Trading with : Bullish In-Neck Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Bullish In-Neck Line Candlestick Pattern
    Trading with : Bullish In-Neck Line Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish In-Neck Candlestick Pattern
    Bullish in-neck candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jo k up trend k baad banta hai. Pattern aik bullish trend main uss waqat banta hai, jab market main aik bearish candle pechli bullish candle k ooper gap main open ho kar bearish real body banane k baad pehli candle k close price par ya uss se thora sa nechay real body main close ho jati hai. Pattern main shamil dono candles ka close price ya to same hota hai, aur ya aik dosre k bohut qareeb hota hai, jiss se dono candles k closing price k darmeyan koi gap nahi banta hai. Pattern k mutabiq bears market k control ko hasil karne main nakam hote hen, jiss se prices same bullish trend ko hi follow karti hai. Pattern k dono candles k closing price k darmeyan lazmi gap nahi hona chaheye, basorat degar ye pattern bullish on-neck pattern ban sakta hai.
    Candles Formation
    Bullish in-neck candlestick pattern ki dosri candle k bearish hone k bawajood bhi market main investor ziada mutasir nahi hote hen. Jiss se prices same sabeqa trend k mutabiq bullish hi follow kia jata hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai, jiss ki tafseel darjazel tarah se hoti hai:
    1. First Candle: Bullish in-neck candlestick pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle price k uptrend ko show kar rahi hoti hai, jo k white ya green color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.
    2. Second Candle: In-neck candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k top par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body main ya uss k closing price par hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k bullish trend ka khatam karne ki nakami ki sorat me bullish trend continuation ka sabab banti hai.
    Explaination
    Bullish in-neck pattern ko bullish trend continuation patteren ke tor par istemal kia jata hai, jo market mein musalsal ooper ki janib harkat ka ishara karta hai. Pattern k dosre din ki candlestick prices main waqfa dekhata hai, jahan bears market mein wapasi ki koshash karte hen, lekin trend ko bullish se bearish mein tabdeel karne mein nakam hote hai. Pattern ka ahem nuqta yeh hai, k pattern ki dosri candle pehli candle k close price par ya uss se thosa sa nechay real body main close hoti hai. Pattern ye zahir karne ki koshash karta hai, k bears market main control hasil karne main nakam rahe hen, jiss se bulls market ka control dobara hasil karte hen. Pattern ki dono candles mukhtalif formate main hoti hai, jiss main pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai. Dono candles real body main lazmi honi chaheye jab k ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
    Trading
    Bullish in-neck candlestick pattern prices main bears ki nakam koshash ko zahir karti hai, jiss se prices same bullish trend ko follow karti hai. Pattern ki dono candles k closing price ya to same point par hota hai aur ya dosri candle pehli candle k real body main close hoti hai, lekin ye point real body k 50% se ziada hota hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bullish honi chaheye aur dosri bearish candle k top par close honi chaheye. Pattern k baad bearish candle k banne se ye pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value 50 zone se above honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya pehli candle k open price se two pips below set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X