The Expalination of "Dark Cloud Cover"

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    The Expalination of "Dark Cloud Cover"
    The Expalination of "Dark Cloud Cover"
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    "Dark Cloud Cover" "Dark Cloud Cover" pattern ek popular candlestick pattern hai jo technical analysis mein istemal hota hai aur traders ko potential reversals ki maloomat deta hai. Yeh pattern uptrend ke baad dikhai deta hai aur bearish reversal ki indication provide karta hai. Dark Cloud Cover pattern do candlesticks se banta hai. Pehla candlestick ek strong bullish (upward) candle hota hai, jo market mein uptrend ko represent karta hai. Dusra candlestick pehle candlestick ke upar overlap karta hai lekin negative movement karta hai, yaani ke uska closing price pehle candlestick ke closing price se neeche hota hai. Is pattern ka naam "Dark Cloud Cover" is liye rakha gaya hai kyunki dusra candlestick pehle candlestick ko almost cover karta hai, aur yeh dark color mein hota hai, jo bearish movement ko indicate karta hai. Dark Cloud Cover pattern ka istemal traders price reversals aur trend changes ko samajhne ke liye karte hain. Yeh pattern aksar strong uptrends ke baad form hota hai aur bearish reversal ka signal deta hai. Jab dusra candlestick pehle candlestick ko overlap karta hai aur price mein downward movement hota hai, toh yeh suggest karta hai ke market mein uptrend ki jagah downtrend shuru ho sakta hai. Is pattern ko samajhne ke liye, traders ko candlestick patterns aur unke formations ke baare mein acchi samajh honi chahiye. Dark Cloud Cover pattern ka istemal karte waqt, confirmatory signals aur dusre technical indicators ka bhi istemal karna important hota hai. Dark Cloud Cover pattern ke kuch limitations bhi hote hain. Kabhi-kabhi yeh pattern false signals bhi generate kar sakta hai, isliye traders ko confirmatory signals ka wait karna chahiye. Iske sath hi, dusre technical tools aur market conditions ko bhi samjhna mahatvapurn hai. Mukhtasir tor par kaha jaye toh, Dark Cloud Cover pattern ek bearish reversal pattern hai jo uptrend ke baad dikhai deta hai. Yeh pattern price reversals ko identify karne mein madad karta hai, lekin iska istemal sahi tarike se aur confirmatory signals ke saath karna chahiye.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Dark cloud cover candlestick pattern: Assalam o alaikum!Dear my friends kesy hein ap sab log mein umeed karti ky ap sab kheriyat sy hon gy inshaallah.Dosto Dark cloud cover candlestick pattern market k up trend ma appear hota hai or trader ko ye information deta hai k market ma up trend end ho chuka hai or trader ko es time par sell ki trade open karni chahe. Jo trader es time par buy k trade open karty hain wo kbi kamyab ni ho paty. Forex trading ma hamy pattern ka pata ho ga to he ham achi trading kar sakyn gy. Forex trading ma hamy hamesa knowledge ko hasil kar k he trading karni chahe. Agar ham bena knowledge k trade karyn gy to hamy esk consequences ko bardast karna pary ga. Trader ko stop loss k lae es pattern ka high point use karna chahe . Stop loss es lae zaruri hota hai k es sy trader ka account wash hony sy bach jata hai. Jo trader forex trading ma stop loss ko use ni karty wo kbi acha profit hasil karny ma kamyab ni ho sakty. Jo trader forex ma stop loss ko achy sy implement karty hain. Forex trading ma pattern ko apny experience k sath judge karna chahiye or phr esk hesab sy trade ko open or close karna chahe. Jo trader forex ma fazool trades ko open karta hai wo kbi kamyab ni ho sakta. Explanation of Dark cloud cover candlestick pattern: Dear forex members Dark cloud cover candlesticks pattern aik bearish reversal pattern hay jo keh day chart main occure hota hy. Yani is pattern kay ban'ny per ham is main kafi achi earning kar sakty hain. Is pattern main do candlesticks hoti hain. First candlestick long bullish banti hay. Jab keh isi tarah day close tak bulllish ho ker close ho jati hay aur iski long body hoti hay. Next day market up side gap say open hoti hay aur market kuch dair bad down ana shuru ho jati hay aur is din market last day kay muqably main totally reverse movement karti hay aur youn market previous bullish candlestick kay center say bhi down tak bear rehti hay. Yahan ye pattern complete hota hay but third day ki market movement bahut important hoti hay ager market third day bhi bearish rahy to iska matlab hay keh long down trend start ho gia hay. Trading strategy with Dark cloud cover candlestick pattern: Dear my favorite trading partners Dark cloud cover pattern kay banny kay bad fori entry na karain. Balkeh ager next day bhi market taqreeban half day tak bearish rahy to he trade main further sell karain aur is main safe trading ko ensure karain yani money and risk managemnet karni chahiye. Jab keh fundamental analysis bhi karty rahain, ta keh ham is pattern ki validity ko jan sakain.

      اب آن لائن

      Working...
      X