What is Counter attack in trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Counter attack in trading
    What is Counter attack in trading
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Introduction Adam allium dear member ap sub kaisy Hn MN thek hun or umeed Karti hun ap sub thek hun gybor Forex par achi earning kar rahy hun gy or acha bonus hasil kar rahy hun gy Mera AJ ka topic boht Zaida interesting hy mera topic hy morning dogi star Kia hy or Kia tarha us par trading kar K profit ly sakty Hn or achi life guzar sakty Hain[ Counter attack line counterattack lines basically do candlesticks per mabni pattern hay jo opposite hoti hain jab keh inka closing point same hota hay. Bearish counterattack lines main first candle bullish hoti hay. Jab keh second day candle gap up say open hoti hay aur downside moment karty huye previous day kay closing kay pas a kar close hoti hay. Bullish counterattack main hamain pata chalta hay keh buyers ka market per control tha laikin sellers nay is control ko hasil kar lia aur buyers ka control lose ho gia, isi tarah bullish counterattack lines bhi hamain info daiti hain. Types of counter attack bearish counterattack lines bullish counterattavk lines kay totally opposite hota hay aur bearish trend reversal ki indication daita hay. Is main prior day market bullish main close hoti hay. Second day market upside fap day open ho kar kuch up jati to hay but jald he downside ana shuru karti hay aur last day kay closing point kay pas close ho kar bearish reversal ka signal batati hay. Is moment day hamain selling pressure ka batati hay jis say hamain selling opportunity milti hay aur sell order say achi earning mumkin ho sakti hay. bullish counterattack say murad keh bearish market main bullish ka counterattack. Jis say bearish market ko hasil kar kay is per qabu pana aur market k trend ko bearish say bullish main lay jana hay. Bearish market main aik candle down moment main banti hay. Second day gap down say market open hoti hay jo bearish kay control ka bata rahi hoti hay laikin jaisay he market upward momentum main ati hay aur yeh second day candle bullish ban kar last day kay closing point per ya iskay near close hoti hay. Is pattern say hamain bullish trend ki indication milti hay jis say buy trade say good profit gain ho sakta hay. Trading method Counterattack line candlesticks pattern bi ek bht ehm indicators hai jis se hame market ki movement show hoti hy aur ham thek tareky se andaza kar lety hain keh currency pair ko buy karna hai ya sell karna hy , is kyle ek to hamen bt zyada mehnat karna pary ge takeh ham is tool aur is indicators ko achy tareky se samaja saken .isko samajna bht mushkil hy yeh ek tarah ka technical analysis hota hy jo keh bht ziada complex hota hy . is se professional traders bi andaza laga lety hain market buy ki traf j arhe hy ya market sell ki taraf ja rahi hy . is lye hamen chahye keh aagar ham isko thek tarah se samkjen gy to is se ham apni trade ko secure kar sakenge ,is tarah ke indicators me market trend reverse bu show ho sakta hy aur forward bi show ho sakta hy . jb bi market me up gt red shuru hota hy aur ek line close ho jati hai to dusri line ek gap ke sath open hoti hy .yeh gap kuch is tarah se banta hy keh bearish candle aur ballish candle ek dosry ke sath ek e point py a akr mil jate hain .jaise e yeh ek pooint py a kar milte hain to usi time me jo trend hamen dhakny ko milta hy us me selling traders bht ziada hoty hain kuch is time dosno candles ek e point py mili hw hoti hy . aur yeh bht yakini bat hai keh market apni trend selling me e lay kar ja raha hota hy . aur agar dono candlestick ek dusre se ek point py ni milty to is sorat me trend buying kaise show hota hai aur market buy currency pair ki traf e jati hy.
     
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Counterattack Line Candlestick Pattern
      Counterattack line candlestick pattern aik trend reversal pattern hai, jo prices k top par ya bohut zoada bottom main paya jata hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jis main pehli candle market k maojoda trend ko zahir karti hai, jab k pattern ki dosri candle market k trend reversal ka sabab banti hai. Iss pattern ko meeting line pattern bhi kaha jata hai, q k pattern ki khas baat ye hai, k dono candles ka close point same hi price par banta hai. Jab k dono candlestick aik dosre se opposite direction main open hoti hen. Pattern ki dono candles lazmi real body main honi chaheye aur trend reversal candle pehli candle k opposite direction aur color main zaror honi chaheye.
      Bullish Counter Attack Line Pattern
      Bullish counter attack line pattern main aik bullish candle bearish trend ki akhari candle par lower side se attack karke market main bearish trend ka khatma karti hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k qeematon ko downward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open pehli candle se below gap main hoti hai, lekin close pehli candle k closing point par hoti hai. Yanni pehli aur dosri candles k closing prices same point par melte ya meeting karte hen iss waja se iss pattern ko meeting line pattern bhi kaha jata hai. Bullish meeting line pattern ka opposite side ya bottom price par bearish counter attack line pattern banta hai, jo k bearish trend reversal pattern hai.
      Bearish Counterattack Line Candlestick Pattern Bearish counterattack line candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k top ya bullish trend main banne ki waja se prices ko mazeed ooper jane se rokti hai. Ye pattern dekhne main "Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern" ki tarah hota hai, lekin dosri candle ki real body k upper side par bhi wick ya shadow banti hai, jab k prices pehli candle k close point se below bhi nahi jati hai. Bearish counterattack line pattern ki dosri candle aik bari real body wali bearish candle hoti hai, jiss k close price pehli candle k close price se nechay close nahi hona chaheye. Bearish counterattack line pattern ki dosri candle strong banne ki waja se prices reverse hoti hai, aur bearish trend reversal ka sabab banti hai. Trading
      Counterattack line pattern buyers aur sellers ki achanak market main pressure ki waja se banti hai, jiss main market main buyers ki dabao ka khatma karke prices k top ko bearish trend main badal deti hai. Bearish counter attack line pattern par trading se pehle aik confirmation black candle ka hona zarori hai, jo k dosri candle k baad real body main honi chaheye, jiss par sellers market main sell ki entry kar sakte hen. Jab k bullish counterattack line candlestick pattern par trading se pehle aik bullish candle ka pattern k baad banna aham hai, jis k baad hi market me entry ki ja sakti hai. Bearish counterattack line pattern me aggar pattern k baad white candle banti hai to pattern ki reliability khatam ho jati hai, aur bullish counterattack line me pattern k baad bearish candle se pattern ka asar invalid ho jata hai. Stop Loss k leye beariah pattern ka sab se top position jab k bullish pattern k leye pattern ka sab se bottom position muntakhib karen, jo k dosri candle ka top ya bottom banega, se two pips above ya below select karen.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Counter Attack in Trading: Ek Tafseeli Jaiza

        1. Tehqiqat ka Aham Maqsad


        Counter attack trading ek strategy hai jise traders apne investment decisions ko behtar banane ke liye istemal karte hain. Is strategy ka maqsad un opportunities ko pehchanana hai jab market trends ke khilaf positions lena faida mand ho sakta hai.
        2. Counter Attack Kya Hai?


        Counter attack trading ka matlab hai market ki direction ke khilaf trade karna. Yeh wo waqt hota hai jab ek asset ki price kisi trend ke saath ja rahi hoti hai, lekin trader ko lagta hai ke yeh trend kuch waqt baad palat sakta hai.
        3. Strategy Ka Buniyadi Nizam


        Is strategy mein trader market ki fluctuations ka faida uthatay hain. Yeh strategy un traders ke liye khaas taur par mufeed hai jo market ki volatility ka istemal karna chahte hain.
        4. Psychological Aspects


        Trading mein psychological aspects bohot ahem hote hain. Jab market mein panic ya euphoria hota hai, toh yeh counter attack trading ke liye behtareen mauqa hota hai. Traders ko apne emotions par control rakhna chahiye.
        5. Market Trends ki Pehchan


        Counter attack trading ke liye market trends ko pehchanana zaroori hai. Traders ko yeh samajhna hoga ke kab market ne ek naya trend shuru kiya hai aur kab yeh trend apne aakhri marahil par hai.
        6. Entry aur Exit Points


        Counter attack strategy mein entry aur exit points ka bohot ahem kirdar hota hai. Traders ko sahi waqt par entry karni hoti hai taake unhe market ke reversal ka faida mil sake. Exit points bhi utne hi ahem hain kyunki sahi waqt par position khatam karna zaroori hota hai.
        7. Risk Management


        Har trading strategy mein risk management zaroori hota hai. Counter attack trading mein bhi traders ko apne losses ko control karne ke liye risk management strategies ka istemal karna chahiye. Yeh unhein bade losses se bachata hai.
        8. Technical Analysis Ka Kirdar


        Technical analysis counter attack trading mein ek buniyadi kirdar ada karta hai. Traders ko charts aur indicators ka istemal karna hota hai taake unhein market ke reversal points ka pata chal sake. Indicators jese ke RSI aur MACD is mein bohot madadgar hotay hain.
        9. Fundamental Analysis Ka Ahmiyat


        Fundamental analysis bhi counter attack trading ke liye zaroori hai. Jab market kisi news ya event ki wajah se girta hai, toh yeh ek mauqa ban sakta hai. Traders ko is tarah ke events ka jaiza lena chahiye.
        10. Psychological Barriers


        Market mein psychological barriers bhi hote hain, jese ke support aur resistance levels. Yeh levels kabhi kabhi market ke reversal ka signal dete hain. Traders ko in levels ko samajhna hoga taake behtar decisions le sakein.
        11. Emotional Discipline


        Counter attack trading mein emotional discipline bohot zaroori hai. Traders ko samajhna hoga ke kab unhein position kholni hai aur kab unhein apne aap ko roknana hai. Yeh discipline unhein unke goals tak pohanchne mein madad karta hai.
        12. Practice Aur Experience


        Jese jese trader practice karte hain, waisey waisey unki trading skills behtar hoti hain. Counter attack trading ek skill hai jo sirf waqt ke sath hi aati hai.
        13. Common Mistakes


        Counter attack trading mein kuch aam ghaltiyan hoti hain, jese ke over-leveraging aur emotional trading. Yeh ghaltiyan traders ko bara nuqsan pohanchasakti hain. Isliye, unhein apne trading plan par dhyan dena chahiye.
        14. Conclusion


        Counter attack trading ek interesting aur challenging strategy hai. Agar traders is strategy ko sahi tareeqe se istemal karein, toh yeh unhein achi profits de sakti hai. Lekin ismein patience, discipline aur knowledge ki zaroorat hai. Apne analysis par bharosa rakhein aur trading ko ek fun ke tor par dekhein.

        اب آن لائن

        Working...
        X