New traders ko hamesha loss he kyoun hota hay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    New traders ko hamesha loss he kyoun hota hay?
    New traders ko hamesha loss he kyoun hota hay?
     
    Thank you for your attention
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Introduction Friends jaisa ke aap jante hain ke forex aik riske business hay jis main bohat ahtiyat ke zarorat hay ajj hum jis bare main discuss karne wale hain wo hay ke forex main new traders ko ziada los kyoun hota hay Forex market mein naye traders ke liye kuch nuksanat ho sakte hain. Yahan kuch aham nuksanat hain jo naye traders ke saath ho sakte hain: 1.Less knowledge and experience: 2.Emotionally driven trading: 3.Lack of risk management 4.Risk management 5.Overtrading 6.Influenced by rumors and news Details Forex market ke tajurbe aur tajurbi se mehroom hone ke karan, naye traders mein kam ilm hota hai. Agar aapko market ki dynamics, technical analysis, aur risk management ke baare mein kam gyaan hai, toh aapko nuksan ho sakta hai. Ilm aur tajurbe ki kami ke karan, galat faisle liye ja sakte hain. 2. : Forex trading mein emotions ko control karna bahut zaroori hai. Naye traders mein excitement, greed, aur fear ki wajah se faisle galat ho sakte hain. Jab aap apne emotions par zyada control nahi rakhte hain, toh aap impulsively trading kar sakte hain, jiski wajah se nuksan ho sakta hai. 3. : forex trading ka ek mukhya hissa hai. Agar aap risk ko manage nahi karte hain aur stop loss orders ka sahi istemal nahi karte hain, toh aapko bade nuksan ka samna karna pad sakta hai. Naye traders mein risk management ke liye sahi strategy ki kami hoti hai. 4. : Naye traders mein overtrading ka khatra hota hai, jahan woh bahut zyada trades karte hain aur apne funds ko risky positions mein daal dete hain. Overtrading karne se aapko control aur focus ki kami hoti hai, jiski wajah se nuksan ho sakta hai. 5. : Forex market mein patience bahut zaroori hai. Naye traders mein patience ki kami hoti hai aur woh jaldi se profits expect karte hain. Jab woh trades ko lambe samay tak hold nahi kar paate hain, toh unhein nuksan ho sakta hai. 6. :Naye traders news aur rumors ki taraf zyada dhyaan dete hain aur unpar jyada rely karte hain. Market mein rumors aur news ke chalte jhatke aate rehte hain, aur agar aap unpar jyada rely karte hain toh aapko nuksan ho sakta hai. It is important to rely on proper analysis and not get carried away by market rumors. In sab nuksanat se bachne ke liye, naye traders ko forex trading ke baare mein acchi tarah se sikhein, demo accounts ka istemal karein, acche risk management techniques seekhein aur apne emotions ko control karne ke liye self-discipline develop karein.
     
    Thank you for your attention
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Aslamoalekum kesay hain ap sab..main umed karti hon ap kheryt say hon gay. Or apka trading session behtreen ja raha hoga. Aj kay hmaray disscussion ka jo topic hay wh new trders ko hmesha los kiu hota hay is kay baray main hay. Aye dekhtay hain kay yeah kia hay or forex trading main hamen kia malomat faraham karta hay r trading main hamen is say kesy madad milti hay. new traders ko hamehsa loss kiu hota hay Many bohat su tajiro ko mukhtalif byshumar wajohat kay karan forex market main pessa khoty huy dekha ay. Yahan pr sara tabadla khyal kia gay hay kay kiu kay esy traders ko start main itna nuqsan uthana parta hay.or in galtion say bachna kasy hay.sab say pehlay risk management ke kami hay jo kay forex trading main bh bohat ehmiyat ke hamil hay jiska istemal bohat zeadaa zarori hay.yeh aik bunyadi wajohat main say aik hay.wh apny khatrat ko behtreen tareeqy sy munazam trah karnay main nakam rehty hain. Tejarat k doran apny.nuqsan ko control karnay kay liye stop loss orders or munasib size ki positions set krna bohat zeada zarori bh hay. Munasib risk management kay bager yahan tak kay ak khrab tejarat bhe apky munaf ka aik acha khasa hisa khatam kar sakti hay. Iskay bad bhe ata ha jazbati tejarat . Yeah bhe bht eham kirdar ada karti ha. Taham agar sahi tarah say intezam na kia jaye to yeah nuqsan deh bhe ho sakta hay. Lalach or khof 2 wajohat hain. Yeah aksar tajiro ko zabardast feslo ke taraf lay jaty hain js kay nateejay main kharab tejarat hoti hay. Jazbati tejarat say bachnay ka liye apni or positions kay size kay sath koi harkat ya koi batmizi na kren or hmesha tanau sy pak Rehnay ki koshish karen basic points Or ab jo bat hay wh over trading kay baray main hay. Over trading bht say tajiro ka khyal hay kay zeada tejarat sy zeada munafa hasil kia ja sakta hay taham yeah to haqeeqat say zeada nahi ho sakta hay kiu kay over trading na sirf galtian barhati hain balkay lain dain ki lagat main bhe izafa or sarmaya kari pr kam munafa ka bh bayes banti hain. Trading ke kasrat say ak behtreen tejarti setup ka intzar kreb or khas tor pr tab ye trade kren. Or ab jo eham bat hay wh position kay baray main or hay ka trading ke khas position kia ho sakti hay yeah tay krna hay kay apko apny majmou port folio k size or khatray ki bardasht ki satah ki bunyad par har tejarat kay liye kitna sarmaya mukhtas hona chahiye. Wh tajir jo fee tejarat bht zeada ya bht kam sarmaya kari karty hain woh apny trading kay acount usko ko munazam karnay kay liye jadojehad karty hain. Angothy kay asoll kay tor pr kabhi bhe kisi bhe ak tejarat par apny kul tejarti acount ka 1% say bhe zeada ko b khatra na bnain. Hyepe or afwaho ke perwi na kren is sy apko sirf nuqsan he hoga or esa kch na kren kay js sy apky nuqsanat kay khatrat barh jaye. hamehsa apni hikmat amili parr kaim rhen. Or zeada shor machany sy bachen trading main kamyab honay kay liye nazam o zabat sabar munasib risk kie or management nafsyati lachak wagera ke zarort hoti hay.

      اب آن لائن

      Working...
      X