Triple top chart pattern importance
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Triple top chart pattern importance
    Triple top chart pattern importance
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    TRIPLE TOP CHART PATTERN
    Triple Top Chart Pattern forex market mein ek aam technical analysis tool hai. Ye pattern traders ko market trends aur price reversals ke baray mein samjhne mein madad karta hai. Is article mein hum Triple Top Chart Pattern ke bare mein baat karenge.Triple Top Chart Pattern ek bearish reversal pattern hai jo uptrend ke baad aata hai. Is pattern mein price kisi specific level par three baar resistance offer karta hai aur phir downward trend shuru hota hai. Har resistance level pe price bounce back hoti hai lekin finaly sell-off hojata hai, jisse price down jata hai.
    TRIPLE TOP CHART IDENTIFICATION
    Triple Top Chart Pattern tab ban jata hai jab price ek specific level tak pahunchta hai, phir wapas neeche aata hai, phir se usi level tak pahunchta hai, aur phir wapas neeche gir jata hai. Ye process teen martaba hoti hai aur is tarah se pattern complete hojata hai. Triple Top Chart Pattern ko identify karne ke liye aapko price chart par dhyan se dekhna hoga. Agar price ek specific level ke aas paas teen baar resistance offer kar raha hai aur har baar bounce back ke baad neeche ja raha hai, toh ye Triple Top Chart Pattern ka indication ho sakta hai.
    TRIPLE TOP CHART PATTERN IMPORTANT INDICATOR.
    Triple Top Chart Pattern ke appearance se traders ko kuch important signals milte hain:- PRICE REVERSAL: Triple Top Chart Pattern bearish trend ke reversal ka indication deta hai. Jab price is pattern ki formation complete kar leta hai aur neeche jaata hai, toh ye bearish trend ka signal hai.- SUPPORT AND RESISTANCE LEVEL'S: Is pattern mein price specific level tak pahunchne ke baad bounce back karta hai, jo support level ke roop mein kaam karta hai. Jab price is level se neeche jaata hai, toh ye support level break ka signal hai. - SELLING OPPORTUNITY: Triple Top Chart Pattern ki appearance traders ko selling opportunity provide karta hai. Jab pattern complete hojata hai aur price neeche jaata hai, toh traders short positions lete hain aur profit kamate hain. Triple Top Chart Pattern ko traders apne trading strategies mein istemaal karte hain:- ENTRY POINT: Jab Triple Top Chart Pattern complete hojata hai aur price neeche jaata hai, toh traders selling positions enter karte hain. Stop loss aur target levels ko set karke traders risk management kar sakte hain.- CONFIRMATION: Triple Top Chart Pattern ki confirmation ke liye traders other technical indicators ka istemaal karte hain, jaise ki volume analysis, moving averages, ya oscillators. Ye indicators confirmatory signals provide kar sakte hain.

    اب آن لائن

    avatar Ayn
    avatar Usmaan
    avatar Hassi
    Working...
    X