Importance of Doji candlestick and its types

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of Doji candlestick and its types
    Importance of Doji candlestick and its types
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Aslam o alaikum dear forex members. Mein umeed karta hun k ap sab kheriat k sath houn gey and forex par achi learning kar rahy houn gey. Dear members aj mein ap sab ko Doji candlestick k bary mein important information faraham karun ga kyun k yeh market k andar boht zada ehmiat rakhti hai. * What is Doji Candlestick ?Dear members doji candlestick pattern aik boht famous pattern hai. Yeh candlestick pattern market mein aik apni alag pehchan k sath run kar raha hota hai. Is candle ki real body dekhny mein small size ki hoti hai. Is k andar aik bullish doji aur aik bearish doji candlestick hoti hai. Basically yeh candlestick market k trend ko dekh k ban rahi hoti hai. Is candlestick ki upper side aik small wick hoti hai aur lower side par long wick hoti hai. Yeh size mein small bhi ho sakti hai aur large bhi ho sakti hai. Jab yeh bullish trend mein move karti hai tou us time yeh green or white colour mein hoti hai aur jab yeh bearish trend ko follow karti hai us time yeh candle ka colour red or black hota hai. * Explanation of Doji candlestick pattern :Dear forex members jaisa k meiny oper ap sab ko btaya hai k doji candlestick pattern two candles par mushtamil hota hai. Is mein aik bullish candle hoti hai aur dusri candle bearish hoti hai. Yeh candlestick size mein small or large dono tarah ki ho sakti hai. Is candlestick ki upper side lar aik small wick hoti hai aur lower side par large wick hoti hai jo hamen doji ki pehchan ko clear karti hai. Jab bhi yeh candlestick banti hai tou market ka trend puri tarah change hojata hai. Market mein sellers aur buyers ka pressure increase hojata hai. Is liye hamen is trend ko lazmi follow karna chaiye.* Types and description :Jaisa k meiny oper btaya hai k doji candlestick two candles par mushtamil hai. Is pattern ki first candle bullish hoti hai jo apni real body mein hoti hai aur is ka colour green or white hota hai. Yeh market k andar uptrend mein jati hai aur buyers ko uptrend ki taraf khenchti hai.Is k baad second candle bearish ki banti hai yeh buyers k pressure ko kam karty huye sellers ko market k andar ley ati hai aur aik time aisa ata hai k market boht zada down chali jati hai aur sellers is par apna control kar lety hein. Jab bhi is tarah ki condition bany then hamen trend ko he follow karna chaiye. Kyun k trend k sath sath working karna hamary liye achi sabit hoti hai aur hamen acha benefit deti hai. Is liye mein umeed karta hun k ap sab is pattern ko zaroor samjhen gy aur working karen gey. Yeh pattern hamen big frame chart mein clearly nazar ata hai. Isko talash karna mushkil ni hai. Kyun k is ki pehchan yehi hai k is ki upper side small wick aur jab k lower par long wick hoti hai.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X