Trading with : Bullish Pinbar Candlestick
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Bullish Pinbar Candlestick
    Trading with : Bullish Pinbar Candlestick
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish Pin Bar Candlestick
    Bullish pin bar candlestick prices k downtrend ya lower side par paye jatti hai, jo ziada tar trend reversal ka kaam karti hai. Bullish pin bar candle ki banne ki wajja ye hotti hai, k bearish trend k akher main sellers prices ko mazeed nechay ki taraf push karte hen, lekin yahan par assets ki high demand increase ho jati hai, jiss se market main buyers active hona shoro ho jate hen, aur wo prices ko wapis bullish le jate hai, jis ki waja se candle k lower side par aik bara "tail" "shadow" ya "wick" ban jatti hai. Bullish pin bar candle main shadow candle k real body k lower side pe bantta hai, jab k real body main open aur close aik dosre k qareeb hote hen. Candle k shadow downward honne ki wajja se candle ki shap "T" jaise dekhaye detti hai.
    Candles Formation
    Bullish pin bar candlestick candle do hisson par mushtamil aik single candle hotti hai, jis main aik candle ki real body hotti hai, jab dosrra hissa downside par candle ki shadow ya wick hoti hai. Candle ki real body size main small hotti hai, jab k shadow taqreeban is ka double bannta hai. Candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai; Bullish Pin Bar Candle: Bullish pin bar candlestick candle prices k lower side par kisi bhi color ki ho saktti hai. Ye candle aggar black/red main bantti hai, to ye bearish candle hogi, jab k white/green main banne par candle bullish hoggi. Prices ka downtrend honne ki wajja se candle jiss color main bhi bantti hai, is ki hasseyyat bullish candle ki hi hoggi. Candle ki aik small real body k sath lower side par aik long shadow hota hai.
    Explanation
    Bullish pin bar candlestick aik single pattern candle hai, jo k prices k downtrend main banne par bullish trend reversal ki hosseyyat rakhtti hai. Ye candle "Umbrella Candle" family se talluq rakhtti hai, jiss main candle ki small real body k sath downward side par candle ki aik barri shadow ya wick hotti hai. Bullish pin bar candle aggar prices k top par bannti hai to ye "Bearish pin bar candle" ban jati hai, aur pher iss ki hasseyat bearish trend ki hotti hai. Candle k prices k lower side par banne ki waja se ye kisi bhi color ki ho saktti hai, lekin hasseyat bearish wali hoggi. Bullish pin bar candle ka sayya ya shadow candle k real body k bottom par honne ki waja se candle lower side ki trend ki rejection ka zarya banti hai, aur price ka rukh tabdeel karti hai.
    Trading
    Bullish pin bar candlestick bhi single candle par mushtamil pattern hai, jo bullish trend reversal k leye estemal hota hai. Ye pattern aggar long timeframe main aur lower prices main bantti hai, to candle aik strong bullish signal genrate karta hai. Candle ki shadow prices ko bullish side par rejection to dekhatti hai, lekin sath hi sath market main buyers ki dilchaspi bhi batatti hai. Bullish pin bar candlestick single candle honne ki waja se trend k leye akelle kaffi nahi hai, jab tak is k baad aik strong bullish candle nahi banti hai. Bullish pin bar candlestick k baad banne wali bullish candle par market main buy ki entry ki ja saktti hai. Stop Loss Bullish pin bar candlestick k shadow k last par ya prices k lower side par set hogga.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X