Trading with : Bearish Harami Cross Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Bearish Harami Cross Candlestick Pattern
    Trading with : Bearish Harami Cross Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Harami Cross Candlestick Pattern
    Bearish harami cross candlestick pattern "Bearish Harami Pattern" ka aik dosra version hai, jo k formation main "Bearish Engulfing Candlestick Pattern" ki tarah dekhaye deta hai, ek strong bearish trend reversal pattern hai. Ye pattern ziada tar bullish trend k baad ban jata hai, aur trading k leye aik strong sell signal deta hai. "Bearish Decending Hawk Pattern" main candles ki formation bhi same bullish harami cross pattern ki tarah hoti hai, lekin faraq dosri number par banne wali candlestick k format ka hota hai. Up trend k baad banne par ye pattern ziada relaible hota hai, agar yeh long term timeframe me bannta hai.
    Candles Formation
    Bearish Harami cross pattern ek bearish trend reversal pattern hai, aur high prices area main bhi bannta hai to us k leye candles ki darrjazzel format honi chaheye ;
    1. First Candle: Bearish Harami pattern ki 1st candle aik real body wali long bullish candle hotee hai, jo k market main pehle se chaltte a rahe bearish trend ki alammat hotee hai.
    2. Second Candle: Bearish Harami pattern ki dosri candle ek bagher real body wali doji candle hotee hai, jis ka open aur close dono point same hota hai aur ye candle pehlee candle k inside main banti hai.
    Explanation
    Bearish harami cross ek strong trend reversal pattern ka kaam karta hai, aur qeematon k top trend ya bullish trend main banne pe yeh trend ko bearish trend me convert kar deta hai. Ye pattern do candles par mushtamil hota hai, jis me pehlee candle aik bari long real body wali hotee hai, aur dosree candle aik doji star candle bantee hai. Dosree candle ka open aur close position pehli candle k real body k center main ban jata hai, doji candle ka open aur close ya to same hone chaheye aur ya ye lazmi aik dosre k qareeb hone chaheye.
    Trading
    Bearish harami cross pattern agar long timeframe main bearish trend k baad paya jaye to ye market main sell entry k leye aik achah moqa faraham karrta hai. Bearish harami pattern banne k baad teesree bearish candle ka intezar zarror karna chaheye, q k dosri doji candle ziada taqat main nahi hotee hai, wese bullish trend ka taqreeban is position pe 80% khattma ho jata hai. Pattern ki teesri bearish candle pe sell ki entry karen, jab k Stop Loss pattern k sab se top point ya pehlee bullish candle k upper side par aik ya do pips candle k hight k mutabiq set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X