Some Benefits of using Momentum indicator in trading.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Some Benefits of using Momentum indicator in trading.
    Some Benefits of using Momentum indicator in trading.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    BENEFITS OF MOMENTUM INDICATOR
    Topic information: Momentum aik important technical indicator hai jo trading mein istemal hota hai. Is indicator ka maqsad price ki tezi ya mandi ko nazar mein rakhty hua trading ky faislay ko easily lena hota hai. Momentum indicator ka matlab hota hai ky aik asset ya security ki price ki tezi ya mandi mein direction ka pata lagaya jaa saky. Some benefits of using MI: Is indicator ka istemal trading mein kuch important faidy dene mein madadgar sabit hota hai.
    • First, is sy traders ko current market trend ka pata lagta hai. Agar momentum indicator tezi ki taraf point kar raha hai toh yeh ishara ho sakta hai ky market mein uptrend hai, jabky agar iska ishara mandi ki taraf hai toh yeh ishara ho sakta hai ky market downtrend mein hai. Is tarah sy traders ko market ky haalat ka acha khaka milta hai, jis sy woh apny faislay behter tarike sy le sakty hain.
    • Doosra faida ye hai ku momentum indicator price ki tezi ya mandi ky mukhtalif levels ko bhi zahir karta hai. Is sy traders ko pata chalta hai ky price kitni tezi sy barh raha hai ya kitni tezi sy kam ho raha hai. Is information sy woh apny entry aur exit points ko behtar method sy manage kar sakty hain. Agar price tezi sy barh raha hai aur momentum high hai, toh yeh ishara ho sakta hai ky uptrend mein mazeed potential hai aur traders long positions ly saktey hain. Woh log bhi iska istemal kar sakte hain jo short selling karte hain, jab momentum indicator price ky kam hny ki taraf point karta hai.
    • Momentum indicator ki madad sy overbought aur oversold levels bhi pata lagaye ja sakty hain. Overbought level tab hota hai jab kisi asset ki keemat itni tezi sy barh jati hai ky uski asal qeemat sy ziada ho jati hai. Oversold level tab hota hai jab kisi asset ki keemat itni tezi sy ghat jati hai ky uski asal qeemat sy kam ho jati hai. Ye levels reversal points ko zahir karte hain aur traders ko pata chalta hai ky market ki direction kis taraf badal sakta hai. Is sy woh log behtar faislay ly sakty hain aur market mein nuqsaan sy bach sakty hain.
    • Momentum indicator volatility ko bhi zahir karta hai. Jab market mein ziada tezi ya mandi hoti hai toh momentum bhi barh jata hai. Is sy traders ko pata chalta hai ky market kitna active hai aur unko is active market mein trading karny ki tayari karny mein madad milti hai
    Summary: Momentum indicator ka istemal trading mein useful sabit ho sakta hai, lekin zaroori hai ky iska sahi method sy istemal kiya jaye. Iske signals ko 2sry indicators aur market analysis ky saath mila ky dekha jana chahiye taky sahi faislay liye ja sakein. Is indicator ki madad sy traders ko market ky trend, levels aur volatility ka pata lagta hai, jis sy unka trading experience behtar hota hai.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X