Pennant chart pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pennant chart pattern
    Pennant chart pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalam alaikum dosto!
    • umeed ha ap sb khairiat se hn gy or apka trading week acha jaa raha ho ga.
    • aj ki post main hum continuation patterns main se pennant chart patterns ko study karen gy or dekhen gy ye kia hota ha or esko kesy trade kia hata ha.
    WHAT IS PENNANT PATTERN? dear members pennant pattern aik continuation pattern ha mtlb k ye jis trend main bnta ha us trend k continue hony ki nishani hota ha.agr bullish main bny to es k breakout k bad market bullish hoti ha. or agr bearish main bny to es k breakout k bad market bearish hoti ha. Es pattern ki 2 types hoti hain
    1. Bullish pennant pattern.
    2. Bearish Pennant Pattern.
    in dono patterns ko hum bari bari discuss karen gy Bullish Pennant Pattern:
    • dear members ye pattern bullish trend main bnta ha jb market kafi opr ja chuki ho to market thori retracement leti ha or estrha ka pattern bnta ha.
    • es main market higher lows or lower highs bnati ha.
    • Highs ko highs se Milan to aik trend line bnti ha kr lows ko lows se mila k dosri trend line bnti ha estrha market 2 trend lines k darmyan move karti ha.
    How to trade it?
    • Dear members bullish pennant ko trade karny k lye hamen chahye k pattern k complete hony or es k breakout ka wait karen jb breakout ho jy to uski confirmation ka wait karen jb confirmation ho jy to hum es main buy ki entry le skty hain or hmara stoploss bullish penneta ki hoper trend line ya us se nechy ho ga jb k profit tarhet pennant ki height k equal ho ga.
    Bearish Pennant Pattern:
    • ye pattern bearish trend main bnta ha jb market kafi nechy gir chuki ho to market retracement lety hovy consolidate hoti ha or es trha ka pattern bnta ha.
    • es main market lower highs or higher lows bnati ha.
    • lows ko lows se mila kr or highs ko highs se mla k trend lines bnti ha or market i trend lines k drmyan move karti ha .
    How to trade it?
    • Dear members es pattern main trade karny k lye hmn breakout ka wait karna chahye or eski confirmation k bad sell ki trade leni chahye or es main hmara stop loss pennant ki lower trend line ya us se opr ho ga jb k profit targe pannent ki height k equal ho ga.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Pennant Chart Pattern
      Forex trading market me Pennant Pattern aik flag design ki patterns banne k bad hi hoti hai, jisvme market pehlay up down aur up down movement karne k bad aik up side pe breakout karta hai, jis se market me bohut upward side pe teezi ati hai aur market ki trend up side pe continue ho jati hai. Agar hum is ki misal gold ki aajkal ki trading se len to market me gold pehlay 1950$ aur 1960$ k darmeyan trading kar rahi thi lekin aaj achanak ye market me upward chalna shoro ho gaye aur market ki 1870$ ki position pe bhi price chali gaye. Pennant Pattern me traders kisi bare breakout k intezar me hote hen is waja se market me is ka sahi patterns ka samajhna zarori hai. Market me Pennant Pattern pe stop loss last down side position pe lagayen aur market me take profit ko last up side k double position pe sset karen. Forex trading me market price ki aik up down movement jo k aik flag ki sorat me banti hai us k bad market me bohut zyada upward peda ho jati hai to ye market ki Pennant Pattern hoti hai. Market me pennant pattern me pehlay aik musalsal istehkam k sath market trend chal rahi hoti hai us k bad market me achannak aik bara spike hota aur market ki fast upward movement hoti hai. Jab bhi aghaz me market me normal continue trading ho rahi hoti hai to us k bad market me aik bara break out hota hai. Pennant Pattern market ki consolidation movement lower hogi lekin market me breakout high position pe hoti hai.
      Explaination
      Pennant chart pattern ek choti si flag ya pennant ki tarah hota hai, is liye iska naam "Pennant" hai. Is pattern ka primary maqsad trend ke continuation ko represent karna hota hai. Jab ek strong uptrend ya downtrend hota hai, to kabhi-kabhi market mein thori si consolidation hoti hai. Is consolidation ke doran, price ek choti si range mein move karti hai aur ye range pennant shape mein banti hai. Pennant pattern ko dekhte waqt, aapko kuch key characteristics ya pehchanay wale elements nazar aate hain:
      1. Flagpole : Ye pennant ke pehle hisse mein hoti hai aur trend ki direction ko represent karti hai. Agar uptrend hai, to flagpole upar ki taraf jata hai, aur agar downtrend hai, to flagpole neeche ki taraf jata hai.
      2. Consolidation : Ye pennant ke actual pattern ka hissa hota hai. Is doran, price ek choti si range mein move karti hai aur pennant banati hai.
      3. Breakout Point : Ye pennant ke baad wala point hota hai jahan se price phir se trend mein aati hai. Agar pennant uptrend ke baad aata hai, to breakout point par price upar ki taraf badhti hai, aur agar downtrend ke baad aata hai, to price neeche ki taraf badhti hai.
      Chart Pattern ko Samajhna
      Pennant pattern ki tashreeh mein yeh ahem hai ke jab pennant banti hai, to volume usually kam ho jata hai, yani trading activity tham jati hai. Is se ye pata chalta hai ke market mein consolidation phase chal raha hai. Pennant pattern ka pehla hissa flagpole hoti hai. Agar aap uptrend ko dekh rahe hain, to flagpole upar ki taraf jati hai aur agar aap downtrend ko dekh rahe hain, to flagpole neeche ki taraf jati hai. Flagpole ki pehchan karne ke liye aapko trend ko dekhna hoga jo price mein aik tezi ke sath hota hai. Flagpole ke baad, price mein ek temporary yatayat phase aata hai. Is phase mein, price ek range ke andar move karti hai aur pennant ki shape banti hai. Pennant usually ek triangle ya rectangle shape ki hoti hai. Consolidation phase ke baad, price ek specific direction mein breakout karti hai. Agar uptrend ke baad pennant aata hai, to breakout upar ki taraf hota hai, aur agar downtrend ke baad aata hai, to breakout neeche ki taraf hota hai.
      Trading
      Pennant chart pattern par trading karne se pehle, aapko is pattern ko samajhna zaroori hai. Trading strategy ko samajhne ke liye, aapko in steps ko follow kar sakte hain:
      1. Pehli Candle Ko Pehchan Pennant pattern ki shuruaat pehli candle se hoti hai jo trend ke sath chalti hai aur flagpole ki tarah hoti hai. Is candle ko pehchan kar ke aap trend ki direction ko samajh sakte hain.
      2. Pennant Ki Tashkhees Dusre step mein, aapko pennant pattern ki tashkhees karni hai. Pennant usually ek choti si triangle ya rectangle shape ki hoti hai jo flagpole ke baad aati hai. Is phase mein price ek range ke andar move karti hai.
      3. Breakout Pennant pattern ke breakout ka intezar karein. Jab price consolidation phase se bahar nikalti hai aur trend ke direction mein move karti hai, to aapko trade enter karne ka mouqa milta hai.
      4. Entry Point Aur Stop-Loss Breakout ke baad, entry point aur stop-loss tay karna ahem hota hai. Entry point ko breakout ke baad ki price ke mutabiq tay karen aur stop-loss ko risk tolerance ke mutabiq set karen.
      5. Target Level Aur Risk-Reward Ratio Trading ke liye target level aur risk-reward ratio tay karen. Yani ke kitna nuksan bardasht kar sakte hain aur kitna faida haasil karna chahte hain.
      6. Trade Monitor Trade enter karne ke baad, trade ko monitor karte rahein aur market ki movement par nazar rakhein. Agar trade aapke favor mein ja raha hai, to profit booking ka faisla karen.
      7. Risk Management Hamesha risk management ka khayal rakhein. Agar trade against aapke expectations ja raha hai, to stop-loss ko istemal karke nuksan se bachne ka faisla karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X