What is Aroon indicator in the field of trade.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Aroon indicator in the field of trade.
    What is Aroon indicator in the field of trade.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    AROON INDICATOR
    Basic information: Aroon Indicator, jo ky tajarbat aur analysis mein aik aham zariya hai, woh market trend ko pehchaanne mein madad deta hai. Yeh aik technical analysis tool hai jo trade aur stock market ky mahireen k zrya istemal hota hai. Aroon indicator un logon ky liye faida mand sabit hota hai jo market trends aur price movements ko samajhna chahty hain. Aroon indicator ko 1980s mein Tushar Chande ny tashkeel dia tha. Iska maqsad market mein trend ki tabdeeliyan pehchaanny ka hai. Parts of Aroon indicator: Yeh indicator 2 parts sy bana hota hai: Aroon Up aur Aroon Down. 1: AROON UP: Aroon Up, jo trade mein up-trend ki nishandahi karta hai, is formula sy nikalta hai: Formula: AroonUp=((DinJinMainMaximumHighPriceHua)/(MahineKyTotalDin))∗100 2:AROON DOWN: Aroon Down, jo trade mein down-trend ki taraf ishara deta hai, is formula sy hasil hota hai: Formula: AroonDown=((DinJinMainMaximumLowPriceHua)/(MahineKyTotalDin))∗100 Details:
    • Aroon Up aur Aroon Down dono indicators 0 sy 100 percent ky darmiyan tak ki values hasil karty hain. Agar Aroon Up 100 ky qareeb hai to yeh matlab hai ky ned trend ho raha hai. Jab ky agar Aroon Down 100 ky qareeb hai to yeh ishara hai ky market down-trend mein hai. Aroon Up aur Aroon Down ky darmiyan ka farq trend ki taqat aur direction ka izhar karta hai. Yani Aroon Up Aroon Down sy ziada ho to yeh bullish trend ki nishandahi karta hai, jabky Aroon Down Aroon Up su ziada ho to yeh bearish trend ki taraf ishara deta hai.
    • Aroon indicator ky istemal sy traders aur investors market trends ko samajh sakty hain aur is ky mutabiq apni trading strategies tayyar kar sakty hain. Is indicator ki madad sy woh samajh sakte hain ky market mein trend kis taraf ja raha hai aur kis waqt entry aur exit points available hain.
    • Yeh month ya week ki base par market ki movement aur price fluctuations ko samajhny mein madad deta hai. Is tarah, traders ko trade mein behtar faislay karny mein madad milti hai. Aroon indicator ka istemal karna trade mein sahi time par buying aur selling ky faislay karne mein helpful sabit ho sakta hai.
    Summary: To summarize, Aroon indicator trade mein trend ki nishandahi ky liye aik ahem tool hai jo traders aur investors ko market movement samajhny mein madad deta hai. Iske formulas aur istemal sy log market trends ko samajh kar apni trading strategies tayar kar sakte hain aur behtar faislay kr sakty han.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X