Trading with : Bearish Pin Bar Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Bearish Pin Bar Candlestick Pattern
    Trading with : Bearish Pin Bar Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Pin Bar Candlestick
    Bearish pin bar candle "Inverted Umbrella Candle" family ki ek candle hai, jo k prices k uptrend ya upper side par paye jatti hai. Bearish pin bar candle ki banne ki waja ye hoti hai, k bullish trend k last par buyers assets ki price ko peak tak push karne ki koshash karte hen, lekin low demand ki waja se prices sirf temporary upward jane ki waja se high selling pressure se wapis nechay gerti hai, jis ki waja se candle k upper side par aik bara tail, shadow ya wick ban jatti hai. Bearish pin bar candle main shadow candle k real body k upper side pe bantta hai, jab k real body main open aur close aik dosre k qareeb hote hen. Candle k shadow upward honne ki wajja se candle ki shap "ulat T" jaise dekhaye detti hai.
    Candles Formation
    Bearish pin bar candle do hisson par mushtamil aik single candle hotti hai, jis main aik candle ki real body hotti hai, jab dosrra hissa upside par candle ki shadow ya wick hotti hai. Candle ki real body size main small hotti hai, jab k shadow taqreeban is ka double bannta hai. Price chart par candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai ; Bearish Pin Bar Candle: Bearish pin bar candle prices k upper side par kisi bhi color ki ho saktti hai. Ye candle aggar black/red main bantti hai, to ye bearish candle hogi, jab k white/green main banne par candle bullish hoggi. Prices ka uptrend honne ki wajja se candle jiss color main bhi bantti hai, is ki hasseyyat bearish candle ki hi hoggi.
    Explaination
    Bearish pin bar candle aik single pattern candle hai, jo k prices k uptrend main banne par bearish trend reversal ki hosseyyat rakhti hai. Ye candle " Umbrella Candle" family se talluq rakhtti hai, jiss main candle ki small real body k sath upward side par candle ki aik barri shadow ya wick hotti hai. Long upper shadow candle aggar prices k bottom par bannti hai to ye "bullish pin bar candle" ban jati hai, aur pher iss ki hasseyat bullish trend ki hotti hai. Candle k upper side par banne ki waja se ye kisi bhi color ki ho saktti hai, lekin hasseyat bearish wali hoggi. Bearish pin bar candle ka sayya ya shadow candle k real body k top par honne ki waja se candle upper side ki trwnd ki rejection ka zarya banti hai, aur price ka rukh tabdeel karti hai.
    Trading
    Bearish pin bar candle bhi single candle par mushtamil pattern hai, jo bullish trend reversal k leye estemal hotti hai. Ye pattern aggar long timeframe main aur top prices main bantti hai, to candle aik strong bearish signal genrate kartti hai. Candle ki shadow prices ko bullish side par rejection to dekhatti hai, lekin sath hi sath market main sellers ki dilchaspi bhi batatti hai. Bearish pin bar single candle hone ki waja se trend k leye akelle kaffi nahi hai, jab tak is k baad aik strong bearish candle nahi banti hai. Bearish pin bar k baad banne wali bearish candle par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Stop Loss Bearish pin bar k shadow k last par ya prices k top side par set hogga.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X