Trading with : Bullish Pinbar Candlestick
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Bullish Pinbar Candlestick
    Trading with : Bullish Pinbar Candlestick
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish Pin Bar Candlestick
    Bullish pin bar candlestick sirf prices ya market k bottom par nazar ati hai. Agar aap daily chart par iss ko candle ko dekh lete hen, to yeh mumkin hai keh yeh candle minor prices k down-trend mein reversal jane ki warning degi. Agar bullish pin bar candlestick aik barray real body k candle k baad banti hai, to yeh aam tor par aik strong message hota hai, k iss k baad price low level ya bearish trend ko barqarar nahi rakh sakti hai. Price chart par jab bhi bullish pin bar candlestick banti hai, to uss k baad stock ya assets ki value mein taizi se izafah hona chahiye. Jab bhi aik bearish trend k dowran aik din k aghaz par prices pehle downward jati hai, lekin baad main wapis apne aghaz wale position k qareeb a kar close ho jati hai, to ye aik bullish pin bar candle tarteeb deti hai, jiss ka aik small real body k sath lower side par aik lamba shadow hota hai.
    Candles Formation
    Bullish pin bar candlestick k leye prices k bottom trend ya bearish trend main hona zarori hai, jab k ye candle bearish trend main akhari candle honi chaheye, jiss ki small real body k sath lower side par aik lamba saya hota hai. Candle ki price chart par darjazel tarah se formation hoti hai; Bullish PinBar Candle: Bullish pin bar candlestick aik small real body wali long lower shadow ki candle hoti hai. Ye candle prices k bottom par banti hai, jiss se market mumkina tawar par trend tabdeel karti hai. Normal price chart par ye candle aik neutral candle hi tasawar hogi, sewaye prices k bottom par banne k.
    Explaination
    Bullish pin bar candlestick aik strong indication deti hai, k stock, assets ya currencies k maojooda bearish trend ab yahan par end hone wala hai, jiss se prices ki agli candles bullish trend ki banna shoro hoti hai. Bullish pin bar candles prices k bottom par aik small real body k sath lower side par long shadow banati hai. Ye candle bearish trend ko mazeed downward jane se rokh kar market k inverse signal deta hai. Ye candle long timeframes main ziada moasar hoti hai, jab bhi kisi stock ya assets ki prices indicator par oversold zone main chali jati hai. Candle ka lower shadow real body k muqabele main dugna ya uss se ziada hona chaheye. Candle k upper side par koi shadow nahi banna chaheye, lekin agar banta bhi hai, to ye real body se size main ziada nahi hona chaheye.
    Trading
    Bullish pin bar candle normal price chart par koi khas reaction nahi dekhata hai, lekin jab bhi ye prices k bottom ya bearish trend main banta hai, to ye mumkina bullish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle traders k leye aik bullish signal deti hai, jiss par buy ki entry ki ja sakti hai, jab k dosre technical indicators par iss ko istemal karne par, indicator ka value oversold zone main hona chaheye. Ye candle aik single candle pattern hai, iss waja se trend confirmation k leye bullish real body ki candle k baad hi market main entry karen. Bullish candle ka lazmi bullish pin bar candle k baad upper par close honi chaheye, jab k candle par stop loss ka bhi zaror istemal kia jana chaheye. Stop Loss candle k sab se bottom position ya shadow k lower price se two pips below set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X