Trading with : Bearish Spike Candlestick

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Bearish Spike Candlestick
    Trading with : Bearish Spike Candlestick
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Spike Candlestick Pattern
    Bearish spike candlestick pattern single candle pattern hone ki waja se technical analysis main bohut ziada istemal hone wala aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ko na sirf forex trading mein ziada istemal kia jata hai, balkay index, bands, aur cryptocurrency trading mein bhi is ka khasa use hota hai. Bearish spike candle price action traders ko bullish ya bearish trend ke baad mumkina trend reversal ko talaash karne mein madad kar sakti hain. Bearish spike candle ki karkardagi ka inhisar selected timeframe par hota hai, jab bhi ye candle prices k top par banti hai, to ye mumkina bearish trend reversal ka signal deti hai. Bearish spike candlestick dosre indicators k sath prices k top par bearish trend reversal ka k leye ziada mashahoor hai, jiss k opposite direction main bottom prices main bullish spike candle banti hai. Bearish spike candle k sath prices k top par aik long upper shadow candle bhi same hososeyat rakhti hai, jo bearish trend reversal ka sabab banti hai, lekin shape main Bearish spike candle se mukhtalif hoti hai.
    Candles Formation
    Bearish spike candle ki reliability ka inhisar price chart par muntakhib karda timeframe par hota hai, jitna ziada timeframes lamba select hoga, candle ki haseyat ziada strong banti jayegi. spike candle price chart par darjazzel hososeyat k sath banti hai; Bearish Spike Candle: Bearish spike candlestick bullish trend main bulterteeb buying aur selling pressure ki waja se banti hai, jiss main candle ki ziada tar hososeyat bearish trend ki hoti hai. Ye candle small real body main hoti hai, jiss ka upper side par aik long shadow hota hai. Candle ki real body bullish aur bearish dono ho sakti hai, lekin ye candle bearish candle hi shumar hoti hai.
    Explaination
    Bearish spike candlestick pattern aik small real body main upper side par long shadow wali candle hai, jiss main prices bullish trend ko reject karne ka ishara deti hai. Candle ki shape bullish ya bearish dono tarah se ho sakta hai, jab k candle ki shadow real body k size se dunga ho sakti hai. Bearish spike candlestick aik aisa pattern hai, jo mukhtalif financial markets ke sath achi terhan kaam karta hai. Yeh candlestick ke sab se mashhoor pattern mein se aik hai, jisay trader price ki harkat ko dekhte hue result ke imkaan ka andaza laganay ke liye istemaal karte hen. Candlestick price chart mein, har aik candle selected timeframe ke mutabiq aik period se mutaliq hoti hai. Bearish spike candle single candle hone ki waja se har aik timeframe main aik hi candle ka pattern hoga.
    Trading
    Bearish spike bullish ya bearish dono shapes main bearish trend reversal ki hososeyat ka hamil hoti hai, q k prices k top ye bullish trend main ye candle prices k leye resistance zone ka role play karti hai. Single candle pattern main jitna ziada lamba timeframes hota hai, iss ki reliability uss k hisab se achi hoti hai. Candle par trading se pehle long term ki timeframe k sath aik trend confirmation candle ka hona bhi zarori hai, jo k real body main bearish candle hone k sath Bearish spike candle k lower side par close honi chaheye. Candle ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jis ki value overbought zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se top ya high price se two pips above set karen.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Bearish Spike Candlestick Pattern: Forex Trading Mein Istemaal, Wujood, aur Fawaid Forex trading mein, bearish spike candlestick pattern ek aham technical analysis tool hai jo trader ko market movements ke bare mein samajhne mein madad karta hai. Ye pattern price action ka ek pramukh hissa hai aur market trend ke reversals ko identify karne mein asardar sabit hota hai. Is article mein hum bearish spike candlestick pattern ki formation, iska istemaal aur uske fawaid ke bare mein roman Urdu mein batayenge. Formation: Bearish spike candlestick pattern formation mein, ek lambe body wali bearish candlestick, usually ek bull trend ke beech mein dikhti hai. Is pattern mein, bearish candlestick ka upper shadow bahut bada hota hai, jabki lower shadow chota rehta hai. Upper shadow, price ke sudden increase ko indicate karta hai, jabki lower shadow, price ke decline ko darshata hai. Is tarah ki spike candlestick ki body kamzor hoti hai, jisse ye bearish momentum ko represent karti hai. Istemaal : 1. Trend Reversals ka Pata Lagana: Bearish spike candlestick pattern, market trend ke reversals ko identify karne ke liye istemaal hota hai. Jab is pattern ki formation bull trend ke beech mein hoti hai, to yeh market mein bearish reversal ki sambhavna ko darshata hai. Traders isko trend reversal signal ke roop mein interpret karke, apni trading strategies mein changes kar sakte hain. 2. Entry and Exit Points Ka Nirnay: Bearish spike candlestick pattern, entry aur exit points ka nirnay lene mein bhi madad karta hai. Jab ek bearish spike candlestick form hoti hai, to ye trader ko selling opportunity provide karti hai. Traders is pattern ko confirmatory signal ke roop mein istemaal karke apne positions ko enter ya exit kar sakte hain. Fawaid : 1. Market Direction Ka Samajhna: Bearish spike candlestick pattern, market direction ko samajhne mein madad karta hai. Is pattern ke existence se, traders ko bearish momentum aur selling pressure ke bare mein jankari mil jati hai. Ye information unko trading decisions lene mein madad karti hai. 2. Risk Management: Bearish spike candlestick pattern, risk management mein bhi madad karta hai. Jab ye pattern confirmatory signals ke saath istemaal kiya jata hai, to traders apni stop-loss levels aur take-profit levels ko set kar sakte hain. Isse unko apne trades ki risk-reward ratio ko optimize karne mein madad milti hai. Conclusion: Bearish spike candlestick pattern, forex trading mein ek prabhavi technical analysis tool hai. Iska istemaal karke, traders market trend ke reversals ko pata laga sakte hain aur apne trading decisions ko improve kar sakte hain. Is pattern ka sahi samajhna aur istemaal karna traders ko market movements ko samajhne aur trading success ko badhane mein madad karta hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X