Trading with : Small Doji (Doji-Star) Candlestick
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Small Doji (Doji-Star) Candlestick
    Trading with : Small Doji (Doji-Star) Candlestick
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Small Doji Candle
    Single candles pattern jiss main buyers aur sellers ka market main control aksar barabar rehta hai, aik neutral candles tasawar ki jati hai. Small doji candle bhi market main buyers aur sellers ki yaksan hone par wajood main ati hai. Small doji candle ki ooper aur nechay aik lamba shadow ya wick hota hai, jiss ka darmeyan main aik line si real body hoti hai, jiss main prices ka open aur close same hota hai. Ye aik neutral candle shumar hoti hai, jo k aik strong trend k dowran trend reversal ka signal de sakti hai. Small doji candle k ooper aur nechay shadow aik to size main equal hona chaheye aur dosra ya length main ziada lamba nahi hona chaheye, q k long hone par ye Long-legged candle ban sakti hai.
    Candles Formation
    Small doji candle prices k top aur bottom dono main ban sakti hai. Sideways markets main ye candle aik neutral candle hoti hai, jo k prices k ziada tar maojoda trend main continuation ka sabab banti hai. Price chart par Small doji candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai; Small Doji Candle: Small doji candle chart pattern par aksar market main aik black line si nazar ati hai, jiss ka ooper aur nechay aik lamba shadow hota hai. Ye candle bagher real body ki hoti hai, jiss main prices ka open aur close same point par hota hai. Iss candle ko neutral, common ya plus candle bhi kaha jata hai.
    Explaination
    Small doji candle aik single day doji candle hai, jiss main prices din k aghaz main pehle aik side par move karne k baad apna trend tabdeel karke dosre semat par move karna shoro karte hen, lekin din k ikhtetam par ye prices same point par band ho jati hai. Price chart par buyers aur sellers market main same quat main hote hen, jiss se prices aik timeframe k dowran ooper aur nechay jane ka baad wapis apne aghaz wali position par a jati hai. Ye aik bagher real body ya small real body wali candle hoti hai, jo k trend k mutabiq apni hodohal ko tabdeel karti hai. Ye candle prices k top ya bottom par strong trend reversal ka sabab banti hai.
    Trading
    Small doji candle sideways market main ya newly breakout trend main trend continuation ka kaam karti hai, jab k price k top ya bottom main ye candle aksar trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal aur prices k top par bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Candle k baad trend ki confirmation ka candle ka hona zarori hai jo k real body main hona chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation CCI indicator ya stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai. Stop Loss candle k sab se top ya bottom se trend reversal k mutabiq two pips below ya above set kia ja sakta hai.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X