Explanation of Breakout Entry and High Liquidity Zone.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Explanation of Breakout Entry and High Liquidity Zone.
    Explanation of Breakout Entry and High Liquidity Zone.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Aslam o alaikum dear forex members. Umeed karta hun k ap sab kheriat sey houn gey and forex par achi learning hasil kar rahy hon gey. Pakistan forex forum is dunia mein aik real platform hai jahan hum market k through benefit hasil karna seekh sakty hein. Yahan par har member trading k bary mein apni apni maloomat faraham karta hai. Aj mein ap sab k sath aik boht he khas topic discuss karun ga. * What is Breakout Entry ? Dear members breakout entry hamary liye boht zada profitable hoti hai. Jab hum different level ko identify karty hein proper identification boht important hoti hai. Jab hum market mein GBP USD aur major currency pairs par trading kar rahy hoty hein. Is mein hamen major level ka idea hona chaiye. Kyun k market maximum time major level ko touch kar k perfect entry detail deti hai. Jab in levels ko market breakout karti hai tou us time hum aik achi entry hasil krty hein. * Explanation of Breakout : Dear members fake breakout ko carefully focus karna bigt zaruri hota hai. Jab tak hum isko carefully study ni kar lety phr hamen advantages hasil ni hoty aur hamen loss ka samna karna parta hai. Real breakout aik aisi sitution hoti hai jab market aik strong level ko breakout karti hai aur us k baad apni baaqi movements ko carry on rakhti hai. Is level ko market retest zaroor karti hai. Jab market mein strong down up hota hai then market kuch time k liye apni movement ko chor k dobara sey apni real form mein ajati hai. Is condition k andar ham market mein enter ho sakty hein. Is ko hum pull back entry kehty hein. * Hlz trading chart mein aik specified area jis point par market voltatility boht zada hoti hai, is area ko hum trading market mein high liquidity zone k name sey janty hein. * Conclusion : Jab hum different zones ko carefully focus karty hein then maximum profit hasil karny k liye liquidity zone ki confirmation hasil kar k acha benefit hasil kar sakty hein. Ja b market mein aik strong support level and strong resistance level breakout karta hai us k baad market mein maximum level dekhny ko milta hai. Is area ko high liquidity zone kaha jata hai. Is liye market mein jab bhi enter hona chahty houn then aik bary high liquidity zone ki confirmation achi tarah kar leni chaiye aur us k baad he market mein enter hona chaiye. Basically yeh aik boht he acha zone hota hai aur mostly expert traders is sey kafi zada benefit bhi hasil karty hein. Is pattern par working karny k liye big frame chart weekly or monthly dono sey findout kea ja sakta hai. Yeh pattern aksar hamen level ko reach karny k baad show hoty hein kyun k is ki kuch makhsoos limits hoti hein aur jab market un limits tak reach karti hai tou hamen is k asrat nazar ana shuru hojaty hein. Is liye tamam members ko chaiye k wo is pattern par zaroor working karen kyun k yeh har jaga acha benefit faraham karta hai.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X