Trading with : Doji-Star Candlestick

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Doji-Star Candlestick
    Trading with : Doji-Star Candlestick
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Doji Star Candlestick
    Doji-Star candlestick aik single doji candle hone ki waja se analysis main bohut ziada istemal hoti hai. Japanese candles ko is wajah se trading ke dauran analysis mein zyada pasand kiya jata hai, kyunki ye candles single candle hone k bawajood bhi aik complete pattern tashkeel deti hai. Jab bhi ye single candlesticks prices k top ya bottom main paye jaati hai, to uss waqt ye trend reversal ka kaam karti hai. Single candle mein doji candles aur small real body wali candles akele ya dusre candles ke sath prices main leading indicator ka kaam karti hai. Doji-star candlestick prices ke top ya bottom mein trend reversal pattern ka kaam karti hai, jab ki yahi candle sideways market mein neutral candle tasawar ki ki jati hai.
    Candles Formation
    Doji-star candlestick prices k top par akele hi trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle bagher real body bhi aik strong position rakhti hai, jiss ki technical analysis main bohut ziada ahmeyat hai. Doji-star candlestick ki formation darjazzel tarah se hoti hai: Doji-Star Candle Doji-star candlestick bagher real body k hone ki waja se ye candle colorless hoti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal jab k prices k top par bearish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle aik line si real body rakhti hai, jiss k upper aur lower sides par aik small shadow ya saya hota hai.
    Explaination
    Doji-star candlestick k banne ki pechahay ki psychology ka inhisar traders par munhasir hoti hai, jab bhi buyers ya sellers prices ko kisi khas semat main move karne k baad wapis dosri semat main same pressure se push karte hen. Lekin kahani yahan khatam nahi hoti, bulke din k ikhtetam tak prices wapis apne aghaz wali position par a kar close ho jati hai. Iss soratehal main jo candle banti hai, wo doji-star candle hoti hai. Ye candle bagher real body ki hoti hai, jiss main prices ka open aur close same point par hota hai, jab k upper aur lower sides par small shadows hota hen. Shadow lenght main taqreeban same hote hen, jo buyers aur sellers ki barabari ko dekhati hai.
    Trading
    Doji-star candlestick prices k top par ya bottom main ziada behtar tawar par kaam karti hai. Normal ye candle neutral tasawar ki jati hai, q k na to iss ki real body hoti aur na hi iss main shadow ka kisi aik side par size ziada hota hai. Bearish market main bullish trend reversal k leye buy ki entry ki ja sakti hai, jab k bullish trend main bearish trend reversal k leye sell ki entry k trades open keye ja sakte hen. Candle par trading se pehle long timeframe ka hona zarori hota hai, jab k trend reversal k leye confirmation candle ki bhi zarorat hoti hai. CCI indicator aur stochastic oscillator par trading k dowran support aur resistance levels ya overbought aur over-sold zone hona chaheye. Stop Loss candle k low ya high prices se two pips below ya above set kia ja sakta hai.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X