Conclusion of Long-Legged Doji candlestick pattern.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Conclusion of Long-Legged Doji candlestick pattern.
    Conclusion of Long-Legged Doji candlestick pattern.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Aslam o alaikum dear forex members. Umeed karta hun k ap sab kheriat sey houn gey and forex par achi learning kar rahy houn gey. Jaisa k ap log janty hen k pakistan forex forum aik real platform hai jahan hum real trading karty hein r benefit hasil karty hein. Yahan har member alag alag topics ko share karty hein jin ki waja sey hum trading ko janty aur seekhty hein. Aj mein ap sab sey aik boht khas topic discuss karun ga. * What is Long-Legged Doji candlestick pattern ? Dear members long legged doji candlestick pattern normally prices mein zada dekhayi deta hai. Yeh aik neutral candle mein shumar hota hai. Yeh candle aik he time par buyers and sellers ki equal power ki akasi karta hai. Yeh prices ko aik special jaga par barqarar rakhta hai. Japanese candlestick, bar chart ki nisbat zada pasand is liye ki jati hai kyun k yeh candle us k muqably zada information rakhti hai. Bar chart timeframe ka open close high aur low prices dekhaty hein. Jab k yeh candlestick open close high low bullish bearish aur neutral values bhi dekhati hai. Candlestick chahy aik ho ya numbers mein zada hon, inki information zada relaible hoti hai. Long-legged doji aik single candle hoti hai aur yeh neutral candle tasawar ki jati hai. * Explanation of Long-Legged ; Long legged doji candlestick prices k center mein mostly neutral hoti hai. Jab k bottom and top prices par trend reversal ki power rakhti hai. Yeh candle bagger real body mein hoti hai. Yeh candle single hony ki waja sey bullish or bearish dono tarah ka kaam kar sakti hai. Is candle k upper and lower dono side shadow hota hai aur yeh size mein equal hota hai. Yeh without real body mein upper and lower side par long shadow k sath hoti hai. Yeh candle bullish b ho sakti hai aur bearish b ho sakti hai , jab k open and closing dono tarah equaly long shadow hoty hein. Long-legged doji dekhny mein small doji star jaisi hoti hai. Is ki upper and lower side ka shadow length mein zada hota hai. Is sey dono candles k bech clearly farq ajata hai. * Conclusion ; Jaisa k meiny oper btaya hai k long legged doji aik neutral pattern hai. Yeh trading k liye mushkil ho sakti hai kyun k yeh market mein adam faisly ki nishan dahi karti hai. Mostly expert traders is ki confirmation hony ka wait karty hein. Yeh next candle k close hony tak uski opposite hony tak wait karty hein. Yeh pattern working k bagher bht mushkil hota hai. Dekhny mein easy lagta hai but is ko study karna beyhad zaruri hai. Yeh pattern bearish bullish aur neutral ho sakta hai. Is ki upper and lower side par same size ki wick hoti hai aur dono taraf long shadow hota hai. Hum isko long frame k andar study jar k talash kar sakty hein aur us k baad jab iski confirmation mil jaye then market mein enter hojana chaiye. Umeed karta hun k ap sab ko aj ka topic acji tarah samjh aya hoga. Agar ap is par working karny k baad market mein enter hoty hein then aik acha benefit hasil kr k nikal sakty hein.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X