Forex Trading Terminology : Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading Terminology : Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern
    Forex Trading Terminology : Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Belt-Hold Pattern
    Bearish Belt-Hold line pattern bhi demand ki satah main aur supply main izafay ki waaja se market main banta hai. Financial market main prices kabhi bhi aik hi position par barqarar nahi reh sakti bulkeh ye market ki supply aur demand k mutabiq up and down hoti rehti hai. Jab bhi kisi assets ki demand main izzafa hota hai, to iss se uss ki prices up jana shoro karti hai, jab k supply ki kami ki waja se prices gerti hai. Jab bhi demand ki waja se prices chart pattern par bohut high position par trade kar rahi hoti hai, to iss achanak supply main izzafay se wo yakdam trend tabdeel karke reversal chalna shoro karti hai. Bearish belt hold pattern main aik strong real body wali candle pechlay din k candle k top par open ho kar uss k mid point se nechay close hoti hai.
    Candles Formation
    Bearish blet hold pattern prives k top par demand main achanak kami ki waja se price chart par banta hai, iss waja se pehle aik bullish candle hoti hai, jab k supply main izzafay ki waja se aik strong bearish candle banti hai, jis ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Bearish belt hold pattern ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, ye candle normal real body ki banti hai, jo k prices ka market main current bullish trend ko show karti hai, jiss se candle ka color white ya green banta hai.
    2. Second Candle: Bearish belt hold line pattern ki dosri candle aik strong bearish candle hoti hai, ye candle pehli candle k top par gap main open ho kar ussi candle k midpoint se nechay close hoti hai. Ye candle aik strong bearish candle hoti hai, q k iss k top par koi shadow ya wick nahi hota hai. Ye candle pehli candle k opposite direction main trend reversal ki black ya red candle hoti hai.
    Explaination Bearish belt hold pattern ko prices ka top ya bullish hona zarori hai, q k jahan par prices k jahan se supply zone shoro hona ho. Bearish Belt-Hold line pattern main aik strong bearish candle apne agli din k candle k top par gap main open ho kar uss k midpoint k nechay ja k close hoti hai. Ye candle aik bozu candle hoti hai, q k top par iss ka koi wick ya shadow nahi hota hai. Ye pattern marker main dosre bohut sare trend reversal pattern se mushabehat rakhta hai, jiss se dark cloud cover pattern iss se bohut ziada melta julta hai, buss difference sirf bearish candle ka hota hai, jo dark cloud cover pattern k candle k top par wick ya shadow hota hai, jab k ye candle bagher wick ya shadow k hoti hai. Trading
    Bearish belt hold pattern main bhi supply ziada hone ki waja se uss k prices kam hoti hai, jo k high supply satah ya ya resistance level par banta hai. Financial market main jiss assets k supply ziada ho jati aur uss ka demand kam hone lagta hai, to iss se uss item ki prices gerna shoro karti hai. Bullish trend k ikhtetam ki waja se ye pattern bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern ki dosri candle k baad aik mazeed aik aur bearish candle ki zarorat hoti hai, jo k trend confirmation candle hoti hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Stop Loss pattern k supply zone ya resistance level k top par bearish candle k open point se two pips above set karen.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      "Bearish Belt-Hold Line" ek candlestick pattern hai jo forex trading aur technical analysis mein istemal hota hai. Ye pattern normally price charts par dikhne wali ek particular type ki candlestick ko describe karta hai. Ye pattern bearish (downward price movement) trend ki shuruaat ya continuation ko darshata hai. Chaliye is pattern ko detail mein samjhe: Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern: Ye pattern ek single candlestick se milta julta hota hai jise "Bearish Belt-Hold Line" ya "Bearish Belt" bhi kaha jata hai. Is pattern mein, candlestick ki body vertically downward trend mein hoti hai, aur wick (upper shadow) ya lower shadow nahi hoti ya bahut choti hoti hai. Iska matlab hota hai ki price opening price se lekar closing price tak ek hi direction mein move karti hai aur price range chota hota hai. Ye pattern typically uptrend ke baad dikhta hai aur downward reversal ki possibility indicate karta hai. Is pattern ki identification karne ke liye, aapko following points ko dekhna hoga: Single Candlestick : Bearish Belt-Hold Line pattern ek single candlestick hota hai, jo bearish (downward) trend mein dikhata hai. Downward Price Movement: Candlestick ki body vertically downward trend mein hoti hai, indicating selling pressure. Minimal or No Shadows: Candlestick ke wicks (shadows) normally bahut chote hote hain ya bilkul nahi hote, jo ki downward momentum ko darshata hai. Color: Candlestick usually red (bearish) hoti hai, lekin color pattern ka strict hona zaruri nahi hai. Bearish Belt-Hold Line pattern ka main interpretation hai ki market sentiment bearish ho raha hai aur price downward direction mein move kar raha hai. Is pattern ko dekhte hue traders selling opportunities explore kar sakte hain ya existing short positions ko hold kar sakte hain. Dhyan rahe ki, jaise har technical analysis tool aur pattern ki tarah, Bearish Belt-Hold Line pattern bhi 100% accurate nahi hota. Isliye is pattern ka istemal karne se pehle, dusre technical indicators aur price action patterns ki bhi janch karna zaroori hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X