Trading with : Long Upper Shadow Candlestick
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Long Upper Shadow Candlestick
    Trading with : Long Upper Shadow Candlestick
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Long Upper Shadow Candlestick Pattern
    Long upper shadow candlestick pattern single candle pattern hone ki waja se technical analysis main bohut ziada istemal hone wala aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ko na sirf forex trading mein ziada istemal kia jata hai, balkay index, bands, aur cryptocurrency trading mein bhi is ka khasa use hota hai. Long upper shadow candle price action traders ko bullish ya bearish trend ke baad mumkina trend reversal ko talaash karne mein madad kar sakti hain. Long upper shadow candle ki karkardagi ka inhisar selected timeframe par hota hai, jab bhi ye candle prices k top par banti hai, to ye mumkina bearish trend reversal ka signal deti hai. Long upper shadow candlestick dosre indicators k sath prices k top par bearish trend reversal ka k leye ziada mashahoor hai, jiss k opposite direction main bottom prices main Long lower shadow candle banti hai. Long upper shadow candle k sath prices k top par aik shooting star candle bhi same hososeyat rakhti hai, jo bearish trend reversal ka sabab banti hai, lekin shape main Long upper shadow candle se mukhtalif hoti hai.
    Candles Formation
    Long upper shadow candle ki reliability ka inhisar price chart par muntakhib karda timeframe par hota hai, jitna ziada timeframes lamba select hoga, candle ki haseyat ziada strong banti jayegi. Long upper shadow candle price chart par darjazzel hososeyat k sath banti hai; Long Upper Shadow Candle: Long upper shadow candlestick bullish trend main bulterteeb buying aur selling pressure ki waja se banti hai, jiss main candle ki ziada tar hososeyat bearish trend ki hoti hai. Ye candle small real body main hoti hai, jiss ka upper side par aik long shadow hota hai. Candle ki real body bullish aur bearish dono ho sakti hai, lekin ye candle bearish candle hi shumar hoti hai.
    Explaination
    Long upper shadow candlestick pattern aik small real body main upper side par long shadow wali candle hai, jiss main prices bullish trend ko reject karne ka ishara deti hai. Candle ki shape bullish ya bearish dono tarah se ho sakta hai, jab k candle ki shadow real body k size se dunga ho sakti hai. Long upper shadow candlestick aik aisa pattern hai, jo mukhtalif financial markets ke sath achi terhan kaam karta hai. Yeh candlestick ke sab se mashhoor pattern mein se aik hai, jisay trader price ki harkat ko dekhte hue result ke imkaan ka andaza laganay ke liye istemaal karte hen. Candlestick price chart mein, har aik candle selected timeframe ke mutabiq aik period se mutaliq hoti hai. Long upper shadow candle single candle hone ki waja se har aik timeframe main aik hi candle ka pattern hoga.
    Trading
    Long upper shadow bullish ya bearish dono shapes main bearish trend reversal ki hososeyat ka hamil hoti hai, q k prices k top ye bullish trend main ye candle prices k leye resistance zone ka role play karti hai. Single candle pattern main jitna ziada lamba timeframes hota hai, iss ki reliability uss k hisab se achi hoti hai. Candle par trading se pehle long term ki timeframe k sath aik trend confirmation candle ka hona bhi zarori hai, jo k real body main bearish candle hone k sath Long upper shadow candle k lower side par close honi chaheye. Candle ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jis ki value overbought zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se top ya high price se two pips above set karen.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      LONG UPPER SHADOW CANDLESTICK INTRODUCTION: Long uper shadow Candlestick Chart bhi kehte hain, forex market mein price movement ki tashkeel darust karne ke liye istemal ki jati hai. Lambi Uper Ki Khandan, jise Long Upper Shadow bhi kaha jata hai, ek aisi Candlestick hai jiske upper shadow ki lambai tavajjo pesh karti hai. Is article mein hum Long Upper Shadow Candlestick ke bare mein tafseel se samjhenge. Candlestick Chart forex market mein price movement ko darust karne ke liye istemal hone wali aik graph hai. Har candlestick market ke aik muddat ya time period ki representation karta hai. Har candlestick mein do hisse hote hain: body aur shadows. LONG UPPER SHADOW CANDLESTICK TECHNICALLY FACTS: Lambi Uper Ki Khandan (Long Upper Shadow) wali Candlestick mein upper shadow, yaani woh hissa jo candlestick ke body se upar jhuka hua hota hai, bahut lamba hota hai. Long Upper Shadow Candlestick price action ka signal deta hai. Long Upper Shadow Candlestick market mein price trend ke changing points ya reversals ko indicate karta hai. Iski tashkeel hume ye batati hai ke buyers ne initially price ko upar le jaya tha, lekin phir sellers ne control haasil kar liya. Iska matlab hai ke bulls initially strong the, lekin phir bears ne unka power kam kar diya. LONG UPPER SHADOW CANDLESTICK PATTERN STRATEGY. Long Upper Shadow Candlestick aksar market ke tops ya resistance levels ke nazdeek paai jati hai. Jab ye candlestick market mein dikhai deta hai, to iska matlab hai ke price abhi upar ja sakta hai, lekin thori der mein down trend shuru ho sakta hai. Is candlestick ke appearance se, traders ko selling opportunities mil sakti hain. Long Upper Shadow Candlestick ki lambai kisi specific wusat-e-waqt se milti hai, jo candlestick chart ka time period hota hai. Is liye, traders ko is candlestick pattern ko confirm karne ke liye aur technical indicators ka istemal karne ke liye recommend kiya jata hai. Lambi Uper Ki Khandan (Long Upper Shadow) Candlestick forex market mein price movement ke signals deta hai. Iski tashkeel, price trend ke reversals aur market tops ke nazdeeki ko highlight karti hai. Traders ko is pattern ko confirm karne ke liye aur additional technical indicators ka istemal karne ke liye salah di jati hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X