Cryptocurrency vs Paper Currency Information
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Cryptocurrency vs Paper Currency Information
    Cryptocurrency vs Paper Currency Information
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Cryptocurrency
    Crypto currency aisi digital currencies ko kaha jata hai jis ko computerized ya secure tareeqay se mehfoz kia jata hai aur ye aik khayali currency hoti hai. Q k is ka koi bhi zahiri wajood nahi hota hai. Cryto currency me chokeh blockchain method istemal ki jati hai is waja se is me do numbari aur jali pan taqreeban namumkin hai. Crypto currencies kisi bhi mulk ki tarf se shaya nahi ki jati hai aur na hi ye kisi government ki mateht hoti hai jo is ko control kar saken. Crypto currencies government control se bahar hone ki waja se is me government ki do numbri ki chances na mumkin hai. Crypto currencies ka khayal 1985 me pesh kia gaya tha aur is ka baqayeda aghaz bitcoin ki currency se 2009 me howa. Bitcoin is waqat pori dunya me na sirf Crypto currencies me se bulke aam country currencies me bhi sab se powerful currency hai. Aajkal market me is ki rate 11000$ se uper hai. Bitcoin k elawa crypto currencies me Litcoin, Dogicoin, Bitcoincash waghera shamil hai. Digital currencies bohut sare countries me qanoni hai aur Pakistan me pelhal is ki karobar pe pabandi hai. Pakistan me money laundering aur terrorism financial ka bara masla chal raha hai is waja se is k buisiness pe pelhal pabandi hai.
    Paper Currency
    Hard currency ya paper currency ka aghaz bohut porana aur porane waqto me metal, sone aur chandi k seke hard currency k tawar par istemal hote the. Modern currency ka aghaz 1664 me Sweden k bank ne pehle baqayeda currency ka aghaz kia tha. Us k baad ye mukhtalif marahil se guzarta howa hamare pass is shakal me aya hai. Paper currency ko aam tawar par gold ki zamanat k tawar par jari kia ja chuka hai. Aur is pe mentiond hota hai k ye government ki officials bank ki taraf se hamare leye aik zamanat hai. Pori dunya me har aik mulk ka apna currency note hota hai. Aur is se wo apne mulk me maojood karobar k leye istemal karte hen. Is waqat paper ya bank note me sab se strong currency Kuwaiti dinner hai aur sab se kamzor/ weak currency irani rial ha.
    Forex trading aur currency (Crypto aur Paper currency)
    Forex trading me aajkal har broker taqreeban dono type currency me trade karwate hen. Hard currency k trading ka aghaz to 1973me Bretton wood agreement k dissolved hone pe shoro ho gaya aur Crypto currencies ka aghaz modern waqat me hi howa hai. Cryto currencies abhi taraqi k marahil se guzar rahi hai. Forex trading asal kaam hi currencies exchange ka karta hai aur is me rozana k lehaz se taqreeban 5 trillions dollars ki investment ya transactions hoti hai. Crypto currencies bhi ab is door me baraber ka hisa dar ban chuki hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X