Trading with : Bearish In-Neck Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Bearish In-Neck Line Candlestick Pattern
    Trading with : Bearish In-Neck Line Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    In-Neck Candlestick Pattern
    In-neck candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jo k lower trend k baad banta hai. Pattern aik bearish trend main uss waqat banta hai, jab market main aik bullish candle pechli bearish candle k nechay gap main open ho kar bullish real body banane k baad pehli candle k close price par ya uss se thora sa ooper close ho jati hai. Pattern main shamil dono candles ka close price ya to same hota hai, aur ya aik dosre k bohut qareeb hota hai, jiss se dono candles k closing price k darmeyan koi gap nahi banta hai. Pattern k mutabiq bulls market k control ko hasil karne main nakam hote hen, jiss se prices same bearish trend ko hi follow karti hai. Pattern k dono candles k closing price k darmeyan lazmi gap nahi hona chaheye, basorat degar ye pattern on-neck pattern ban sakta hai.
    Candles Formation
    In-neck candlestick pattern ki dosri candle k bullish hone k bawajood bhi market main investor ziada mutasir nahi hote hen. Jiss se prices same sabeqa trend k mutabiq bearish hi follow kia jata hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai, jiss ki tafseel darjazel tarah se hoti hai:
    1. First Candle: In-neck candlestick pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, ye candle price k downtrend ko show kar rahi hoti hai, jo k black ya red color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.
    2. Second Candle: In-neck candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k bottom par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body main ya uss k closing price par hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bearish trend ka khatam karne ki nakami ki sorat me bearish trend continuation ka sabab banti hai.
    Explanation
    In-neck pattern ko bearish continuation patteren ke tor par istemal kia jata hai, jo market mein musalsal neechay ki janib harkat ka ishara karta hai. Pattern k dosre din ki candlestick prices main waqfa dekhata hai, jahan bulls market mein wapasi ki koshash karte hen, lekin trend ko bearish se bullish mein tabdeel karne mein nakam hote hai. Pattern ka ahem nuqta yeh hai, k pattern ki dosri candle pehli candle k close price par ya uss se thosa sa ooper real body main close hoti hai. Pattern ye zahir karne ki koshash karta hai, k bulls market main control hasil karne main nakam rahe hen, jiss se bears market ka control dobara hasil karte hen. Pattern ki dono candles mukhtalif formate main hoti hai, jiss main pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai. Dono candles real body main lazmi honi chaheye jab k ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
    Trading
    In-neck candlestick pattern prices main bulls ki nakam koshash ko zahir karti hai, jiss se prices same bearish trend ko follow karti hai. Pattern ki dono candles k closing price ya to same point par hota hai aur ya dosri candle pehli candle k real body main close hoti hai, lekin ye point real body k 50% se kam hota hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur dosri bullish candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle k banne se ye pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value 50 zone se kam honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya pehli candle k open price se two pips above set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X