Bearish Counterattack Line Candlestick Patter
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Counterattack Line Candlestick Patter
    Bearish Counterattack Line Candlestick Patter
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Bearish Counterattack Line ek candlestick pattern hai jo aksar technical analysis mein dekha jata hai, khaaskar forex trading mein. Is pattern ko ek bearish reversal pattern mana jata hai, jo ek potential shift ko zahir karta hai ek uptrend se ek downtrend ki taraf. Pattern Banawat: Bearish Counterattack Line do mubadil candlesticks se bani hoti hai. Pehla candlestick bullish (upward) hota hai, jise ek bada bearish (downward) candle follow karta hai. Is pattern ki ahem khasiyat yeh hai ke bearish candle pehle bullish candle ko poora engulf kar leta hai. Is engulfing se zahir hota hai ke sentiment mein ek bullish se bearish ki taraf palat hone ki alamat hai. Tashrih: Bearish Counterattack Line market mein tashweesh ke ek nishaan hai jo ek potential trend change ko zahir karta hai. Pehla bullish candle yeh zahir karta hai ke khareedne wale control mein thay, lekin agla bearish candle dikhata hai ke bechne wale market ko dabakar chale gaye hain, pehli session ke hasilat ko mita dete hain.Yeh pattern uptrend mein ek potential kamzori aur sentiment mein ek taraf ki shift ki alamat hoti hai. Traders aksar is pattern ko short-selling ko ghor se sochnay ya mojud lambe positions ko band karne ki alamat samajhte hain, ek neeche ke price movement ki umeed se. Tasdeeq aur Ehtiyaat: Jaise ke kisi bhi candlestick pattern mein, tasdeeq ahem hai. Traders mazeed signals ki tashdeed ke liye dekhte hain jaise ke bearish candle ki shakl mein trading volume mein izafa ya doosre technical indicators ki madad. Galat signals bhi ho sakte hain, is liye zaroori hai ke is pattern ko doosre analysis tools ke saath milakar istemal kiya jaye taake maqool trading faislay liye jayein.Aakhri alfaz mein, Bearish Counterattack Line ek candlestick pattern hai jo traders ko ek potential trend reversal ki taraf se warning deta hai, bullish se bearish ki taraf. Is pattern ko pehchaan kar aur samajh kar, forex traders apni qabiliyat ko barha sakte hain ke woh market mein potential dakhil hone aur nikalne ke points pehchan saken.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Bearish Counterattack Line Candlestick Pattern
      Bearish counterattack line candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo k top trend k baad banta hai. Pattern aik bullish trend main uss waqat banta hai, jab market main aik bearish candle pechli bullish candle k ooper gap main open ho kar, aur real body banane k baad pehli bullish candle k real body k top par same closing price par close ho jati hai. Pattern main shamil dono candles ka close price same point par ya aik dosre k bohut qareeb hota hai, jiss se dono candles k darmeyan koi gap nahi banta hai. Pattern k mutabiq bears market k control ko hasil karne main kamyab hote hen, jiss se prices reversal ya bearish trend ko follow karna shoro karti hai. Pattern k dono candles k closing price k darmeyan lazmi koi gap nahi hona chaheye, basorat degar ye pattern bullish separating line pattern ban sakta hai.
      Candles Formation
      Bearish counterattack line candlestick pattern ki dosri candle k bearish hone k baad market main investor trend badalne par majbor hote hen. Jiss se prices new trend bearish ko follow karna shoro karti hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai, jiss ki tafseel darjazel tarah se hoti hai:
      1. First Candle: Bearish counterattack line candlestick pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle price k uptrend ko show kar rahi hoti hai, jo k white ya green color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.
      2. Second Candle: Bearish counterattack line candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k bottom par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body k qareeb ya same pehli candle k closing price par hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k bullish trend ko khatam karti hai, aur prices k bearish trend reversal ka sabab banti hai.
      Explaination
      Bearish counterattack line pattern ko bearish trend reversal patteren ke tor par istemal kia jata hai, jo market mein musalsal ooper ki janib harkat karte howe prices main banta hai. Pattern k dosre din ki candlestick prices main waqfa dekhata hai, jahan bears market mein wapasi ki koshash karte hai. Pattern ka ahem nuqta yeh hai, k pattern ki dosri candle pehli candle k close price se ooper gap main open ho kar bearish real body banane k baad pehli candle k same upper price ya close price par close hoti hai. Pattern ye zahir karne ki koshash karte hen, k bulls market main control barqarar rakhne main nakam rahe hen, jiss se bears market ka control hasil karte hen. Pattern ki dono candles mukhtalif formate main hoti hai, jiss main pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai. Dono candles real body main lazmi honi chaheye jab k ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
      Trading
      Bearish counterattack line candlestick pattern prices main bears ki kamyab koshash ko zahir karti hai, jiss se prices bearish trend reversal ko follow karti hai. Pattern ki dono candles k closing price k same point par honi chaheye, q k bearish candle ki ye strong wapasi prices k trend reversal ka sabab banti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur dosri bearish candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle k banne se ye pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone se kam honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya dosri candle k open price se two pips above set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X