Trading with: Bullish Pinbar Candlestick

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with: Bullish Pinbar Candlestick
    Trading with: Bullish Pinbar Candlestick
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish Pin Bar Candle
    Bullish pin bar candle bhi aik single candle pattern hai, jo k prices k top ya bottom main banti hai, jiss se market main tabdeeli waqea ho sakti hai. Price chart pattern par baaz awqat single candles bhi dosre candlestick charts pattern ki tarah k asarat rakhte hen, jab bhi ye candles prices k top ya bottom par bante hen. Lekin jab ye candle bottom ya bearish trend main banti hai, to ye bullish trend reversal ka kaam karti hai. Bullish pin bar candle k aik small real body hoti hai, jiss ka lower side par aik long shadow banti hai. Ye shadow bullish pin bar candle ki real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Bullish pin bar candle ki real body k upper side par koi wick ya shadow nahi banta hai, yanni candle ki real body ka upside aik "Bozu" candle hoti hai, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi acceptable hai, lekin bohut ziada lamba na ho jiss se candle ki hososeyat tabdeel ho jaye.
    Candles Formation
    Bullish pin bar single candle honne ki waja se ye zarori nahi hai, k dosre patterns k tarah ye candle lazmi kisi aik color main ho. Bullish pin bar candle bearish trend main ya low price main banti hai, jis ki information darjazzel tarah se hoti hai; Bullish Pin Bar Candle: Bullish pin bar candle prices k bottom main bearish trend main banti hai, jiss k baad bullish trend reversal ho jata hai, to iss waja se ye candle kisi bhi color main ho sakti hai, lekin agar ye bullish ban jaye to ye bullish trend reversal pattern se ziada mutabeqat rakhti hai.
    Explaination Bullish pin bar candle jo k prices k bottom aur bearish trend k baad banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai, umbrella family se taluq rakhni wali aik single pattern candle hai. Ye candle aik small real body, jiss ka open aur close same nahi hona chaheye, k sath lower side par aik long shadow rakhti hai. Candle ka shadow real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Candle k real body k upper side par aik small si wick to acceptable hai, lekin ziada lengthi nahi hona chaheye, jiss se candle ki hososeyat par faraq par jata ho, lekin bagher upper shadow ki ye candle ziada perfect hoti hai. Bullish pin bar candle ki real body bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, issi waja se candle k leye color ka hona zarori nahi hai, lekin iss ki position ziada zarori aur aham hai. Trading
    Bullish pin bar candle jo dekhne main aik T jaise lagti hai, prices k bottom ya bearish trend main banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye candle bullish trend ya top prices par banne wali Hanging Man aur lower prices par banne wali hammer candle ki tarah hi hoti hai, lekin prices ki position change hoti hai. Bullish pin bar candle ki opposite bearish pin bar candle hoti hai, jo k bullish trend main bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Bullish pin bar candle par trade entry se pehle iss ki bearish trend ya bottom prices position ka hona bohut ziada zarori hai. Ye aik single pattern candle hone ki waja se trade k leye bohut riski hai, iss waja se aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, trader next bullish candle par market main buy ki entry kar sakte hen. Stop Loss candle ki sab se lower position ya candle ki shadow k bottom se two pips below set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X