Trading with : Bearish On-Neck Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Bearish On-Neck Line Candlestick Pattern
    Trading with : Bearish On-Neck Line Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish On-Neck Candlestick Pattern
    Bearish On-neck candlestick pattern two days candlestick par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jo k prices k downtrend ya bearish trend main banta hai. Pattern ki khas baat ye hai k ye pattern dekhne main same "Bullish Meeting Line Candlestick Pattern" jaisa hi hai, aur dekhne main bhi same lagta hai, lekin "On-Neck Pattern" main dosri white ya green yanni bullish candle pehli bearish candle k closing price ko above cross nahi karti hai. Pattern ki pehli candle aik strong aur long real body main black ya bearish candle hoti hai, jab k dosree candle bhi real body wali hoti hai, lekin ye candle aik to bullish hoti hai, dosree candle pehli candle ki nisbat small ho sakti hai. Pattern market main bulls ki nakam koshash ko dekhati hai, jiss se wo market main control hasil karne ki koshash main hote hen, lekin kam demand aur high supply ki waja se aisa mumkin nahi hota hai.
    Candles Formation
    Bearish on-neck pattern same format main banta hai, jiss tarah se "Bearish thrusting line pattern" hota hai, lekin faraq sirf dosree candle ka small size main banna aur dosra ye candle pehli candle k closing price se below close hoti hai, pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle Bearish on-neck pattern main banne wali pehli candle aik strong aur long real body wali black ya red yanni bearish candle hoti hai. Ye candle bearish trend ki continuation ko zahir karti hai, jo k pehle se hi prices main maojood hota hai. Candle ka close price open price se nechay hota hai.
    2. Second Candle: Bearish on-neck pattern ki dosri candle white ya green yanni bullish candle bannti hai, jo k size main pehli candle se taqreeban small hoti hai, lekin aisa zarori nahi hai. Ye candle pehli candle se below gap main open hoti hai, jab k close pehli candle k real body se pehle low price ya closing price k qareeb band hoti hai. Dosri candle ka close price pehli candle k close price ya real body main dakhel nahi honi chaheye.
    Explaination
    Bearish on-neck pattern aik bearish trend continuation pattern hai, jo k do candles se mel kar banta hai,. Pattern ki dosri candle ku real bullish real body k hone k bawajod bhi ye pattern trend reversal main nakam rehti hai, q k dosree bullish candle ka close point pehli candle k closing price se below hota hai. Ye trend continuation pattern hai, jo k prices k bottom ya Bearish trend main banta hai. Ye pattern trend reversal pattern jaise "Dark cloud cover pattern" ya "Bearish Meeting Line Pattern" k muqabele main ziada kamyab rehta hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali hoti hai, jo k bearish trend ki alamat hoti hai. Jab k dosree candle size main pehle candle se umoman kam hoti hai, jiss ka open price pehli candle se below gap main hota hai aur closing price pehli candle k closing price se thora sa nechay hota hai.
    Trading
    Bearish on-neck pattern main dosree bullish candle pehli Bearish candle k closing price ko cross nahi karta hai, iss waja se ye candle ziada mazbot ya moasar nahi hoyi hai. Bullish candle pehli candle se below gap open hoti hai, lekin buying pressure ki kami ki waja se pehli candle ki real body main dakhil nahi hoti hai. Market main ya to selling pressure ziada hota hai, aur ya buying pressure kam honne ki waja se qeematen ziada taqat se bullish nahi jati. Pattern par trading se pehle confirmation candle ya indicator ka honna zarori hai, jo k aik teesri bearish candle ho sakti hai. Ye pattern newly bearish breakout trend par ziada kamyab rehta hai. Teesri candle k baad market main sell ki entry ki ja sakti hai. Jab k Stop Loss pattern ki pehli candle k top ya open price se two pips above par set hoga.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamualaikum all members. Kesy hy ap sab. Umeed krti ho ap sb thk hogy. Ajka hmara discussion ka topic Trading with Bullish On Neckline Candlestick Pattern ky bary my hy. Ab isy Dekhty hy ky ye kia hy r hmy kia information deta hy. Bearish On Neck Line Candlestick Pattern: Reechh ke rujhan mein on neck patteren paaya jata hai. Jab market neechay aa rahi hai to surkh mom batii ke baad aik sabz mom batii nazar aati hai jo pichli surkh mom batii ki qeemat par band ho rahi hai. Mom bation ka size ya un ki wicks ka size yahan ahem nahi hai. On neck candle stick patteren aik tasalsul ka patteren hai. Tasalsul ka namona is waqt zahir hota hai jab rujhan ki taaqat zahir karti hai ke mrawaja rujhan jari rehny wala hai. On neck candle stick patteren ke muamlay mein woh mandi ke rujhanaat mein nazr aty hy. Patteren is baat ki tasdeeq karte hain ke mandi ka rujhan jari rahy ga. Lehaza woh tajir jo pehlay se hi mandi ki lehar par sawaar hain apni mandi ki position ke baray mein yaqeen dehani kar skty hain. Explanation: On neck candle patteren bearish trend mein paaya jata hai. Yeh aik tasalsul ka namona hai. Yeh patteren murawaja mandi ke rujhan ke tasalsul ki tasdeeq karta hai. On neck candle stick pattern murawaja rujhan mandi ka shikaar tha. On neck patteren kahin mandi ke rujhan mein zahir hwa. Woh tajir jis ne pehlay hi mandi ke patteren ko dekh kar stock farokht kya hai woh is patteren ko dekhna pasand kere ga. Yeh dosray mlitay julty namono ke muqably nisbtan mazbot tasalsul ka bhi namona hai. Yeh namona is baat ki tasdeeq karta hai ke reechh thori der ke liye qaboo mein rahen ge. Jo bhi bail hain woh mazboot nahi hain. Doosri mom batii se pata chalta hai ke woh taizi ki mom batii ke baad bhi control haasil nahi kar sakay. Sabz mom batii ka chhota jism aur is ki ikhtitami qeemat is baat ki tasdeeq karti hai. Doosri mom batii mein bhi reechh qeemat ko mazeed neechay le jane ki koshish mein gape down qeemat ke sath khul gaye. Lekin belon ne skht muzahmat ki. Bail pury tijarti arsay my larry r sakht larray. Bail yahan ke halaat par qaboo panay ki koshish kar rahay thay. Is liye qeemat mein kami ke sath khulny ke baad bhi reechh qeemat ko mazeed neechay nahi le ja sakay. Trading with Bearish On Neck Line Candlestick Pattern: Yeh pattern ek tasalsul pattern hai. Aik tasalsul pattern dosry pattern ki terhan nahi hai jo tijarti signal dete hy. Tasalsul ka nmona mrawaja rujhan ke tasalsul ki tasdeeq karta hai. Bearing view par sawaar aik tajir ko yaqeen ho jata hai ke bearing ka rujhan jari rahay ga. On neck candle stick patteren ke sath tijarat kt lye chart ko dekhy to hm dekh skty hain ke mandi ka rujhan kuch der tak chhootey utaar charhao ke sath jari rehta hai. Agar koi nai tijarat chahta hy to tajir ko dosri mom batii ke neechay bechna chahiye aur lga rhna chahiye. Stop nuqsaan aakhri swing high ho ga yeh kaafi bara stop nuqsaan ho sakta hai. Bahar niklny ki qeemat tajir ki discretion par munhasir hogi.

      اب آن لائن

      Working...
      X