Difference between reversal and retracement:

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Difference between reversal and retracement:
    Difference between reversal and retracement:
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalam alaikum dear members! umeed hai aap sb khair khairiat se hn gy or apki trading bahut achi jaa rahi ho ge> dear members trading k doran aksr hmary sth aisa hota hai k hum jskoreversal smjh k trade lety hain market wahan se reverse ni hoti or baad main pata chlta hai k ye to market retrace kar rahi thi or estrha hamen loss hota ha. agar hum loss se bachna chahty hain to hamen es main reversal or retracement ka frk smjhna ho ga taa k hmari trades profitable hn. es lye aj ki post main hum reversal or retracement k frq ko smjhen gy. What is retracement? Dear members jb market kisi trend main move karti ha jesa k uptrend to market seedha seedha opr ni jati bl k market opr nechy zig zag ho k ya koe pattern bna k opr jati ha. Jb market uptrend main ho r thora nechy ay phr opr jay estraha ki wave bnati ha or nechy ki movement ko retracement kaha jata ha. or es movement main market higher highs or higher lows bnati ha jb tk market apny low ko break ni karti to esy retrecement hi kaha jata ha. estrha uptrend main hamen hr retracement k bad buy ki trade leni chahye na k retracement py sell ki baz mrtba traders retracement py sell ki trade le lety hain or loss kr bethty hain. What is reversal? Dear members jb market apna koe trend change kar k dosry trend main jati ha to esy trend reversal kaha jata ha. jesa k market agr downtrend main ho to market lower lows or lower highs bnati ha or jb tk aisa chly ga to trend continue rhy ga or jb market apna high break kr k opr ki trf jygi to us wqt trend reverse ho jyga or market downtrend se uptrend main chli jygi. market ka trend reverse ho to es main hum opposite trade lety hain or es main achi trade milti ha. How to identify retracement & reversal? Dear members retracement or reversal ko identify karny k lye hum technicals tools use kar skty hain jesa k agr market apny trend main move kar rhi ha or jb tk market apny lows or highs break ni karti to reversal ni hota or retracement hi hoti ha. or es k ilawa Fibonacci retracement indicator best tool ha jo k market main reversal or retracement ki identification main use hota ha. es indicator main hamen differnt ratios di jati ha or es indicatoe ko swing low se swing high tk lgaya kata ha kr agr market 61.8% se zada retrace kar jy to es reversal kaha jata ha agr market 61.8% se opr hi rhy to esy reversal kaha jata ha or expect kia jata ha k market apna trend continue kary ge.
     
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Reversal & Retracement
      Forex trading market main prices ziada tar two levels jiss ko aam tawar par support and resistance levels kaha jata hai, k darmeyan trade kar rahi hoti hai, lekin ye levels hamesha k leye barqarar nahi rehti hai, bulkeh kabhi na kabhi ye lazmi breakout hoti hai. Jab bhi ye levels breakout hoti hai, to uss sorat main prices k pass do directions hote hen, k ya to wo breakout wale trend par musalsal (continuation) harkat karna shoro karti hai aur ya ye breakout arzi hota hai, yanni prices wapis support ya resistance levels k darmeyan ati hen. Prices k apne levels main wapasi k leye do terms istemal hote hen, jiss main aik ko reversal jab k dosre ko retracement kaha jata hai. Reversal aur retracement kia haen aur in k darmeyan kia difference hai uss ki tafseel darjazzel hai;
      Retracement
      Retracement aik trend k khelaf prices ka temporary harkat hai. Retracement temporary harkat hone ki waja se iss ka matlab hai k ye short term harkat hoti hai, jiss main prices wapis apni asal semat main wapis a jati hai. Retracement ziada strong nahi hota hai, q k iss main prices ka trend badal jane main nakami hoti hai. Retracement agar bullish trend main ho ye bearish hongay jab k bearish trend main retracement bullish hongay. Retracement k pass pori trend k change karne ki salaheyat nahi hoti hai. Example: EURUSD ki prices aik bullish trend par trade kar rahi ho, aur wo maojooda trend k mutabiq 1.1250, 1.1300, 1.1295, 1.1350 1.1345, aur 1.1400 point ko touch karte howe up-trend par move kar rahi hoti hai. Lekin hamesh kabhi bhi aisa nahi hota hai, k ye prices musalsal aik k baad aik point ko touch karke upward jati ho. Hamesha jab bhi prices aik upeard point jaise 1.1250 k baad 1.1300 ko touch karti hai, to iss k baad prices direct 1.1350 ko touch nahi karti, bulkeh iss darmeyan prices lazmi thora sa nechay ko a jati hai aur wo 1.1295 ko touch karke pher se upward 1.1350 point ki taraf jati hai. Ye 1.1290 ka point tak prices ka ana aur wapis upward jana prices k leye retracement kehlata hai.
      Reversal
      Reversal ka amal retracement se mukala mukhtalif hai, jiss main prices temporary turning ki bajaye mukamal trend ko change kar deta hai. Agar prices pehle se bullish trend par ja rahi hoti thi to reversal ki waja se wo bearish trend main badal jati hai. Reversal long term aur ziada strong reaction dekhati hai, q k iss main prices ka wapis nahi ana hota hai. Alabata reversal main prices k leye retracement main ho sakte hen, q k reversal aik long term trend reversal hota hai, jab k retracement short term hota hai, to retracement reversal ka juzz ho sakta hai. Example: Reversal ka asar trading main bohut ziada der tak hota hai. Agar EURUSD bullish trend par move kar rahi hoti hai, aur uss ki current price 1.1300 ho, lekin 1.1350 tak prices jane k baad return ho kar bearish ye nechay ki taraf move honna shoro karti hai aur 1.1250, 1.1200, 1.1150 aur 1.1100 k point ko choti howi down-trend harkat karti hai, to ye prices ka 1.1350 point se reversal kehlayega. Reversal trend main prices aik khas resistance point se reject hone k baad ziada der tak opposite direction main chalti rehti hai, aur ye trend uss waqat tak barqarar rehta hai, jab usse dobara kisi reversal ka samna nahi karna parta.
      Difference Between Retracement and Reversal
      • Retracement:
        1. Retracement prices ka temporary return hota hai, yanni iss dowran prices maojooda trend k opposite direction main chalna shoro karti hai.
        2. Retracement up-trend main higher high aur downtrend main lower low banati howe harkat karti hai. Taqreeban ye higher high ya lower low length main same hoti hen lekin upward ya downward hote hen. Retracement main trend continuation pattern bhi shamil ho sakti hai.
        3. Retracement aik long term tabdeeli hai.
        4. Retracement main traders apne orders ko close nahi karte hen, q k prices ne wapis ana hota hai.
      • Reversal:
        1. Reversal retracement k bar akas prices k long term opposite movement hoti hai, jiss se prices maojoda trend k khelaf permanently direction tabdeel karti hai.
        2. Reversal aksar candlestick patterns ya support and resistance levels main dekha jata hai, jahan se prices complete apana behaviour tabdeel karti hai, ziada tar ye amal doji candles ya dosre trend reversal candles main hota hai.
        3. Reversal aik long term tabdeeli hoti hai.
        4. Reversal honne k baad trades apne trades close karte hen, q k prices ussi direction main mazzeed nahi jati hai.
      Trading
      • Retracement : Retracements main trading k leye zarorri hai, k pehle market ki mukamal analysis ki jaye. Agar market trwnd confirmation ka signal deta hai, to uss sorat main retracement main trading karna ziada faidamand sabit ho sakta hai. Agar open trades hen to profit ki sorat main trades close nahi karne jab k loss ki sorat main retracement par apne open trades ko close karen, q k iss se loss main kami hoti hai.
      • Reversal : Reversal par trading ziada faida mand hota hai, q k yahan se trend badal jata hai aur ye long term ki tabdeeli hoti hai. Reversal main market main confirmation karne k baad entry karen, stop loss ka zaror istemal karen aur agar pehle se trades open ho to profit ki sorat main uss ko close karen, jab k loss wale trares ko open rehne den.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Forex Trading Mein Reversal Aur Retracement Ka Farq Forex trading mein "reversal" aur "retracement" dono terms trading charts par price movements ko describe karne ke liye istemal hotay hain. Dono hi tareeqe market analysis mein ahem hain, lekin inke matlab aur istemal mein kuch farq hota hai. I. Reversal Reversal ka matlab hota hai ke market ka trend direction badal raha hota hai. Jab market ek specific direction mein ja raha hota hai, jaise ke uptrend (bullish) ya downtrend (bearish), aur yeh trend apni maximum point tak pohanch jata hai, toh reversal ka chance hota hai. Yeh market mein ek major shift ko indicate karta hai. Formation: Reversal formations chart par candlestick patterns ya technical indicators ke through detect kiye jate hain. Kuch common reversal patterns mein "Head and Shoulders", "Double Top" aur "Double Bottom" shamil hain. Uses: Reversal patterns traders ko market ke trend ka badalne ka pata lagane mein madad karte hain. In formations ka sahi istemal kar ke traders market ki new direction mein trade karte hain. Benefits: Reversal trading, jab sahi tareeqe se kiya jata hai, traders ko market ke trend change ke starting point par enter karne ka mouqa deta hai, jisse unko achi profits hasil karne ka chance milta hai. II. Retracement Retracement ka matlab hota hai ke market apne current trend mein kuch steps ya paces peeche hat raha hota hai. Yeh temporary reversal hota hai, jisme price briefly opposite direction mein move karta hai, lekin overall trend phir se continue hota hai. Formation: Retracement ki formations Fibonacci retracement levels ke zariye determine ki jati hain. Fibonacci levels 23.6%, 38.2%, 50%, 61.8%, aur 78.6% hote hain. Uses: Retracement levels traders ko identify karte hain ke market trend mein temporary pullback ho raha hai. Yeh traders ko sahi entry points aur stop-loss levels tayyar karne mein madad karte hain. Benefits: Retracement trading, market ke trend mein temporary corrections ko samajhne aur unka faida uthane mein help karta hai. Traders ko zyada safe entry aur exit points milte hain, jisse risk kam hota hai. Conclusion: Forex trading mein reversal aur retracement dono ahem tools hain, lekin inke istemal mein farq hota hai. Reversal trend ka direction badalte hain, jabke retracement temporary corrections ko indicate karte hain. Dono trading formations traders ko sahi entry aur exit points tayyar karne mein madad karte hain, jisse unki trading performance behtar hoti hai. Sahi tareeqe se inko samajh kar aur istemal kar ke traders forex market mein successful trading kar sakte hain.

        اب آن لائن

        Working...
        X