Trading with : Doji-Star Candlestick

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Doji-Star Candlestick
    Trading with : Doji-Star Candlestick
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Doji-Star Candlestick
    Doji-Star candle aik small bagher real body main banni wali upper aur lower sides par shadows rakhne wali aik single candle pattern hai, jiss ko aam tawar par price chart pattern par aik neutral candle tasawar ki jati hai. Ye candle market main supply aur demand, khareed aur ferokht bullish aur bearish, resistance aur support taqat main barabari ki waja se banti hai. Candle ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, k aik makhsos ya muntakhib karda timeframe k dowran price chart par pehle investors prices ko aik side par le jane k baad same dosri side par bhi ussi tarah se push karti hai, lekin din k ikhtetam par prices apne aghaz wali position par a kar close hoti hai.
    Candles Formation
    Doji-Star candles umoman prices main ziada tar dekhaye dete hen, q k ye aik neutral candle shumar hoti hai. Ye candle aik hi waqat main market main buyers aur sellers ki equal taqat ki akasi karti hai, jo prices ko aik khas position par mutehkam rakhti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai; Doji-Star Candle: Doji-Star candlestick prices k darmeyan main ziada tar neutral hoti hai, jab k bottom aur top prices par trend reversal ki salaheyat rakhti hai. Ye candle bagher real body ki hoti hai, jiss main candle k open aur close same point par hota hai. Candle k upper aur lower sides par shadow hota hai, jo k dono sides par size main equal hota hai.
    Explaination
    Doji-Star candlestick main prices candle k centre ya darmeyan main aik line si real body banati hai, jiss k upper aur lower side par aik lamba saya ya shadow hota hai. Ye candle aam tawar aik neutral candle tasawar ki jati hai, jiss ko price chart par bohut ziada dekha jata hai. Ye candle prices k center main ya aik trend k dowran neutral value ki hoti hai, jab k prices k top ya bottom par banne par ye trend reversal ki hososeyat rakhti hai. Doji-Star candlestick ki hososeyat bhi long-legged doji candle, high wave candle aur doji star candle ki tarah hoti hai, jiss main market ki prices ziada tar same trend ko hi follow karti hai.
    Trading
    Doji-Star candlestick trading k leye ziada perfect signals iss waja se nahi de sakti hai, q k ye candles ziada tar neutral behaviour rakhti hai. Ziada tar ye candles price chart main bohut ziada nazar ati hai, lekin aam trend par ye bohut kam asar andaz hoti hai. Price chart k top par banne par ye candles thori bohut trend reversal k asarat ka hamil ho sakti hai. Candle par trading k leye zarori hai, k prices trend k intehaye top ya bottom main hona chaheye, jab k candle k baad aik confirmation candle ka hona zarori hota hai, jo k real body main lazmi hona chaheye. Jab k same trend ki candle banne par ye trend continuation ka role play karti hai. Stop Loss candle k sab se top ya bottom end se two pips above ya below set karen.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamualaikum! Introduction: Doji Star, candlestick patterns ki ek aham aur commonly used pattern hai jo traders ke liye market analysis mein kaafi useful hai. Yeh pattern price action analysis ka ek hissa hai, jismein traders market ke future price movements ko predict karne ki koshish karte hain. What is doji star candlestick? Doji Star ek specific type ka candlestick pattern hai jo do alag-alag candlesticks se milkar banta hai. Is pattern mein pehla candlestick ek normal trend follow karta hai, jaise ki uptrend ya downtrend. Dusra candlestick, jo Doji Star hota hai, uska open aur close price almost same hote hain, jiske wajah se woh ek cross ya plus sign jaisa dikhta hai. Is cross ya plus sign ko "Doji" kaha jata hai. Doji Star pattern ki identification ke liye kuch criteria hote hain: Identification: Pehla candlestick ek trend mein hota hai, jismein price ka movement clearly dikhta hai.Dusra candlestick (Doji) ki body bahut chhoti hoti hai, yaani uska open aur close price ek dusre ke bohot paas hote hain.Doji ki shadows (yaani upper aur lower wicks) doosre candlestick se lambi hoti hain.Doji Star ka appearance aam tor par market ki trend reversal ya trend continuation signal ke roop mein interpret kiya jata hai, lekin iske sahi matlab ko samajhne ke liye hume market context aur surrounding candlesticks ki bhi tafseel se samajh leni chahiye. Doji Star ke kuch common variations hote hain, jinmein se kuch important variations niche diye gaye hain: Important Variations: Bullish doji star: Jab Doji Star ek downtrend ke baad appear ho, aur uske baad ek bullish candlestick (jiska close price Doji ke upar hai) follow kare, to yeh Bullish Doji Star pattern kehlata hai. Is situation mein, market ka sentiment shift hota hai aur bearish trend se bullish trend mein change hone ki sambhavna hoti hai. Bearish doji star: Jab Doji Star ek uptrend ke baad appear ho, aur uske baad ek bearish candlestick (jiska close price Doji ke niche hai) follow kare, to yeh Bearish Doji Star pattern kehlata hai. Is situation mein, market ka sentiment shift hota hai aur bullish trend se bearish trend mein change hone ki sambhavna hoti hai. Dragonfly doji: Jab Doji ka open, high, aur close price ek hi level par hota hai, aur lower shadow present hota hai (jo dusre candlestick se zyada lamba hota hai), to ise Dragonfly Doji kehte hain. Yeh pattern usually downtrend ke baad appear karta hai aur trend reversal ka indication deta hai. Gravestone doji: Jab Doji ka open, low, aur close price ek hi level par hota hai, aur upper shadow present hota hai (jo dusre candlestick se zyada lamba hota hai), to ise Gravestone Doji kehte hain. Yeh pattern usually uptrend ke baad appear karta hai aur trend reversal ka indication deta hai. How to trade doji star candlestick? Doji Star patterns ka istemal akele mein trading karne ke liye suitable nahi hota, iske liye hume dusre technical indicators aur price patterns ke saath combine karna hota hai. Additionally, yeh pattern sirf short-term trades ke liye hi consider karna chahiye, kyunki long-term trends par iska impact kam hota hai.Doji Star candlestick pattern ek powerful tool hai market analysis mein, lekin iska sahi interpretation karne ke liye practice aur experience ki zarurat hoti hai. Traders ko Doji Star pattern ke signals ke saath market ka overall context bhi dhyaan mein rakhna chahiye, taki unhe accurate trading decisions lene mein madad mile. Thanks for all

      اب آن لائن

      Working...
      X