ke beech mein se break karta hai to bearish trend shuru ho jata hai. Conclusion Rising Wedge Chart Patterns, ek bearish reversal pattern hai jo market mein bullish trend ke baad aata hai. Is pattern ko samajhne se aap ko market ke trend ka pata chal jata hai aur aap ko apni trading strategy ke liye sahi samay ka intezar karna hota hai. Agar aap stock market mein trading karte hain to aap ko is pattern ko samajhna zaroori hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X