Trading with : Bearish Meeting Line Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Bearish Meeting Line Candlestick Pattern
    Trading with : Bearish Meeting Line Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish Meeting Line Candlestick Pattern
    Bullish meeting line candlestick pattern main dosre din ki candle previous din ki candle k bottom par gap main open ho kar ussi k closing point par close hoti hai. Bullish meeting line candlestick pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik bullish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bullish candle pehli din ki bearish candle k current trend k asarat ko kam karti hai, ynni bullish candle bearish candle k lower side par gap main khulti hai, jab k close ussi k same closing point par hoti hai. Pattern ki bullish candle bearish candle se nechay gap main open hoti hai, lekin ye gap bullish candle ki real body se cover hota hai, jiss ka iss waja se andaza ya clear nazar nahi ata hai.
    Candles Formation
    Bullish meeting line candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bullish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k lower par open ho kar ussi k closing line par same close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Bullish meeting line candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bearish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se nechay hota hai. Bearish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.
    2. Second Candle: Bullish meeting line candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par gap main open ho kar ussi k higher par same close price par close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle k close point se pehle ya baad main close nahi honi chaheye.
    Explanation
    Bullish meeting line candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi sellers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main ban kar market ka trend bullish reversal bana deta hai. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se se nechay gap main open hoti hai. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main sellers price ko pehle nechay push karte hen, jiss se bullish candle bearish candle se nechay gap main open hoti hai, lekin baad main sellers ki prices k bottom main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat buyers market main ziada active ho jate hen. Baaz dafa ye pattern koi strong news release hone k baad prices k bottom main banta hai.
    Trading
    Bullish meeting line candlestick pattern trading k leye aik strong bullish signal deta hai, jiss se buyers market main entry karte hen. Pattern k baad aik Bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath dosri candle k top par close honi chaheye. Lekin bearish candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya dosri candle k open price se two pips below par set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X